Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Tum jaogi uska lecture sunne?” Sabeeha ke nikalne ke baad Zainab ne Rabiya se pucha.
“Nahin, mera koi irada nahin hai. Main aise lecture hazam nahin kar sakti.” Rabiya ne apni kitaben uthate hue laparwai se kaha. Imama, Zainab aur Jaweriya ke bar-aks wo qadre aazad khayal thi aur zyada mazhabi rujhaan nahin rakhti thi.
“Waise main ne Sabeeha ki khaasi tareef suni hai.” Zainab ne Rabiya ki baat ke jawab mein kaha.
“Zaroor suni hogi,bolti to waqai acha hai aur main ne to ye bhi suna hai ke uske walid bhi kisi mazhabi jamaat se munsalik hain. Zahir hai asar to hoga.” Rabiya ne uski maloomaat mein izafa kiya.
Imama unse kuch door ek kone mein apni kitaben liye baithi bazaahir unka mutal’aa karne mein masroof thi magar un dono ki guftgu bhi un tak pahonch rahi thi. Usne shukr adaa kiya ke un dono ne use is guftgu mein ghaseetne ki koshish nahin ki.
3 din ke baad Imama muqarrara waqt par un logon se koi bahana bana kar lecture attend karne chali gayi. Rabiya, Zainab aur Jaweriya tino hi us lecture mein nahin gayin phir uska irada badal gaya. Imama ne un logon ko nahin bataya ke wo Sabeeha ka lecture attend karne ja rahi hai.
Sabeeha, Imama ko dekh kar hairaan hui.
“Mujhe bahot khushi ho rahi hai aap ko yahan dekh kar. Mujhe aap ke aane ki tawaqqo nahin thi.” Sabeeha ne garm joshi se usse milte hue kaha.
Ye pehla qadam tha Islam ki jaanib jo Imama ne uthaya tha. Is saare arsey mein Islam ke bare mein itni kitaben, tafaseer aur tarajum padh chuki thi ke kam az kam wo kisi bhi chiz se naawaqif aur anjaan nahin thi. Israaf ke barey mein Islami aur Qurani taaleemaat aur ehkaamaat se bhi wo achi tarah waqif thi magar uske bawajood Sabeeha ki dawat ko rad karne ke bajaye qubool kar lene mein uske pesh nazar sirf ek chiz thi. Wo apne mazhab se Islam tak ka wo faasla tay karna chahti thi jo use bahot mushkil lagta tha.
Aur phir wo sirf pehla aur aakhri lecture nahin tha. Yake-baad-deegrey wo uska har lecture attend karti rahi. Wahi chizen jo wo kitabon me padhti rahi thi uske munh se sun kar pur-asar ho jati thin. Uski Sabeeha se aqeedat mein izaafa hota ja raha tha. Sabeeha ne use ye nahin bataya tha ke wo us ke aqeede ke barey mein jaanti thi magar Imama ko uske paas aate hue do maah hue the jab Sabeeha ne khatm-e-nubuwwat par ek lecture diya.
“Quran paak wo kitaab hai jo Hazrat Muhammad ﷺ par naazil hui..” Sabeeha ne apne lecture ka aaghaaz kiya. “Aur Quran paak mein hi Allah nubuwwat ka silsila Hazrat Muhammad ﷺ par khtam kar dete hain. Wo kisi dusre nabi ki koi gunjayish baqi nahin rakhte. Agar kisi nabi yani Hazrat Isa Alaihissalaam ka dobara nuzool ka zikr hai bhi to wo bhi ek naye nabi ki shakl mein nahin hai balke ek aise nabi ka dobara nuzool hai jin par nubuwwat Hazrat Muhammad ﷺ se bahot pehli naazil kar di gayi thi aur jin ka dobara nuzool unki apni ummat ke liye nahin balke Hazrat Muhammad ﷺ ki ummat ke liye hi hoga aur aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hi rahenge. Kisi bhi aane wale daur mein ya kisi bhi guzar jane wale daur mein ye rutba aur fazeelat kisi aur ko nahin di gayi. Kya ye mumkin hai ke Allah ek Paighambar ko ye rutba aur darja ataa karta aur phir use usse cheen kar kisi dusre shakhs ko de deta hai?”
Quran paak mein Allah ta’ala farmata hai:
“Baat mein Allah se badh kar sacha kaun hai?”
“To kya ye mumkin hai ke wo apni baat ko khud hi rad kar deta aur phir agar Allah ki is baat ki gawahi Hazrat Muhammad ﷺ khud dete hain ke haan wo Allah ke aakhri Rasool ﷺ hain aur unke baad dobara koi nabi nahin aayega to phir kya hamare liye kisi bhi taur par ye jayaz aur munaasib hai ke ham kisi dusre shakhs ki nubuwwat ke daawe par ghaur tak karen? Insaan Allah ki makhlooqaat mein se wo waahid makhlooq hai jise aql jaisi ne’mat se nawaza gaya aur ye aisi makhlooq hai jo usi aql ko istemaal kar ke sochne par aaye to khud Allah ke wajood ke liye saboot talaash karna shuru kar deti hai. Phir is silsile ko yahin tak mehdood nahin rakhti, balk ise paighambaron ki zaat tak daraaz kar deti hai. Pehle se maujood paighambaron ki nubuwwat ke barey mein sawaal karti hai phir unhein paighambar maan leti hai aur uske baad Quran ke waazeh ehkaamaat ke bawajood zameen par mazeed paighambaron ki talaash shuru kar deti hai aur is talaash mein ye faraamosh kar deti hai ke nabi banta nahin tha, banaya jata tha, use mab’oos kiya jata tha aur ham insani evolution ki un aakhri dahaiyon mein khade hain jahan mazeed nabiyon ki aamad ka silsila isliye khatm kar diya gaya kyun ke insaan ke liye ek deen aur ek nabi ka intekhaab kar liya gaya.”
“Ab kisi naye aqeede ki zaroorat nahin balke sirf taqleed ki hai, sirf taqleed, yani practice……. Is ek, aakhri aur mukammal deen ki jise paighambar-e-Islam Hazrat Muhammad ﷺ par khatm kar diya gaya hai. Ab wo har shakhs khasaare mein rahega, jo deen ki rassi ko mazbooti se thaamne ki bajaye tafraqey ki raah ko ikhteyaar karega. Agar hamari aala taaleem aur hamara sha’oor hamein deen ke barey mein saheeh aur ghalat ki tameez tak nahin de sakte to phir ham mein aur jaanwar mein koi farq nahin, jo sabz aur taaza ghaas ke ek gatthe ke piche kahin bhi ja sakta hai, is baat ki parwah kiye baghair ke uska rewadh kahan hai.”
40 minute ke is lecture mein Sabeeha ne kisi aur ghalat aqeede ya firqe ka zike tak nahin kiya tha. Usne jo kuch kaha tha bil-waasta kaha tha. Sirf ek cheez bila-waasta kahi thi aur wo Hazrat Muhammad ﷺ ki khatm-e-nubuwwat ka iqraar tha. “Allah ke aakhri paighambar Hazrat Muhammad ﷺ the jinhon ne 1400 saal pehle Madina me wafaat payi. 1400 saal se musalman ek ummat ke taur par usi ek shakhs ke saaye mein khade hain. 1400 saal baad bhi hamare liye wo ek aakhri Nabi ﷺ jin ke baad koi dusra nabi na bheja gaya hai na bheja jayega aur har wo shakhs jo kisi dusre shakhs mein kisi dusre nabi ka aks talaash karne ki koshish karta hai use ek baar apne imaan ka az-sar-e-nau jaayeza le lena chahiye. Shayad ye koshish use azaab se bacha de jis mein wo apne aap ko mubtala karne ki koshish kar raha hai.”
Imama har lecture ke baad Sabeeha se mil kar jaya karti thi. Us lecture ke baad wo Sabeeha se nahin mili. Ek lamhe ruke baghair wahan se chali aayi. Ajeeb se zehni inteshaar mein mubtala ho kar wo college se bahar nikal kar paidal chalti rahi. Kitni der footpath par chalti rahi aur usne kitni sadkein uboor kin, use andaza nahin hua. Kisi maamool ki tarah chalte hue wo footpath se niche naher ke kinare bani hui ek bench par ja kar baith gayi. Sooraj ghuroob hone wala tha aur upar sadak par gaadiyon ke shor mein izaafa ho gaya tha. Wo chup chaap naher ke behte hue pani ko dekhti rahi.
Ek lambi khamushi ke baad usne badbadate hue khud se pucha.
“Aakhir main kya kar rahi hoon apne sath, kyun apne aap ko uljha rahi hoon? Aakhir kis yaqeen ki khoj me sar-gardaan hoon aur kyun? Main is sab ke liye to Lahore nahin aayi. Main to yahan doctor banne aayi hoon. Mujhe eye specialist banna hai. Paighambar……… Paighambar………… mere liye har cheez wahan kyun khatm ho jati hai?”
Usne apne dono hathon se apna chehra dhaanp liya.
“Mujhe isse nijaat haasil karni hai, main is tarah apni studies par kabhi tawajjoh nahin de sakti. Mazhab aur aqeeda mera mas’ala nahin hona chahiye. Saheeh ya ghalat jo mere badon ne diya wahi thik hai. Main ab Sabeeha ke paas nahin jaungi. Main mazhab ya Paighambar ke barey mein kabhi bhi nahin sochungi. Kabhi bhi nahi.” Wahan baithe baithe usne tay kiya.
Raat ko 8 baje wo wapas aayi to Jaweriya aur Rabiya kuch fikr mand thin
“Bas aise hi market chali gayi thi.” Usne sute hue chehre ke sath unhein bataya.
Prev episode:
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-37/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar