Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Are Imama! Tum to bahot arsey baad aayi ho na, aakhir aana kyun chod diya tum ne.” Bahot dino baad ek baar phir Sabeeha ke paas pahonch gayi. Sabeeha ka lecture shuru hone wala tha.
“Mujhe aap se kuch batein karni hain, aap apna lecture khatm kar lein, main bahar baith kar intezaar kar rahi hoon.”Imama ne uski baat ka jawaab dene ki bajaye kaha.
Theek 45 minutes baad jab Sabeeha apna lecture khatm kar ke bahar nikli to usne Imama ko bahar corridor mein tahelte paya. Wo Sabeeha ke sath dobara usi kamre mein aan baithi jo ab khaali tha. Sabeeha khamushi se usk itaraf se baat shuru karne ka intezaar karti rahi.
Imama chand lamhe kisi soch mein doobi rahi phir usne Sabeeha se kaha.
“Aap ko pata hai main kis mazhab se hoon?”
“Haan main jaanti hoon, Jaweriya ne mujhe bataya tha.” Sabeeha ne pur sukoon andaz mein kaha.
“Main bata nahin sakti main kis had tak frustrated hoon. Mera dil chahta hain ke main duniya chod kar bhag jaun.” Usne kuch der baad Sabeeha se kehna shuru kiya. “Main……main…..” Usne dono hathon se apna sar pakad liya. “Mujhe pata hain ke…….” Usne ek baar phir apni baat adhuri chod di. “Magar main apna mazhab nahin chod sakti. Main tabaah ho jaungi, Mere maan baap mujhe maar dalenge. Mera career, mera khwaab, sab kuch khatm ho jayega. Main ne to sirey se ibaadat karna tak chod di hai magar phir bhi pata nahin kyun mujhe sukoon nahin mil raha hai. Aap meri surat-e-haal ko samjhen. Mujhe lag raha hai ye sab kuch ghalat hai, aur saheeh kya hai mujhe nahin malum.”
“Imama, tum Islam qubool kar lo.” Sabeeha ne uski baat ke jawaab mein sirf ek jumla kaha tha.
“Ye main nahin kar sakti, main aap ko bata rahi hoon. Main kitne masail ka shikaar ho jaungi.”
“To phir mere paas kis liye aayi ho?” Sabeeha ne usi pur sukoon andaz mein kaha. Wo uska munh dekhne lagi phir be basi se kaha.
“Pata nahin main aap ke paas kis liye aayi hoon.”
“Tum sirf yahi ek jumla sunne aayi ho jo abhi main ne tum se kaha. Main tumhein koi daleel nahin dungi, kyun ke tumhein kisi sawaal ke jawaab ki talaash nahin hai. Har sawaal ka jawaab tumhare andar maujood hai. Tum sab jaanti ho, bas tumhein iqraar karna hai, aisa hi hai na?”
Imama ki aankhon mein aansu tairne lage. “Mujhe lag raha hai mere paon zameen se ukhad chuke hain, main jaise khalaa mein safar kar rahi hoon.” Usne bharrayi hui aawaz mein kaha.
Sabeeha ne uski baat ka jawaab nahin diya. Wo bismillah padh rahi thi. Imama geeli aankhon ke sath uska chehra dekhne lagi.
“Kahin kuch bhi nazar nahin aata Sabeeha! Kuch bhi nahin.” Usne apne hathon ki pusht se aansuon ko saaf kiya.
“Laa ilaha illallaah.” Sabeeha ke lab aahista aahista hilne lage. Imama dono hathon se chehra dhaanp kar bachon ki tarah phoot phoot kar rone lagi aur wo rote hue Sabeeha ke piche kalme ke alfaaz dohra rahi thi. “Muhammadur Rasoolullah.”Imama ne agle alfaaz dohraye aur uski aawaz bharra gayi.
Imama ki samajh mein nahin aa raha tha ke use itna rona kyun aaraha hai. Use koi pachtawa, koi afsos nahin tha magar phir bhi use apne aansuon par qaabu paana mushkil ho raha tha. Bahot der tak rote rehne ke baad usne jab sar uthaya to Sabeeha uske paas hi baithi hui thi. Imama geele chehre ke sath muskura di.
Prev episode:
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-38/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar