Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 93

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Tum is weekend par kya kar rahe ho?” Us din Saad ne Salar se pucha. Wo university ke cafeteria mein maujood the.

“Main is weekend par New York ja raha hoon, Sandra ke saath.” Salar ne apna program bataya.

“Kyun……….?” Saad ne pucha.

“Uske bhai ki shadi hai,mujhe invite kiya hai usne.”

“Wapas kab aaoge?”

“Itwaar ki raat ko.”

“Tum aisa karo ke apne apartment ki chaabi mujhe de jao. Main do din tumhare apartment par guzaarunga. Kuch assignments hain jo mujhe tayyar karne hai aur is weekend par wo chaaron hi ghar honge. Wahan bada rush hoga main tumhare apartment mein itmenaan se padh lunga.” Saad ne kaha.

“Okay! Tum mere apartment mein reh lena.” Salar ne kandhe uchkaate hue kaha.

Use Sandra ke saath Juma ki raat ko nikalna tha. Salar ka bag uski gaadi ki diggy mein tha. Ye ek ittefaaq hi tha ke Sandra ko ain waqt par chand kaam nibtaaney pad gaye aur wo jo sar-e-shaam nikalne ka iraada kiye baithe the, unka program hafte ki subah tak multawi ho gaya. Sandra paying guest ke taur par rehti thi aur wo uske paas raat nahin guzaar sakta tha. Use apne apartment wapas aana pada.

Raat ko taqreeban 11 baje Sandra ko uski rehaaish gaah par drop karne ke baad apartment chala aaya. Usne Saad ko ek chaabi di thi. Dusri chaabi uske paas hi thi, wo jaanta tha ke Saad is waqt baitha padh raha hoga isliye usne use disturb karna zaroori nahin samjha. Wo apartment ka bairooni darwaza khol kar andar daakhil ho gaya, living room ki light on thi. Andar daakhil hote hi use kuch ajeeb sa ehsaas hua tha. Wo apne bedroom mein jaana chahta tha magar bedroom ke darwaazey par hi ruk gaya.

Bedroom ka darwaza andar se band tha magar uske bawajood andar se ubharne wale qehqahey aur baaton ki aawazein sun sakta tha. Saad ke sath andar koi aurat thi. Wo jaamid ho gaya. Uske group mein sirf Saad tha jis ke barey mein uska khayaal tha ke kisi ladki ke saath uske talluqaat nahin the. Wo jitna mazhabi aadmi tha us se ye tawaqqo nahin ki ja sakti thi. Wo andar daakhil nahin hua. Qadrey be chaini se wapas mud gaya aur tab uske nazar living room ke table par rakhi bottle aur glass par padi, wahan se kitchen counter jahaan khaane ke bartan abhi tak pade the. Wo mazeed wahan rukey baghair isi tarah khamushi se waha se nikal aaya.

Uske liye ye baat naa qaabil-e-yaqeen thi ke Saad waha kisi ladki ke sath rehne ke liye aaya tha. Bilkul naa qaabil-e-yaqeen. Jo shakhs haraam gosht naa khaata ho, sharaab na peeta ho, 5 waqt ki namaaz padhta ho, har waqt Islam ki baat karta rehta ho, Dusron ko Islam ki tableegh karta ho, wo kisi ladki ke saath……….. Apartment ke darwaazey ko bahar se band kiye hue isi tarah shock ke aalam mein tha. Bottle aur glass zaahir kar rahe the ke usne pi bhi hui hai aur shayad khana waghaira bhi khaya hoga. Usi freezer aur kitchen mein se jahan ka wo paani tak peene ke liye tayyar nahin hota tha. . Use hansi aa rahi thi, jo apne aap ko jitna acha aur sacha musalmaan zaahir karne ya banne ki koshish karta dikhayi deta hai wo itna bada fraud hota hai. Ek ye shakhs tha jo yun zaahir karta tha jaise pure America mein ek hi musalmaan hai aur ek ladki Imama thi, jo tent jitni badi chaadar odhti thi aur kirdaar uska ye tha ke ek ladke ke liye ghar se bhaag gayi……….. Aur bante phirte hain sache musalmaan.” Niche apni gaadi mein aa kar baithte hue usne kuch tanaffur se socha. “Munaafeqat aur jhoot ki had in par khatm hoti hai.”

Wo gaadi parking se nikaalte hue badbada raha tha. Is waqt wo Sandra ke paas nahin ja sakta tha. Usne Danish ke paas jaane ka faisla kiya wo use dekh kar hairaan hua. Salar ne bahana bana diya ke wo bore ho raha tha isliye usne Danish ke paas aane aur raat wahan guzaarne ka faisla kiya. Danish mutmayin ho gaya.

Itwaar ki raat ko jab wo wapas New Haven apne apartment aaya to Saad wahan nahin tha. Uske flat mein kahin bhi aise aasaar nahin the jis se ye pata chalta ho ke wahan koi aurat aayi thi, wine ki bottle bhi use kahin nahin mili. Wo zair-e-lab muskurata hua poore apartment ka tafseeli jaayeza leta raha. Wahan maujood har cheez waise hi thi jaisi wo chod kar gaya tha. Salar ne apna Samaan rakhne ke baad Saad ko phone kiya. Kuch der rasmi batein karte rehne ke baad wo mauzoo par aa gaya.

“Phir achi rahi tumhari studies……….. Assignment ban gaye?”

“Haan yaar! Main to do din acha khaasa padhta raha, Assignments taqreeban mukammal kar li hain. Tum batao tumhara trip kaisa raha?” Saad ne jawaaban pucha.

“Bahot acha………”

“Kitni der mein pahonch gaye the wahan, raat ko safar karte hue koi problem to nahin hui?” Saad ne sarsari lehje mein pucha.

“Nahin, raat ko safar nahin kiya.”

“Kya matlab?”

“Matlab ye ke Friday ki raat ko nahin, Saturday ki subah gaye the ham log wahan.” Salar ne bataya

“Tum phir Sandra ki taraf rahe the?”

“Nahin Danish ke paas.”

“Kyun yahan aa jate apne apartment par.”

“Aaya tha.” Salar ne bade itmenaan se kaha.

Dusri taraf khamushi chaa gayi. Salar dil hi dil mein hansa. Saad ke pairon ke niche se yaqeenan is waqt zameen nikal gayi thi.

“Aaye the………? Kab…………?” Is baar wo be ikhteryaar haklaaya.

“11 baje ke qareeb………. Tum us waqt kisi ladki ke sath masroof the. Main ne tum logon ko disturb karna munaasib nahin samjha. Isliye wahan se wapas aa gaya.”

Wo andaaza kar sakta tha ke Saad par is waqt sakta taari ho chuka hoga. Uske wehm-o-gumaan mein bhi nahin aa sakta tha ke Salar is tarah uska bhaanda phod dega.

“Waise tum ne kabhi apni girlfriend se milwaya nahin.” Usne mazeed kaha. Saad ko saans lene mein jitni diqqat ho rahi hogi wo andaaza kar sakta tha.

“Bas waise hi, milwa dunga.” Usne dusri taraf se be had maddham aur maazrat khwaahaana andaaz mein kaha.

“Magar tum kisi aur se iska zikr mat karna.” Usne ek hi saans mein kaha.

“Main kyun zikr karunga, tumhein ghabraane ki zaroorat nahin hai.” Salar uski kaifiyat samajhta tha. Use is waqt Saad par kuch taras aa raha tha.

Us raat Saad ne chand minton baad hi phone rakh diya. Salar ko uski sharmindagi ka achi tarah andaaza tha.

Is waqaye ke baad Salar ka khayaal tha ke Saad dobara kabhi uske saamne apni mazhabi aqeedat aur wabastagi ka zikr nahin karega magar use ye dekh kar hairat hui thi ke Saad mein koi tabdeeli nahin aayi thi. Wo ab bhi usi shad-o-mad se mazhab par baat karta, Dusron ko tok deta, Naseehatein karta, namaaz padhne ki hidaayat deta, sadqa khairaat dene ke liye kehta, Allah se mohabbat ke barey mein ghanton bolne ke liye tayyar rehta aur mazhab ke barey mein baat kar raha hota to kisi aayat ya hadees ka hawaala dete hue aankhon mein aansu bhi aa jaate.

Uske group ke logon ke saath aur bahot se log Saad se bahot muta’assir the aur uske kirdaar se bahot mar’oob………… aur Allah se uski mohabbat par rashk ka shikaar………… Ek misaali muslim……….. Jawaani ki masroof zindagi mein bhi…………. Is mein koi shak nahin tha ke Saad baat karna jaanta tha aur uska andaaz-e-bayaan be had muta’assir kun tha. Aur uske shanaasa logon mein sirf Salar tha, jis par uski naseehat koi asar nahin karti thi. Jo usse zarra barabar muta’assir nahin tha aur na hi kisi rashk ka shikaar. Jise Saad ki daadhi uske deen par isteqaamat ka yaqeen dilaane mein kaamyaab hui thi na hi dusron ke liye uska adab-o-ehtraam aur uska narm andaaz-e-guftgu.

Imama se mazhabi logon ke liye uski naa pasandeedgi ka aaghaz hua tha. Jalaal ne use aage badhaya tha aur Saad ne use intehaa tak pahoncha diya tha. Uska khayaal tha ke mazhabi logon se badh kar munaafiq koi dusra nahin hota. Daadhi rakhne wala mard aur parda karne wali aurat kisi bhi qism ki, bal ke har qism ki buraai ka shikaar hote hain aur un logon se zyada jo khud ko mazhabi nahin kehte.

Ittefaaq se milne wale teenon logon ne us yaqeen ko mustehkam kiya. Imama Hashim parda karne wali ladki, aur ek ladke ke liye apne mangetar, apne khaandaan aur apne ghar ko chod kar raat mein faraar ho jaane wali ladki.

Jalaal Ansar………..Daadhi wala mard, Huzoor ﷺ ki mohabbat me sarshaar ho kar naatein padhne wala aur ek ladki se affair chalaane wala aur phir use beech raastey mein chod kar ek taraf ho jaane wala, phir deen alag duniya alag kar ke baat karne wala.

Saad Zafar ke barey mein uski raaye ek waqaye se aur kharaab hui.

Wo ek din uske apartment aaya hua tha. Salar us waqt computer on kiye apna kaam karte hue usse batein karne laga. Phir use kuch cheezein laane ke liye apartment se qareebi market jaana pada aur use paidal wahan aane jaane aur shopping karne mein 30 minutes lage the. Saad uske saath nahin aaya tha. Jab Salar wapas aaya to Saad computer par chatting mein masroof tha. Wo kuch der mazeed uske paas baitha gap shap karta raha phir chala gaya. Uske jaane ke baad Salar ne lunch kiya aur ek baar phir computer par aa kar baith gaya.

Wo bhi kuch der chatting karna chahta tha aur ye ek ittefaaq hi tha ke usne laa sha’oori taur par computer chalaate hue uski history dekh li. Wahan un websites aur pages ki kuch tafseelaat thin jo kuch der pehle usne ya Saad ne dekhi thin.

Saad ne jin websites ko dekha tha wo pornography se mutalliq thin. Use apne ya kisi dusre dost ke un pages dekhne ya un websites ko visit karne par hairat na hoti na aitraaz. Wo khud aisi websites ko visit karta rehta tha magar Saad ke un websites ko visit karne par use hairaani hui thi. Uski nazron mein wo kuch aur niche gir gaya.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-94/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 92



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *