Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Chand saalon mein Furqan ki tarah usne bhi gaon mein bahot kaam kiya tha aur Furqan ki nisbat zyada tez raftaari se kyun ke Furqan ke bar aks wo bahot zyada asar-o-rusookh rakhta tha. Usne chand saalon mein us gaon ki haalat badal kar rakh di thi. Saaf paani, bijli aur badi sadak tak jaati pukhta sadak, uske pehle 2 saalon ki kaar kardagi thi. Teesrey saal wahan daak khana, mohakma-e-wazarat ka daftar aur phone ki sahulat aayi thi aur chauthey saal uske apne high school mein seh paher ki classes mein ek NGO ki madad se ladkiyon ke liye dastkaari sikhane ka aaghaz kiya gaya. Gaon ki dispensary mein ambulance aa gayi. Wahan kuch aur machinery nasab ki gayin. Furqan ki tarah ye dispensary bhi usne apne wasaail se school ke sath shuru ki thi aur ise mazeed behtar banane mein Furqan ne uski madad ki thi.
Furqan ke bar aks uski dispensary mein doctor ki adam dastiyaabi ka koi mas’ala nahin tha. Uski dispensary ka baaqaaida aaghaz hone se bhi pehle ek doctor uski koshishon ki wajah se wahan maujood tha.
School par hone wale tamaam akhraajaat taqreeban usi ke the laikin dispensary ko qayem karne aur use chalane ke liye hone wale akhraajaat uske kuch dost bardaasht kar rahe the. UNICEF mein kaam ke dauraan banaye hue contacts aur dostiyaan ab uske kaam aa rahi thin aur wo unhein istemaal kar raha tha. Wo UNICEF aur UNESCO mein apne bahot se doston ko Pakistan aane par wahan laa chuka tha. Wo ab wahan vocational training ki planning karne mein masroof tha, magar chauthey saal sirf yahi kuch nahin hua tha, kuch aur bhi hua tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-138/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-136/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar