Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Kabhi Van Dame gaye ho?” Us din university se nikalte hue Mike ne Salar se pucha.
“Ek dafa.”
“Kaisi jagah hai?” Mike ne sawaal kiya.
“Buri nahin hai.” Salar ne tabsara kiya.
“Is weekend par wahan chalte hain.”
“Kyun………?”
“Meri girlfriend ko bahot dilchaspi hai us jagah mein……… wo aksar jaati rehti hai.” Mike ne kaha.
“To tumhein to phir uske sath jaana chahiye.” Salar ne kaha.
“Nahin, sab log chalte hain, zyada maza aayega.” Mike ne kaha.
“Sab logon se tumhari kya muraad hai?” Is baar Danish ne guftgu mein hissa lete hue kaha.
“Jitne dost hain………..Sab…………”
“Main, Salar, tum, Sethi aur Saad.”
“Saad ko rehne do…….. Wo night club ke naam par kaanon ko haath laganey lagega ya phir ek lamba chauda waaz dega.” Salar ne mukaakhlat ki.
“To phir theek hai ham log hi chalte hain.” Danish ne kaha.
“Sandra ko bhi invite kar lete hain.” Salar ne apni girlfriend ka naam liya.
Us weekend ar sab waha gaye aur 3-4 ghanton tak unhon ne waha khoob enjoy kiya. Agle roz Salar subah der se utha. Wo abhi lunch ki tayyari kar raha tha jab Saad ne use phone kiya.
“Abhi uthe ho?” Saad ne uski aawaz sunte hi kaha.
“Haan 10 minute pehle.”
“Raat ko der tak bahar rahe hoge. Isliye……..” Saad ne andaaza lagaya.
“Haan………. Ham log bahar gaye hue the.” Salar ne daanista taur par night club ka naam nahin liya.
“Ham log kaun………..? Tum aur Sandra?”
“Nahin, pura group hi.” Salar ne kaha.
“Pura group……..? Mujhe le kar nahin gaye. Main mar gaya tha?” Saad ne chid kar kaha.
“Tumhara khayaal hi nahin aaya hamein.” Salar ne itmenaan se kaha.
“Bahot ghatiya aadmin ho tum Salar, bahot hi ghatiya…… Ye Danish bhi gaya tha?”
“Ham sab my dear, ham sab……….” Salar ne usi itmenaan ke saath kaha.
“Mujhe kyun le kar nahin gaye tum log?” Saad ki khufgi mein kuch aur izaafa hua.
“Tum abhi bachche ho……… Har jagah bachchon ko le kar nahin jaate.” Salar ne sharaarat se kaha.
“Main abhi aa kar tumhari taangein todta hoon, phir tumhein andaaza hoga ke ye bachcha kitna bada ho gaya hai.”
“Mazaaq nahin kar raha yaar……… Ham ne tumhein saath jaane ko isliye nahin kaha kyun ke tum jaate hi nahin.” Is baar Salar Sanjeeda hua.
“Kyun tum log dauzakh mein jaa rahe the ke wahan na jaata.” Saad ke ghussey mein koi kami nahin aayi.
“Kam az kam tum use dauzakh hi kehte ho. Ham log night club gaye hue the aur tum ko wahan nahin jaana tha.”
“Kyun mujhe waha kyun nahin jaana tha?” Saad ke jawaab ne Salar ko hairaan kiya.
“Tum saath chalte?”
“Of course.”
“Magar tumhein wahan ja kar kya karna tha. Na tum drink karte ho, na dance karte ho……… phir waha jaa kar tum kya karte…….. hamein naseehatein karte.”
“Aisi baat nahin hai. Theek hai drink aur dance nahin karta, magar outing to ho jaati. Main enjoy karta.” Saad ne kaha.
“Magar aisi jaghon par jaan Islam mein jayez nahin hai?” Salar ne chubhtey hue lehje mein kaha. Saad kuch lamhey kuch na keh saka.
“Main wahan koi ghalat kaam karne to nahin jaa raha tha. Tum se keh raha hoon sirf outing ki gharz se jaata.” Chand lamhon baad usne qadrey sambhaltey hue kaha.
“Okay! Agli baar hamara program banega to tumhein bhi saath le lenge bal ke mujhe pehle pata hota to kal raat bhi tumhein saath le leta, ham sab ne waqai bahot enjoy kiya.” Salar ne kaha.
“Chalo ab main kar bhi kya sakta hoon. Khair aaj kya kar rahe ho?” Saad ab usse maamul ki batein karne laga. 10-15 minute tak un dono ke darmiyaan guftgu hoti rahi phir Salar ne phone band kar diya.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-93/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar