Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
“Phir kya program hai, chalogey?”
Furqan ne agley din shaam ko usse card lete hue kaha.
“Nahin, main to is weekend par Karachi jaa raha hoon. IBE ke ek seminar ke liye. Itwaar ko meri waapsi hogi. Main to aa kar bas sounga. Nothing else……… tum chale jaana, main lifaafa de dunga wo tum meri taraf se maazrat karte hue de dena.” Salar ne kaha.
“Kitne afsos ki baat hai Salar! Wo khud card de kar gayi hain, itni mohabbat se bulaya hai.” Furqan ne kaha.
“Jaanta hoon laikin main udhar jaa kar waqt zaaye nahin kar sakta.”
“Ham bas thodi der baithenge phir aa jayenge.”
“Furqan! Meri waapsi confirm nahin hai ho sakta hai main Itwaar ko aa hi na sakun ya Itwaar ki raat ko aaun.”
“Bey had fuzool aadmi ho tum. Wo badi maayus hongi.”
“Kuch nahin hoga, mere na hone se unki beti ki shadi to nahin ruk jayegi. Ho sakta hai unhein pehle hi mere na aane ka andaza ho aur waise bhi Furqan! Tum aur main koi itne ahem mehmaan nahin hain.”
Salar ne laa parwahi se kaha.
“Baher haal main aur meri biwi to jayenge, chahe ham ham ahem mehmaan hi kyun na hon.” Furqan ne naraazi se kaha.
“Main na kab roka hai, zaroor jao, tumhein jaana bhi chahiye. Sayeeda amma ke sath tumhari mujh se zyada bey takallufi aur dosti hai.” Salar ne kaha.
“Magar Sayeeda amma ko mere bajaye tumhara zyada khayal rehta hai.” Furqan ne jataaya.
“Wo murawwat hoti hai.” Salar ne uski baat ko sanjeedgi se liye baghair kaha.
“jo bhi hota hai baher haal tumhara khayal to hota hai unhein. Chalo aur kuch nahin to Dr Sabt Ali ki azeeza samajh kar hi tum unke haan chaley jaao.” Furqan ne ek harba aur aazmaya.
“Dr sahab to khud yahan nahin hain. To to khud shadi mein shirkat nahin kar rahe aur agar wo yahan hote bhi to kam az kam mujhe tumhari tarah majboor nahin karte.”
“Achcha main bhi nahin karta tumhein majboor. Nahin jaaa chahte to mat jao.”
Furqan ne kaha
Salar ek baar phir apne laptop ke sath masroof ho chuka tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-159/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-157/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar