Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 100

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo us weekend par bahot dinon baad kisi restaurant gaya tha. Apna order waiter ko note karwaane ke baad wo restaurant ke sheeshon se bahar sadak ko dekhne laga. Wo jis mez par baitha tha wo khidki ke qareeb thi aur qad aadam khidkiyon ke sheeshon ke paas baith kar use yunhi mehsoos ho raha tha jaise wo bahar footpath par baitha hua tha.

Kisi ladki ki siskiyon ne uski mehwiyat ko toda tha, usne be ikhteyaar mud kar dekha. Usse pichli mez par ek ladka aur ladki baithe the. Ladki kisi baat par rotey hue siskiyaan le rahi thi aur tissue ke saath apnea ansu ponch rahi thi. Ladka uske hath ko thapthapatey hue shayad use tasalli de raha tha. Restaurant itna chota aur tables itni qareeb thin ke wo badi aasani se unki guftgu sun sakta tha magar wo waha is kaam ke liye nahin aaya tha, wo seedha ho gaya. Naa gawaari ki ek laher si uske andar se uthi thi. Use is tarah ke tamashey ache nahin lagte the. Uska mood kharaab ho raha tha, wo wahan sukoon se kuch waqt guzaarney aaya tha aur ye sab kuch………… wo donon Russian the aur usi zabaan mein ek dusrey se baatein kar rahe the. Wo ek baar phir khidki se bahar dekhne laga magar ghair mehsoos taur par uski sama’atein abhi bhi un hi siskiyon ki taraf markooz thin. Usne kuch der baad mud kar ek baar phir us ladki ko dekha. Is baar uske mudne par ladki ne bhi nazrein utha kar use dekha. Chand lamhon ke liye un donon ki nazrein mili thin aur wo chand lamhey us par bahot bhari guzrey the. Uski aankhein mutawarram aur surkh ho rahi thi. Use ek dam ek aur chehra yaad aaya. Imama Hashim ka chehra aur uski mutawarram aankhein.

Waiter uska order le kar aa chuka tha aur wo use server karne laga. Usne paani ke chand ghont peetey hue apne zahen se us chehrey ko jhatakney ki koshish ki. Usne chand gehrey saans liye. Waiter ne apna kaam karte karte use ghaur se dekha magar Salar khidki se bahar dekhne mein masroof tha

“Aaj Mausam bahot acha hai aur main yahan ache lamhey guzaarne aaya hoon, ek acha khana khane aaya hoon, iske baad main yahan se ek film dekhne jaaunga, mujhe us ladki ke barey mein nahin sochna chahiye, kisi bhi tarah nahin. Wo pagal thi, wo bakwaas karti thi aur mujhe uske hawaley se kisi qism ka koi pachtawa nahin hona chahiye. Mujhe kya pata wo kahan gayi, kahan mari, ye sab usne khud kiya tha. Main ne sirf mazaaq kiya tha uske sath. Wo mujh se raabta karti to main use talaaq de deta.”

Laa sha’oori taur par khud ko samjhate samjhate ek baar phir uska pachtawa saamne aane laga tha. Piche baithi ladki ki siskiyaan ab uske dimagh mein nezey ki anni ki tarah chubh rahi thin.

“Main apni table tabdeel karna chahta hoon.” Usne bahot khurdurey andaaz mein waiter ko mukhaatib kiya. Waiter hairaan ho gaya.

“Kis liye sir?”

“Ya to in donon ki table tabdeel kar do ya meri.” Usne hath ke ishaarey se kaha. Waiter ne ek nazar us jodey ko dkeha phir wo Salar ka mas’ala samjha ya nahin magar usne koney mein lagi ek table par Salar ko bitha diya. Salar ko chand lamhon ke liye wahan aa kar waqai sukoon mila tha. Siskiyon ki aawaz ab wahan nahin aa rahi thi magar ab us ladki ka chehra bilkul saamne tha. Chaawalon ka pehla chammach munh mein daalte hue uski nazar us ladki par dobara padi. Wo ek baar phir bad maza ho gaya, use har cheez ek dam be zaaiqa lagne lagi. Ye yaqeenan uski zehni kaifiyat thi, warna wahan ka khana bahot acha hota tha.

“Insaan nematon ka shukr adaa kar hi nahin sakta. Ye meri zabaan par zaaiqa chakhne ki his hai, ye kitni badi nemat hai ke main agar koi cheez khati hon to us mein zaaiqa mehsoos kar sakti hoon. Bahot se log is nemat se bhi mehroom hote hain.”

Us ke kaanon mein ek aawaz goonji thi aur ye shayad intehaa saabit hui. Wo kisi Aatish fishaan ki tarh phat pada. Usne poori quwwat se chammach apni plate mein patkha aur buland aawaz mein dahaada.

“Shut up, just shut up.” Restaurant mein ek dam khamushi chaa gayi.

“You bitch……….. bastard, just shut up.” Wo ab apni seat se khada ho gaya tha. Uska chehra surkh ho raha tha.

“Tum mere zahen se nikal kyun nahin jaatin?”

Dono kanpatiyon par haath rakhte hue wo chillaya.

“Main tumhein maar daalunga, agar tum mujhe dobara nazar aayin.”

Wo ke baar phir chillaya aur phir usne paani ka glass utha kar paani piya aur us waqt pehli baar use restaurant mein baithe hue logon, unki nazron ka ehsaas hua, wo sab use dekh rahe the. Ek waiter uski taraf aa raha tha, uske chehrey par tashweesh thi.

“Aap ki tabiyat theek hai sir?”

Salar ne kuch kahe baghair apna wallet nikaala aur chand currency note table par rakh diye. Ek lafz bhi mazeed kahe baghair wo restaurant se nikal gaya.

Wo Imama nahin thi, ek bhoot tha jo usse chimat gaya tha. Wo jahan jaata, wo wahan hoti. Kahin uska chehra, kahin uski aawaz aur jahan ye donon cheezein na hotin, wahan Salar ka pachtawa hota. Wo ek cheez bholne ki koshish karta to doosri cheez uske saamne aa kar khadi ho jaati, baaz dafa wo itna mushtail ho jaata ke uska dil chahta wo use dobara mile to wo uska gala daba de ya use shoot kar de. Use uski har baat se nafrat thi. Us raat uske saath safar mein guzaarey hue chand ghante uski poori zindagi ko tabaah kar rahe the.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-101/



Prev episode:

Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 99



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *