Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Ek haftey ke baad wo dobara America aa gaya tha aur uske chand haftey ke baad usne UNICEF mein job shuru kar di thi. Wo New Haven se New York chala gaya tha. Ye ek nayi zindagi ka aaghaaz tha aur waha aane ke chand haftey baad use ye andaaza ho gaya tha ke wo kahin faraar haasil nahin kar sakta tha. Wo use wahan bhi use tarah yaad aa rahi thi, uska ehsaas-e-jurm wahan bhi us ka saath chodne par tayyar nahin tha.
Wo 16-18 ghantey kaam karne laga. Wo ek din bhi 3-4 ghantey se zyada nahin soya aur din raat ki is masroofiyaat ne use badi had tak normal kar diya tha. Agar ek taraf kaam ke ambaar ne uske depression mein kami ki thi to dusri taraf wo apne adaarey mein numaayaan tareen workers mein shumaar hone laga tha. UNICEF ke mukhtalif projects ke silsiley mein wo Asia, Africa aur Latin America ke mumaalik jaane laga. Ghurbat aur bimari ko wo pehli dafa apni aankhon se , itne qareeb se dekha raha tha. Reports aur akhbaaron mein chhapney wale haqaaiq mein aur un haqaaiq ko apni tamaam haulnaaki ke sath khuli aankh se dekhne mein bahot farq hota hai aur ye farq use us job mein hi samajh mein aaya tha. Har roz bhookey sone wale logon ki taadaad karodon mein thi. Har raat pet bhar kar zarurat se zyada kha lene walon ki taadaad bhi karodon mein thi. Sirf 3 waqt ka khana, sar par chhat aur jism par libaas bhi kitni badi neymatein htin, use tab samajh mein aaya tha.
Wo UNICEF ki team ke sath chartered tayyaron mein safar karte hue apni zindagi ke barey mein sochta. Usne zindagi mein aise kaun se kaarnaamey anjaam diye the ke use wo pur aasaaish zindagi di gayi thi jo wo guzaar raha tha aur in logon ne kaun se gunaah kiye the ko wo zindagi ki tamaam buniyaadi zaruriyaat se mehroom, sirf zinda rehne ki khwahish mein khuraak ke un packets ke peechey bhaagte phirtey the.
Wo saari saari raat jaag kar apne adaarey mein un ke liye mumkina schemes aur plans banata rehta. Kahaan khuraak ki distribution kaise ho sakti hai, kya behtri layi jaa sakti hai, kahan mazeed imdaad ki zarurat hai, kin ilaaqon mein kis tarah ke projects darkaar the, wo baaz dafa 48 ghantey baghair soye kaam karta rehta.
Uske banaaye hue proposals aur reports takneeki lehaaz se itne marboot hote the ke un mein koi khaami dhundna kisi ke liye mumkin nahin rehta tha aur uski ye khusoosiyaat, uski saakh aur naam ko aur bhi mustehkam karti jaa rahi thin. Agar Allah ne mujhe dusron se behtar zahen aur salahiyatein di hain to mujhe in salahiyaton ko dusron ke liye istemaal karna chahiye. Is tarah istemaal karna chahiye ke main dusron ki zindagi mein zyada se zyada aasaani laa sakun, dusron ki zindagi ko behtar kar sakoon. Wo kaam karte hue iske alawa aur kuch nahin sochta tha.
UNICEF ke liye kaam karne ke dauraan hi usne MPhil karne ke socha tha aur phir usne MPhil mein admission le liya tha. Evening classes join karte hue use qata’an kisi qism ka koi shubah nahin tha ke wo apne aap ko ek baar phir zarurat se zyada masroof kar raha tha magar us ke paas is ke alawa aur koi raasta nahin tha. Kaam uska junoon ban chuka tha ya phir usse bhi do qadam aage badh kar ek mission.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-116/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-114/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar