Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Us raat wo kaafi der tak Imama ke barey mein sochta raha tha. Uske aur Jalaal Ansar ke barey mein, use yaqeen tha ab tak wo dono shadi kar chuke honge, kyun ke apna nikaah naama Sikandar Usman se haasil karne ke baad wo ye jaan chuki hogi ke talaaq ka haq pehle hi uske paas tha. Use is silsiley mein Salar ki madad ki zaroorat nahin thi. Ye jaanne ke bawajood ke Jalaal Ansar uske kehne par bhi Imama se shadi par tayyar nahin hua tha. Use phir bhi na jaane kyun ye yaqeen tha ke Jalaal Ansar ek baar Imama ke paas pahonch jaane par use inkaar nahin kar saka hoga. Uski manna samaajat par wo maan gaya hoga.
Imama us ke muqaabley mein bahot khoobsurat thi aur Imama ka khaandaan mulk ke taaqat war tareen khaandaanon mein se ek tha. Koi ahmaq hi hoga jo Jalaal Ansar jaisi haisiyat rakhte hue Imama ko soney ki chidiya na samajhta ho ya phir ho sakta hai wo waqai Imama ki mohabbat mein mubtala ho, jo bhi tha use yaqeen tha ke wo dono shadi kar chuke honge aur pata nahin kis tarah Hashim Mubeen ki aankhon mein dhool jhonk kar chupne mein kaamyaab hue honge ya ye bhi mumkin hai ke Hashim Mubeen ne ab tak unhein dhoond nikala ho.
“Mujhe pata to karna chahiye is barey mein.” Usne socha aur phir agle hi lamhey khud ko jhidka. “For God’s sake Salar! Dafa karo use, jaane do, kyun khwaahmakhwaah uske piche pad gaye ho. Ye jaan kar aakhir kya mil jayega ke Hashim Mubeen us tak pahonche hain ya nahin.” Usne be ikhteyaar khud ko jhidka magar uska tajassus khatm nahin hua.
“Waqai main ne yahan aane ke baad ye jaanne ki koshish kyun nahin ki ke Hashim Mubeen ab tak us tak pahonche hain ya nahin.” Use hairaani ho rahi thi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-89/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar