Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 48

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Bhai, aap farigh hain?” Us raat Zainab darwaze par dastak de kar Jalaal ke kamre mein daakhil hui.

“Haan, aa jao.” Usne study table par baithe baithe gardan mod kar Zainab ko dekha.

“Aap se ek kaam hai.” Zainab uske paas aate hue boli.

“Aap ek casette mein apni aawaz mein kuch naatein record kar dein.” Zainab ne kaha. Jalaal ne hairat se uski farmayish suni.

“kis liye?”

“Wo meri dost hai na Imama usko aapki aawaz bahot pasand hai is liye…… Usne mujh se farmayish ki aur main ne haami bhar li.” Zainab ne tafseel batayi.

Jalaal is farmayish par muskuraya. Imama se kuch din pehle hone wali mulaqaat use yaad aa gayi.

“Ye wahi ladki hai jo us din yahan aayi thi?” Jalaal ne sarsari andaz mein pucha.

“Haan, wahi ladki hai. Islamabad se yahan aayi hai.”

“Islamabad se? Hostel mein reh rahi hai?” Jalaal ne kuch dilchaspi lete hue pucha.

“Ji, hostel mein reh rahi hai. Kaafi acha khaandaan hai uska, bahot bade industrialist hain uske father……….. Magar Imama se mil kar zara mehsoos nahin hota.” Zainab ne be-ikhteyaar Imama ki taareef ki.

“Kaafi mazhabi lagti hai. Main ne use 1-2 baar tumhare sath college mein dekha hai. College mein bhi chaadar odhi hoti hai usne. Yahan college ki “Aab-o-hawa” ka abhi tak asar nahi hua hai us par.” Jalaal ne kaha.

“Bhai! Uski family bhi khaasi mazhabi hai kyun ke jab se yahan aayi hai isi tarah hi hai. Mera khayaal hai kaafi conservative log hain, laikin ye zarorr hai ki uski family khaasi taleem yaafta hai. Na sirf bhai balke behnein bhi. Ye ghar mein sab se choti hai.” Zainab ne tafseel batate hue kaha. “To phir aap record kar ke denge?” Zainab ne pucha.

“Tum kal le lena, main record kar dunga.” Jalaal ne kaha. Wo sar hilaate hue kamre se nikal gayi. Jalaal kuch der kisi soch mein dooba raha phir dobara us kitaab ki taraf mutawajjah ho gaya jise wo padh raha tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-49/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 47



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *