Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Imama ke liye wo ek naye safar ka aaghaaz tha. Wo pehle ki tarah baqaidgi se Sabeeha ke paas jane lagi. Un ijtema’aat mein shirkat ne use agar ek taraf apne faisle par isteqaamat bakhshi to dusri taraf us baaqi-maanda shubhaat ko bhi door kardiya.
Mazhab tabdeel karne ka faisla Imama ke liye koi chota ya maamuli faisla nahin tha, is ek faisle ne uski zindagi ke har maamle ko mutaassir kiya tha. Wo ab Asjad se shadi nahin kar sakti thi kyun ke wo ghair muslim tha. Use jald ya bader apne ghar walon se alahedgi ikhteyaar karni thi kyun ke wo ab aise kisi maahol mein nahin rehna chahti thi jahaan Islami sha’air aur aqaaid mein itne dhadalle se tehreefaat ki jati thin. Wo us paise ke barey mein shukook ka shikaar hone lagi thi jo use apni taleem aur dusre akhrajaat ke liye Hashim Mubeen ki taraf se milte the. Chand saal pehle tak pariyon ki kahaani nazar aane wali zindagi ek dam daraone khwaab mein tabdeel ho gayi thi aur zindagi ke is mushkil raaste ka intekhaab usne khud kiya tha. Use baaz dafa hairat hoti ke usne itna bada faisla kis tarah kar liya. Usne Allah se isteqaamat hi maangi thi aur use isteqaamat se nawaza gaya tha magar wo abhi itni kam umr thi ke khadshaat aur andeshon se mukammal peecha chuda lena uske liye mumkin nahin tha.
“Imama! Tum filhaal apne waldain ko mazhab ki tabdeeli ke barey mein mat batao. Apne pairon par khadi ho jao. Us waqt na sirf tum aasani se Asjad se shadi se inkaar kar sakti ho balke unhein apne mazhab ki tabdeeli ke barey mein bata sakti ho.”
Sabeeha ne ek baar uske khadshaat sunne ke baad use mashwara diya.
“Main us paise ko apne upar kharch nahin karna chahti jo mere baba mujhe dete hain, ab jab ke main jaanti hoon mere walid ek jhoote mazhab ki tableegh kar rahe hain. Ye jayaz to nahin hai ke main aise shakhs se apne akhraajaat ke liye raqm loon?”
“Tum theek kehti ho magar tumhare paas filhaal koi doosra raasta nahin hai. Behtar hai tum apni taleem mukammal kar lo, uske baad tumhein apne walid se kabhi kuch nahin lena padega.” Sabeeha ne use samjhaya. Sabeeha agar use ye raah na dikhati tab bhi Imama uske alawa aur kuch nahin kar sakti thi. Us mein filhaal itni himmat nahin thi ke wo apni zindagi ki sab se badi khwaahish chod deti.
Prev episode:
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-42/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar