Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wapas Washington pahonch kar wo ek baar phir pehle ki tarah masroof ho gaya tha magar is baar ye farq ha ke wo musalsal Pakistan mein Furqan aur Dr. Sabt Ali ke sath raabtey mein tha. Furqan use school ke barey mein hone wali tafseelaat se aagah karta rehta tha.
UNICEF mein is tarah ka kaam uski job ka hissa tha. Use is kaam ke liye bahot acha moawzaa mil jaata tha magar Pakistan ke us gaon mein is tarah ke kaam ka aaghaaz aur wo bhi apne wasaail se. chand saal pehle ke Salar Sikandar ko jaanne wale kabhi bhi yaqeen nahin karte. Khud use bhi yaqeen nahin aata tha ke wo kabhi is tarah ka kaam karne ka soch sakta tha magar ye sirf us project ke liye apne account se paisa nikaalte hue use andaaza hua tha ke us ke liye ye project kam az kam maali lehaaz se mushkil nahin tha.
Pichley 3 saal mein uske akhrajaat mein bahot kami aa gayi thi. Bahot saari wo cheezein uski zindagi se nikal gayi thin jin par wo andha paisa kharch karta tha. Wo apne bank account mein raqm jaan kar hairaan ho gaya tha. Wo aisa shakhs nahin tha jis se paisa jama karne ki tawaqqo ki jaa sakti. MPhil ke liye uske paas scholarship tha use kam az kam uske liye apne paas se kuch kharch nahin karna padta tha. Us din apne apartment mein chalte phirtey us ne pehli baar wahan maujood tamaam cheezon ko ghaur se dekha tha. Uske apartment mein kahin bhi koi bhi mahengi cheez nahin thi bal ke samaan bhi bahot mehdood tha. Uska kitchen bhi khane peene ki cheezon se taqreeban khali tha. Coffee, chai, doodh aur isi tarah ki dusri cheezein. Uska apne apartment mein bahot kam waqt guzarta tha, jo waqt guzarta tha wo sone mein guzarta.
UNICEF mein apni job par jaate hue bhi uske paas pehle se maujood kapdon aur dusri ashiyaa ka itna ambaar maujood tha ke wo us maamley mein bhi laparwahi barat’ta raha. Use achi tarah yaad tha ke usne aakhri baar is tarah ki koi cheez kab khareedi thi. Apne sath kaam karne walon aur university mein apne kuch class fellows ke alawa wo New York mein kisi ko nahin jaanta tha ya phir daanista taur par usne khud ko ek mehdood circle mein rakha tha aur logon ke sath bhi uski dosti bahot rasmi qism ki thi.
Waahid cheez jis par wo kharch karta tha, wo kitaabein thin. Is lifestyle ke sath agar uske account mein itni raqm jama ho gayi thi to ye koi khilaaf-e-tawaqqo baat nahin thi. Office, university, flat……… uski zindagi ke maamulaat mein chauthi cheez koi nahin thi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-124/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-122/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar