Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 152

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Tumhari tabiyat theek hai?”

Ramsha ne Salar ke kamrey mein aate hue kaha. Us ne reception ki taraf jaate hue Salar ke kamrey ki khidkiyon ke chand khuley hue blinds mein use andar dekha tha. Corridor mein se jaane ki bajaye wo ruk gayi. Salar table par apni kohniyaan tikaaye donon hathon se apna sar pakdey hue tha. Ramsha jaanti thi ke use kabhi kabhaar migrane ka dard hota tha. Wo reception ki taraf jaane ki bajaye us ke kamrey ka darwaza khol kar andar aa gayi.

Salar use dekh kar sidha ho gaya. Wo ab table par khuli ek file ko dekh raha tha.

“Tumhari tabiyat theek hai?” Ramsha ne fikr mandi se pucha.

“Haan main bilkul theek hoon……..”

Usne Ramsha ko dekhne ki koshish nahin ki. Ramsha wapas jaane ki bajaye aagey badh aayi.

“Nahin tum theek nahin lag rahe.” Us ne Salar ke chehrey ko ghaur se dekhte hue kaha.

“Tum please is file ko le jao………. Ise dekh lo………main dekh nahin paa raha………..” Salar ne uski baat ka jawaab dene ki bajaye file band kar ke table par uski taraf khiska di.

“Main dekh leti hoon, tumhari tabiyat zyada kharaab hai to ghar chale jao.”

Ramsha ne tashweesh bharey andaz mein kaha.

“Haan, behtar hai. Main ghar chala jaun.” Usne apna brief case nikaal kar khola aur apni cheezein andar rakhna shuru kar din. Ramsha baghaur uska jaaiza leti rahi.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-153/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-151/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *