Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 83

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Salar chand din ghar baitha raha tha magar phir zid kar ke usne college jana shuru kar diya. Hashim Mubeen aur uske ghar wale Imama ki talaash mein zameen aasmaan ek kiye hue the. Agarche wo ye sab kuch badi raazdaari ke sath kar rahe the laikin uske bawajood unke mulaazmeen aur police ke zariye Sikandar ko unki koshishon ki khabar mil rahi thi. Wo Lahore mein bhi Imama ki har saheli se raabta kar rahe the jise wo jaante the.

Salar ne ek din akhbaar mein Babar Jawed naami ek shakhs ka khaaka dekha. Uske barey mein maalumaat dene wale ke liye inaam ka ailaan tha. Wo is naam se achi tarah waqif tha. Yahi wo farzi naam tha jo Hasan ne wakeel ko Imama ke shauhar ka diya tha aur wo ishtehaar yaqeenan Imama ke ghar walon ki taraf se tha haalaan ke niche diya gaya phone number Imama ke ghar ka nahin tha, wo andaza kar sakta tha ke police us wakeel ke paas pahonch gayi hogi aur uske baad us wakeel ne us aadmin ke kawaaif unhein bataye honge. Ab ye haqeeqat sirf wo wakeel, Hasan aur khud wo jaanta tha ke Babar Jawed sirey se koi wajood hi nahin rakhta so wo mutmayin ho gaya. Wo Hashim Mubeen ke ghar walon ko kisi had tak bhatkaane mein kaamyaab ho chuka tha.

Is poore arsey ke dauraan Salar Imama ki call ka muntazir tha. Usne kayi baar Imama ko uske mobile par call bhi kiya magar use mobile off milta. Use ye tajassus ho raha tha ke wo kahan thi. Is tajassus ko hawa dene mein kuch hath Hasan ka bhi tha jo baar baar Imama ke barey mein puchta rehta, baaz dafa wo chid jaata.

“Mujhe kya pata wo kahan hai aur mujh se raabta kyun nahin kar rahi. Baaz dafa mujhe lagta hai usse mujh se zyada tumhein dilchaspi hai.”

Use bilkul andaaza nahin tha ke Hasan ka ye tajassus aur dilchaspi kisi majboori ki wajah se thi. Wo buri tarah phansa hua tha. Salar ka khayaal tha ke Imama ab tak Jalaal ke paas jaa chuki hogi aur ho sakta hai ke wo usse shadi bhi kar chuki ho agarche usne Imama se Jalaal ki shadi ke barey mein jhoot bola tha magar use yaqeen tha ke Imama ne uski baat pa yaqeen nahin kiya hoga. Wo uske paas dobara zaroor gayi hogi. Khud Salar bhi chahta tha ke wo khud Jalaal se raabta qayem karey ya phir zaati taur par jaa kar ek baar usse mile. Wo jaanna chahta tha ke Imama uske sath reh rahi hai ya nahin, magar filhaal ye dono kaam uske liye na mumkin the. Sikandar Usman musalsal uski nigraani karwa rahe the aur wo is baat se bhi waaqif the ke wo nigraani karwane wale waahid nahin hain. Hashim Mubeen bhi yahi kaam karwa rahe the aur agar wo Lahore jaane ka iraada karta to awwal to Sikandar Usman use jaane hi na dete aur bil farz jaane ki ijaazat de bhi dete to shayad khud bhi uske sath chal padte aur wo ye nahin chahta tha. Waqt guzarne ke sath sath is saare maamley se uski dilchaspi kam se kam hoti jaa rahi thi. Use ab ye sab kuch ek himaaqat lag raha tha. Aisi himaaqat jo use kaafi mahengi pad rahi thi. Sikandar aur Tayyab ab hama-waqt ghar par rehte the aur use kahin bhi jaane ke liye baaqaida ijaazat leni padti thi. Hasan ab usse kam kam milne laga tha. Wo uski wajah bhi nahin jaanta tha. Is surat-e-haal so wo bahot bore ho raha tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-84/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 82



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *