Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo ehraam baandhe khana-e-Kaaba ke sehan mein khada tha. Khana-e-Kaaba mein koi nahin tha. Dur dur tak kisi wajood ka nishaan nahin tha. Raat ke pichhley paher aasman par chaand aur sitaaron ki raushni ne sehan ko marble se mun’akis ho kar wahan ki har cheez ko ek ajeeb si dudhiya raushni mein nehla diya tha. Chaand sitaaron ke alawa wahan aur koi raushni nahin thi.
Khana-e-Kaaba ke ghilaaf par likhi hui aayaat, siyaah ghilaaf par ajeeb tarah se raushan the. Har taraf gehra sukoot tha aur us gehrey sukoot ko sirf ek aawaz tod rahi thi. uski aawaz……….uski apni aawaz………wo muqaam-e-multazim ke paas khada tha. Uski nazrein Khana-e-Kaaba ke darwazey par thin aur wo sar uthaye buland aawaz se kehne laga.
“Labbaik Allahumma Labbaik …… Labbaik Laa Shareeka Laka Labbaik …… Innal Hamda Wanni’mata Laka Wal’mulk Laa Shareeka Lak …… “
(Haazir hoon mere Allah main haazir hoon …… haazir hoon tera koi shareek nahin, main haazir hoon …… Bey shak hamd-o-sana tere liye hai, neymat teri hai, baadshaahi teri hai, koi tera shareek nahin)
Puri quwwat se goonjti hui uski aawaz Khana-e-Kaaba ke sukoot ko tod rahi thi, uski aawaz khalaa ki wus’aton tak jaa rahi thi.
“Labbaik Allahumma Labbaik ……”
Nange paon, neem barhana wahan khada wo apni aawaz pehchaan raha tha.
“Labbaik Laa Shareeka Laka Labbaik …… “ Wo sirf uski aawaz thi.
“Innal Hamda Wanni’mata Laka Wal’mulk …… “
Uski aankhon se behte hue aansu uski thoodi se ho kar niche us ke pairon par gir rahe the.
“Laa Shareeka Lak …… “
Uske hath aasman ki taraf uthe hue the.
“Labbaik Allahumma Labbaik ……”
Usne Khana-e-Kaaba ke ghilaaf par kunda aayat ko ek dam bahot raushan dekha, itna raushan ke wo jagmagaaney lagi thin. Aasman par sitaaron ki raushni bhi achaanak badh gayi. Wo un aayat ko dekh raha tha. Mabhoot, saher zadah, kisi maamul ki tarah, zabaan par ek hi jumla liye……… usne Khana-e-Kaaba ke darwazey ko bahot aahista aahista khultey dekha.
“Labbaik Allahumma Labbaik ……”
Uski aawaz aur buland ho gayi. Ek dard ki tarah, ek saans, ek lay.
“Labbaik Allahumma Labbaik ……”
Us waqt pehli baar usne apni aawaz mein kisi aur aawaz ko mugham hote mehsoos kiya.
“Innal Hamda Wanni’mata …… “
Uski aawaz ki tarah wo aawaz buland nahin thi. kisi sargoshi ki tarah thi. Kisi goonj ki tarah, magar wo pehchaan sakta tha. Wo uski aawaz ki goonj nahin thi, wo koi aur aawaz thi.
“Laka Walmulk …… “
Usne pehli baar Khana-e-Kaaba mein apne alawa kisi aur ki maujoodgi ko mehsus kiya.
“Laa Shareeka Lak …… “
Khana-e-Kaaba ka darwaza khul raha tha.
“Labbaik Allahumma Labbaik ……”
Wo us niswani aawaz ko pehchaanta tha.
“Laa Shareeka Lak …… “
Wo uske sath wahi alfaaz dohra rahi thi
“Labbaik Innal Hamda Wanni’mata …… “
aawaz dayen taraf nahin thi bayen taraf thi. kahaan……….. uski pusht par. Chand qadam ke faasley par.
“Laka Wal’mulk Laa Shareeka Lak …… “
Usne jhuk kar apne paon par girney wale aansuon ko dekha, uske paon bheeg chukey the.
Usne sar utha kar Khana-e-Kaaba ke darwazey ko dekha. Darwaza khul chuka tha. Andar raushni thi, dudhiya raushni. Itni raushni ke usne bey ikhteyaar ghutney tek diye. Wo ab sajdah kar raha tha, raushni kam ho rahi thi. Usne sajdey se sar uthaya, raushni aur kam ho rahi thi.
Wo uth khada ho gaya. Khana-e-Kaaba ka darwaza ab band ho raha tha. Raushni aur kam hoti jaa rahi thi aur tab usne ek baar phir sargoshi ki surat mein wahi niswaani aawaz suni.
Is baar usne mud kar dekha tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-155/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-153/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar