Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Waseem ne teesri baar darwaze par dastak di. Is baarAndar se Imama ki aawaaz aayi
“Kon hai? “
“Imama, mainhoon. Darwaza kholo.” Waseem nedarwaze se apna haath hata te hue kaha. Andar
khamoshi chaa gayi.
Kuch der baad darwaze ka lockkhulne ki awaz sunai di. Waseem ne darwaze kehandle ko ghumakar darwaza khol diya. Imama uskijanib pusht kiye apne bed ki taraf badhi.
“Tumhe is waqt kya kaam aan padha hai mujhse?”
“Aakhir tuumne itni jaldi darwaza kyu band kar liyatha? Abhi to 10 baje hain” Waseem kamre me daakhilhote hue bola.
“Bas neend aa rahi thi mujhe” Wo bed par baith gayi.
Waseem uska chehra dekh kar chaunk gaya.
“Tum ro rahi thi? “ Beikhtiyaar uske mooh se nikla.Imama ki aankhe surkh aur sooji hui thi. Aur wo use nazren churani ki koshish kar rahi thi.
“Nahi, ro nahi rahi thi. Bas sar me kuch dard ho rahatha.”Imama ne muskurane ki koshish ki.
Waseem ne uske paas baith kar uska haath pakad kartemperature check karne ki koshish ki,
“Kahin bukhar to nahi hai” Usne kuch tasweeshbhare andaaz me kaha aur phir haath chodh diya.
“Bukhar to nahi hai, to phir tum koi tablet le leti”
“Me le chuki hu”
“Achha tum so jao, me baatein karne aaya tha, magarab is haalat me kya batein karoonga tumse. “
Waseem ne qadam bahar ki taraf badhate hue kaha.Imama ne use rokne ki koshish nahi ki. Wo khud bhiuth kar uske peeche gayi. Aur waseem ke nikalte hiusne darwaze ko phir lock kar liya. Bed par ondheymooh let kar usne takiye me mooh chupa liya. Wo ekbaar phir hichkiyon ke saath ro rahi thi.
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar