Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo raat 1 baje Pakistan pahonche. Sikandar aur Tayyab sone ke liye chale gaye. Wo apne kamrey mein aa gaya. Wo taqreeban dedh saal ke baad apne kamrey ko dekh raha tha. Sab kuch waisa hi tha jaise wo chod kar gaya tha. Kapde tabdeel karne ke baad wo light off kar ke apne bed par let gaya. Wo flight ke dauraan sota raha tha, isliye is waqt use neend mehsoos nahin ho rahi thi ya shayad ye Jughraafiyaai (Geographic) tabdeeli thi jis ki wajah se wo so nahin paa raha tha.
“Main waqai aahista aahista be khwaabi ka shikaar ho jaunga.”
Usne taareeki mein kamrey ki chhat ko ghoortey hue kaha. Kuch der isi tarah bed par karwatein badalte rehne ke baad wo uth baitha. Kamrey ki khidkiyon ki taraf jaate hue usne pardon ko hata diya. Uski khidkiyon ke paar wasee side lawn ke dusre taraf Hashim Mubeen ka ghar nazar aa raha tha. Usne itne saalon is khidki ke pardey aage peeche karte kabhi Hashim Mubeen ke ghar par ghaur nahin kiya tha, magar is waqt wo bahot der tak taareeki mein us ghar ke upar wale floor ki lights mein nazar aane wali us imaarat ko dekhta raha. Bahot saari baatein use ek dam se yaad aane lagi thin. Usne pardey ek baar phir barabar kar diye.
“Waseem ke ghar walon ko Imama ka pata chala?”
Usne agle din Naasera ko bula kar pucha. Naasera ne use kuch ajeeb si nazron se dekha.
“Nahin ji, kahan pata chala. Unhon ne to ek ek jagah chaan maari hai, magar kahin se kuch pata nahin chala. Unhein shak abhi bhi aap par hi hai. Salma bibi to bahot gaaliyaan deti hain aap ko.” Salar use dekhta raha.
“Ghar ke naukaron se bhi police ne badi pooch guch ki thi magar main ne to majaal hai zara bhi kuch bataya ho. Unhon ne mujhe kaam se nikaal diya tha. Mujhe bhi, meri beti ko bhi, phir baad mein dobara rakh liya. Aap ke barey mein mujh se poochtey rehte hain. Shayad Rakha bhi un logon ne dobara isi liye hai ke yahan ki khabrein main wahan deti rahoon. Main bhi aayen bayen shayen kar ke taal deti hoon.” Wo baat ko kahan se kahan le ja rahi thi.
Salar ne fauran mudaakhlat ki. “Police abhi bhi use dhoond rahi hai?”
“Haan ji, abhi bhi talaash kar rahe hain. Mujhe zyada to pata nahin, wo log har cheez chupaate hain naukaron se. Imama bibi ki baat bhi nahin karte hamare saamne magar phir bhi kabhi kabhaar koi udti udti khabar mil jaati hai hamein. Salar sahab! Kya aap ko bhi Imama bibi ka pata nahin hai?”
Naasera ne baat karte karte achanak usse pucha.
“Mujhe kaise pata ho sakta hai?” Salar ne Naasera ko ghoora.
“Aise hi pooch rahi hoon ji! Aap ke saath unki dosti thi, isliye main ne socha shayad aap ko pata ho. Wo jo ek baar aap ne mere haath kuch kaaghzaat bhijwaye the, wo kis liye the?” uska tajassus ab tashweesh naak had tak badh chuka tha.
“Is ghar ke kaaghzaat the, main ne ye ghar uske naam kar diya tha.” Naasera ka munh khule ka khula reh gaya phir wo kuch sambhli.
“Par ji! Ye ghar to Sikandar sahab ke naam par hai.”
“Haan, magar ye mujhe tab pata nahin tha. Ye baat tum ne un logon ko batayi hai ke tum yahan se koi kaghaz le kar uske paas gayi thin?”
Naasera ne kaanon ko haath lagaye. “Tauba karen ji! Main ne kyun batana tha. Main ne to Sikandar sahab ko nahin bataya.”
“Aur yahi behtar hai ke tum apna munh isi tarah ke liye Hamesha banda rakho, agar ye baat unko pata chali to papa tumhein samaan samet utha kar ghar se bahar phenk denge. Tum unke ghussey ko jaanti ho, jaao ab yahan se.”
Salar ne turshi se kaha. Naasera khamushi se uske kamrey se nikal gayi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-103/
Prev episode:
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar