Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 22

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Jaweriya! Professor Imtenaan ke notes mujhe dena.”Imama ne Jaweriya ko mukhatib kiya jo ek kitab khole baithi thi. Jaweriya ne hath badha kar ek notebook use thama di. Imama notebook khol kar safha palatne lagi. Jaweriya ek baar phir kitab ka mutal’aa karne lagi. Kuch der baad achanak use jaise ek khayal aaya tha. Us ne mud kar apne bistar par baithi hui Imama ko dekha.

“tum ne lecture note karna kyun band kar diya hai?” Usne Imama ko mukhatib kiya. Imama ne notebook se nazrein utha kar use dekha.

“Mujhe kuch samajh aaye to note karun.”

“Kya matlab? Tumhein professor Imtenaan ka lecture bhi samajh me nahi aata?” Jaweriya ko jaise hairat hui. “Itnaa acha to padhate hain.”

“Main ne kab kaha ke bura padhate hain, bas mujhe…..”

Usne kuch uljhe hue lehje me baat adhoori chor di. Wo ek baar phir hath me pakdi notebook ko dekh rahi thi. Jaweriya ne ghaur se use dekha.

“tum aaj kal kuch ghayab dimagh nahi hoti ja rahin? Disturb ho kisi wajah se?” Jaweriya ne apne samne rakhi kitab band karte hue bade hamdardana lehje me kaha.

“Disturb?” wo badbadyi “Nahin, aisi to koi baat nahi hai.”

“Tumhari aankho ke gird bhi halqe pad gaye hain. Kal rat ko shayad 3:30 ka waqt tha jab meri aankh khuli aur tum us waqt bhi jaag rahi thin.”

“Main padh rahi thi.” Us ne mudafe’aana lehje me kaha.

“Nahin, sirf kitab apne samne rakhe bathi hui thin, magar kitab par nazar nahi thi tumhari.” Jaweriya ne us ka uzr rad karte hue kaha. “Tumhein koi mas’ala to nahi hai?”

“Kya mas’ala ho sakta hai mujhe?”

“Phir tum itni chup chup kyun rehne lagi ho?” Jaweriya uski taal matol se mutasir hue baghair boli.

“Nahin, main kyun chup rahungi.”Imama ne muskurane ki koshish ki. “Main to pehle hi ki tarah bolti hoon.”

“Sirf main hi nahin, baqi sab tumhari pareshani ko note kar rahe hain.” Jaweriya sanjeedgi se boli.

“Koi baat nahin hai, sirf studies ki tension hai mujhe.”

“Main yaqeen nahin kar sakti, ham bhi tumhare sath hain. Tumhein ham se zyada tension to nahin ho sakti.” Jaweriya ne sar hilate hue kaha. Imama ne gehra saans liya, wo ab zich ho rahi thi.

“Tumhare ghar mein to khairiyat hain na?”

“Haan bilkul khiriyat hai.”

“Asjad ke sath jhagda to nahin?”

“Asjad ke sath jhagda kyun hoga?”Imama ne usi ke andaz me pucha.

“Phir bhi ikhtelafaat to bahot hi…..” Jaweriya ki baat us ne darmiyaan me hi kaat di.

“Jab keh rahi hoon ke koi mas’ala nahi hai to tumhein yaqeen kyun nahi aa raha. Itne salon se kon se baat hai jo main ne tum se share nahi ki ya jo tumhein pata nahin hai phir bhi tum is tarah mujhe mujrim samajh kar tafteesh kar rahi ho.” Wo ab khafa ho rahi thi.

Jaweriya gadbada gayi. “Yaqeen kyun nahi karungi, main sirf isliye israar kar rahi thi ke shayad tum mujhe isliye apna mas’ala nahi bata rahin ke main pareshan na hoon aur to koi baat nahin.”

Jaweriya kuch Nadim si ho kar us ke paad se uth kar apne study table ke samne ja baithi. Usne ek baar phir kitab khol li jise wo padh rahi thi. Kafi der tak kitab padhte rehne ke baad usne ek jamahi li aur gardan mod kar laa sha’oori taur par Imama ko dekha. Wo deewar se tek lagaye uski notebook khole baithi thi magar uski nazrein notebook par nahin thin wo samne wali deewar par nazrein jamaye baithi thi.

Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-21/

Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-23/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *