Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 79

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Main kabhi soch bhi nahin sakta tha ke ye is had tak gir jayega.”

“Red light area, my foot, kabhi mere khaandaan ki pichli saat naslon se bhi koi waha nahin gaya aur ye ladka……… Kya hai jo main ne ise nahin diya……… Kya hai jis ki kami rehne di hai aur ise dekho kabhi ye khud kushi ki koshish karta phirta hai aur kabhi red light area, mera Allah…….. Aakhir kis had tak jayega ye?” Sikandar Usman ne apna sar thaam liya.

“Mujhe to ghar ke mulaazimon par bhi bahot zyada aitraaz hai. Aakhir kyun us ladki ko unhon ne andar aane diya. Ghar ke maamlaat par nazar rakhni chahiye inhein.” Tayyaba ne baat ka mauzoo badalte hue kaha.

“Ghar ke maamlaat aur maalik ke maamlaat par nazar rakhne mein zameen aasmaan ka farq hota hai. Yahan maamla ghar ka nahin th, maalik ka tha.” Sikandar ne tanziya lehje mein kaha. “Aur phir un mein se kisi ne bhi kisi ladki ko yahan aate nahin dekha. Wo kehta hai wo use usi din laya tha, chaukidaar ka kehna hai ke aisa nahin hua usne uske sath kisi ladki ko aate nahin dekha. Haan! Jaate zaroor dekha hai mulaazimon ke bhi yahi kehna hai. Unhon ne na to kisi ladki ko aate dekha hai na hi jate dekha hai.” Sikandar ne kaha.

“Iska matlab hai ke wo yaqeenan ladki ko achi tarah chupa kar laaya hoga.”

“Shaitaani dimaagh hai uska…… ye tum jaanti ho tum sirf ye dua karo ke ye saara maamla khatm ho jaaye. Hashim Mubeen ki beti mil jaaye aur hamari jaan chhoot jaye taa ke ham is ke barey mein kuch soch sakein.” Sikandar Usman ne kaha.

“Meri to samajh mein nahin aata ke aakhir mujh se kaun si ghalti ho gayi hai, jis ki mujhe ye saza mil rahi hai. Meri to samajh mein nahin aata ke main kya karun.” Wo bey had be bas nazar aa rahe the.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-80/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 78



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *