Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Tum mujh se shadi karoge?” Salar ko jaise shock laga. “Phone par nikaah?” Wo kuch der ke liye bol nahin saka.
Lahore se wapas aane ke baad usne Imama ko Jalaal ka jawaab bilkul usi tarah se pahoncha diya. Uska andaza tha ke wo ab rona dhona shuru karegi aur phir usse kisi hathiyaar ki farmaayish karegi, magar wo kuch der ke liye khamoosh rahi phir usne Salar se jo kaha tha usne chand saaniyon ke liye Salar ke hosh gum kar diye the.
“Mujhe sirf kuch der ke liye tumhara saath chahiye. Taa ke mere waldain Asjad ke saath meri shadi na kar sakein aur phir tum bailiff ke zariye mujhe yahan se nikaal lo. Uske baad mujhe tumhari zaroorat nahin rahegi aur main kabhi bhi apne waldain ko tumhara naam nahin bataungi.” Wo ab keh rahi thi.
“Okay kar leta hoon………. Magar ye bailiff wala kaam thoda mushkil hai. Is mein bahot si legalities involve ho jati hain. Wakeel ko hire karna………aur……….”Imama ne dusri taraf se uski baat kaat di.
“Tum apne friends se is silsiley mein madad le sakte ho. Tumhare friends to is tarah ke kaamon mein maahir honge.”
Salar ke maathe par kuch bal namudaar hue. “Kis tarah ke kaamon mein.”
“Isi tarah ke kaamon mein.”
“Tum kaise jaanti ho.”
“Waseem ne mujhe bataya tha ke tumhari company achi nahin hai.”
Imama ke munh se be-ikhteyaar nikla aur phir wo khamoosh ho gayi. Ye jumla munaasib nahin tha.
“Meri company bahot achi hai, kam az kam Jalaal Ansar ki company se behtar hain.” Salar ne chubhute hue lehje mein kaha. Wo is baar bhi khamoosh rahi.
“Baher haal main dekhta hoon, main is silsiley mein kya kar sakta hoon.” Salar kuch der uske jawaab ka intezaar karne ke baad bola. “Magar tumhein ye baat zaroor yaad rakhni chahiye ke ye kaam bahot risky hai.”
“Main jaanti hoon, magar ho sakta hai mere waldain sirf ye pata chalne par hi mujhe ghar se nikaal dein ke main shadi kar chuki hoon aur mujhe bailiff ki madad leni na padey ya ho sakta hai wo meri shadi ko qubool kar lein aur phir main tum se talaaq le kar Jalaal se shadi kar sakun.”
Salar ne sar ko qadrey afsos ke aalam mein jhata. Usne duniya mein is tarah ka ahmaq pehle labhi nahin dekha. Wo aihmaqon ki jannat ki malka thi ya shayad hone wali thi.
“Chalo dekhta hoon, kya hota hai.” Salar ne phone band karte hue kaha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-66/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar