Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 35

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Sabeeha se Imama ki pehli mulaqat ittefaqan hui thi. Jaweriya ki ek cousin Sabeeha ki ek class fellow thi aur usi ke tawassut se Imama ki usse shanasayi hui. Wo ek mazhabi jamaat ke student wing se munsalik thi aur hafte mein ek baar wo class room mein Islam se muta’liq kisi na kisi ek mauzoo par lecture diya karti thi. 40-50 ke lag bhag ladkiyan us lecture ko attend karti thin. Sabeeha ne us din unse mutaarif hone ke baad unhein bhi us lecture ke liye invite kiya. Wo charon hi wahan maujood thin.

“Main to zaroor aaungi, kam az kam meri shirkat ke bare mein aap tasalli rakhein.” Jaweriya ne Sabeeha ki dawat ke bare mein kaha.

“Main koshish karungi waada nahin kar sakti.” Rabiya ne jhenpi hui muskurahat ke sath kaha.

“Mera aana zara mushkil hai kyun ke main us din thoda masroof rahungi.” Zainab ne maazrat karte hue kaha.

Sabeeha muskurate hue Imama ko dekhne lagi jo ab tak khamoosh thi. Imama ka rang kuch faq ho gaya.

“Aur aap? Aap aayengi?”Imama ki nazar Jaweriya se mili jo use hi dekh rahi thi.

“Waise is baar kis mauzoo par karengi aap?” Isse pehle ke Imama kuch kehti, Jaweriya ne Sabeeha ki tawajjoh apni taraf mabzool kar li. Shayad aisa usne danista taur par kiya tha.

Is baar israaf ke bare mein baat hogi. Is ek aadat ki wajah se hamara ma’ashra kitni tezi se zawaal pazeer ho raha hai aur uske sidd-e-baab mein kya kiya ja sakta hai. Isi mauzoo par guftgu hogi..” Sabeeha ne Jaweriya ko tafseel se bataya.

“Aap ne bataya nahin Imama! Aap aa rahi hain?” Jaweriya se baat karte karte Sabeeha ek baar phir Imama ki taraf mutawajjah ho gayi. Imama ka rang ek baar phir badla. “Main………Main………Dekhugi.” Usne jhijakte hue kaha.

“Mujhe bahot khushi hogi agar Jaweriya ke sath aap tino bhi aayein. Apne deen ki buniyadi taalimaat ke barey mein hamein roz nahin to kabhi kabhaar kuch ilm hasil karne ki koshish karni chahiye. Sirf main hi lecture nahin deti hoon, ham jitne bhi log ikatthe hote hain unmein se koi bhi us mauzoo par guftgu karne ke liye aazad hota hai jise ham ne muntakhab kiya hota hai aur agar aap mein se bhi koi kisi mauzoo ke hawale se baat karna ya kuch batana chahe to ham log arrange kar sakte hain.” Sabeeha badi sahoolat se baat kar rahi thi. Phir kuch der baad Jaweriya aur uski cousin ke hamraah unke kamre se bahar chali gayi.

Corridor me Sabeeha ne Jaweriya se kaha “Aap kam az kam Imama ko to sath layen, mujhe laga hai wo aana chah rahi hain.”

“Uska aqeeda bilkul alag hai, wo kabhi aisi mehfilon mein shirkat nahin karegi.” Jaweriya ne sanjeedgi se use bataya. Sabeeha kuch hairaan hui.

“Aap ko chahiye ke aap unhein Islam ka mutal’aa karne ki dawat den. Ho sakta hai is tarah wo saheeh aur ghalat ka farq kar saken.” Sabeeha ne chalte hue kaha.

“Main ek baar aisi koshish kar chuki hoon. Wo bahot naaraz ho gayi thi aur main nahin chahti ke ham dono ki itni lambi dosti is tarah khatm ho.” Jaweriya ne kaha.

“Ache dost wahi hote hain jo ek dusre ko gumraahi se bachayen aur aap par bhi farz hai ke aisa karen.” Sabeeh ne kaha.

“Wo to theek hai par koi baat sunne par bhi tayyar na ho to?”

“Tab bhi saheeh baat kehte rehna farz hai. Ho sakta hai kabhi dusra aap ki baat par ghaur karne par majboor ho jaye.” Sabeeha apni jagah durust thi. Wo sirf muskura kar reh gayi.


Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 34


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-36/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *