Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 20

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Don’t tell me Imama, kya tum waqai engaged ho?? “Zainab ko jaise Jaweriya ke inkeshaaf par jaisecurrent laga.

Imama ne malamati nazron se Jaweriyako dekha, Jo pehle hi ma’azratkhana andaaz me usedekh rahi thi.

“Use nahi mujhe dekh kar batao. Kya tum waqaiengaged ho? “ Zainab ne is bar kuch jhidhakte huekaha.

“Haan, magar ye is qadr ghair mamuli aur hairatangaze waqya to nahi ki tum is par is tarah react karo.“Imama ne badhi rasaniyat se kaha. Wo sab libraryme baithi hui thi aur apni apni sargoshiyon mebaatein kar rahi thi.

“Magar tumhe humein to batana chahiye tha. Akhirraaz me rakhne ki kya zarurat thi. “ Is baar Rabia nekaha.

“Raaz me to nahi rakha, bas ye koi itna aham waqyato nahi tha ki tumhe batati, aur phir tum logon semeri dosti to ab hui hai, jabke is mangni ko kai saalguzar chuke hain”Imama ne wazahat karte hue kaha.

“Kai saal se kya murad hai tumhari? “

“Mera matlab hai 2-3 saal”

“Phir bhi Imama, batana to chahiye tha tumhe”

Zainab ka aiteraz apni jagah qayam tha. Imama nemuskurate hue Zainab ko dekha,

“Ab karoongi to kisi ko batau ya na batau, tumhezarur bataungi”

“Very funny” Zainab ne use ghoorte hue kaha.

“Aur kuch to nahi, magar kamaskam koi tasveer hi

lakar dikha do mousoof ki, hai kon? Naam kya hai?Kya karta hai? “ Rabia ne humesha ki tarah ek hisaans me sawal dar sawal kar dale

“First cousin hai, Asjad naam hai”Imama ne ruk rukkar kuch sochte hue kaha. “MBA kiya usne aurbusiness karta hai.”

“Shakal o surat kaisi hai? “ Is baar Zainab ne poocha.

Imama ne ghaur se uske chehre ko dekha.

“Bas theek hai”

“Me tumse pooch rahi hu lamba hai? Dark hai?Handsome hai? “Is baar Imama muskurate hue bina kuch kahe Zainabko dekhti rahi.

“Imama ne apni pasand se ye mangni ki hai. Woachha khasa good looking hai” Jaweriya ne is baarImama ki taraf se jawab dete hue kaha.

“Haaaann, humein andaza kar lena chahiye tha,aakhir wo Imama ka first cousin hai. Ab Imama,tumhara agla kaam ye hai ki tum humein uski koitasveer lakar dikhao” Zainab ne kaha.

“Nahi, isse pehle ka zaruri kaam ye hai ke tumhumein kuch khilane pilane le chalo” Rabia nemadakhalat karte hue kaha.

“Filhal to yahan se chalein, hostel jana hai mujhe”Imama yakdam uth kar khadi ho gayi. To wo bhi uthgayi.

“Waise Jaweriya, tumne ye baat pehle kyu nahibatai? “Saath chalte hue Zainab ne Jaweriya sepoocha.

“ Bhai, Imama nahi chahti thi isiliye mene is mouzupar kabhi baat nahi ki.” Jaweriya ne ma’azratkhanaandaaz me kaha. Imama ne ek baar phir mudh karJaweriya ko ghoora. Uski nazron me tambeeh thi.

“Imama kyu nahi chahti? Meri mangni hoti to me toshor machati har jagah, Wo bhi us soorat me jab yemangni meri apni marzi se hoti “ Zainab ne bulandawaz me kaha. Imama ne is baar kisi radde amal kaizhar nahi kiya.

Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-19/

Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-21/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *