Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Imama ko medical college mein chand roz hue the jab ek weekend par Islamabad aane ke baad usne Zainab ke ghar Lahore hone kiya.
“Beta main Zainab ko bulati hoon, tum hold karo.” Zainab ki ammi phone rakh kar chali gayin. Wo receiver kaan mein laga kar intezaar karne lagi
Kuch nahin maangta shaahon se ye shaidaa tera
Is ki daulat hai faqat naqsh-e-kaf-e-paa tera
Mardaana aawaz mein phone par sunayi dene wali naat Imama ne pehle bhi suni thi magar is waqt jo koi bhi use padh raha tha, wo kamaal-e-jazb se padh raha tha.
Poore qad se main khada hoon to ye tera hai karam
Mujh ko jhukne nahin deta hai sahaara tera
Use andaza nahin tha ke kisi mard ki aawaz itni khoobsurat ho sakti hai. Is qadr khoobsurat ke puri duniya us aawaz ki qaid mein lage. Imama ne apna saans rok liya ya shayad wo saans lena bhool gayi.
Log kehte hain ke saaya tere paikar ka na tha
Main to kehta hoon ke jahaan bhar pe hai saaya tera
Insaan ki zindagi mein kuch sa’atein saad ki hoti hain. Shab-e-qadr ki raat mein aane wali us saad sa’at ki tarah jise bahot se log guzar jane dete hain sirf chand us sa’at ke intezaar mein hath uthaye aur jholi phailaye baithe hote hain. Us sa’at ke intezaar mein jo chalte pani ko rok de aur ruke hue pani ko rawaan kar de, jo dil se nikalne wali dua ko labon tak aane se pehle muqaddar bana de.
Imama Hashim ki zindagi ki wo saad sa’at shab-e-qadr ki kisi raat ko nahin aayi thi. Na usne us saad sa’at ke liye hath uthaye the na jholi phailayi thi phir bhi usne zameen-o-aasmaan ki gardish ko kuch der ke liye thamte dekha tha. Poori kaainaat ko ek gumbad-e-be-dar mein badalte dekha tha jis ke andar bas ek hi aawaz goonj rahi thi.
Dast geeri meri tanhai ki tune hi to ki
Main to mar jata agar sath na hota tera
Wo andheron se bhi durrana guzar jate hain
Jin ke maathe pe chamakta hai sitara tera
Aawaz bahot saaf aur wazeh thi. Imama but ki tarah receiver hath mein liye baithi rahi.
“Hello Imama!” Dusri taraf Zainab ki aawaz gunji aur wo aawaz mein gum ho gayi. Chand lamhon ke liye zameen ki ruki hui gardish dobara bahaal hui.
“Hello Imama! Aawaz sun rahi ho meri?” Wo ek jhatke se hosh ki duniya mein wapas aayi.
“Haan, main sun rahi hoon.”
“Main ne socha line cut gayi hai.” Dusri taraf se Zainab ne kuch mutmayin hote hue kaha. Imama agle chand minutes usse baat karti rahi magar uska dil-o-dimaagh kahin aur tha.
Prev episode:
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-40/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar