Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 161

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Ramzan ki 4 taarikh thi, jab Dr Sabt Ali wapas aaye. Wo raat ko kaafi der se aaye the aur Salar ne us waqt unhein disturb karna munaasib nahin samjha tha. Wo raat ko unke paas pehle ki tarah jaana chahta tha magar do paher ko khilaaf-e-tawaqqo bank mein unka phone aa gaya. Salar ke nikaah ke baad ye unka Salar se teesra raabta tha. Wo kuch der uska haal ahwaal puchte rahe phir unhon ne usse kaha.

“Salar! Aap aaj raat ko na aayein, shaam ko aa jayein. Iftaar mere saath karein.”

“Theek hai main aa jaunga.” Salar ne haami bhartey hue kaha.

Kuch der un ke darmiyaan mazeed ghufgu hoti rahi phir Dr Sabt Ali ne phone band kar diya.

Wo us din bank se kuch jaldi nikal aaya. Apne flat par kapdey tabdeel karne ke baad wo jab unke paas pahoncha us waqt iftaar mein ek ghanta baaqi tha.

Dr Sabt Ali ka mulaazim use ijtemaa wale bairooni kamrey ke bajaye sidha andar lounge mein le aaya tha. Dr Sabt Ali ne badi garm joshi ke sath usse baghal geer hone ke baad badi mohabbat ke sath uska maatha chooma.

“Pehle aap ek dost ki haisiyat se yahan aatethe, aaj aap ghar ka ek fard ban kar yahan aaye hain.”

Wo jaanta tha unka ishaara kis taraf tha.

“Aaiye baithiye.” Wo use baithne ka ishaara karte hue khud dusrey sofe par baith gaye.

“Bahot mubarak ho. Ab to aap bhi ghar wale ho gaye hain.”

Salar ne khamush nazron aur pheeki muskurahat ke sath unhein dekha. Wo muskura rahe the.

“Main bahot khush hoon ke aap ki shadi Aamna se hui hai. Wo mere liye meri chauthi beti ki tarah hai aur is rishtey se aap bh imere damaad hain.”

Salar ne nazrein jhuka lin. Uski zindagi mein Imama Hashim ka baab nahin likha hota to shayad unke munh se ye jumla sun kar wo apne aap par fakhr karta magar saara farq Imama Hashim thi. Saara farq wahi ek ladki paida kar rahi thi, wo jo thi aur nahin thi.

Dr Sabt Ali kuch der use dekhte rahe phir unhon ne kaha.

“Aap itne saalon se mere pas aa rahe hain aap ne kabhi mujhe ye nahin bataya ke aap nikaah kar chuke hain. Tab bhi nahin jab ek do baar aap se shadi ka zikr hua.”

Salar ne sar utha kar unhein dekha.

“Main aap ko batana chahta tha magar ………. “ Wo baat karte karte chup ho gaya.

“Sab kuch itna ajeeb tha ke main aap ko kya batata.” Us ne dil mein kaha.

“Kab hua tha aap ka nikaah?” Dr Sabt Ali Dheemey lehjey mein puch rahe the.

“saadhe aath saal pehle, ab main 21 saal ka tha.” Usne kisi shikast khoorda maamul ki tarah kaha. Phir wo aahista aahista unhein sab kuch batata gaya. Dr Sabt Ali ne ek baar bhi use nahin toka tha. Uske khamush hone ke baad bhi bahot der tak wo chup rahe the.

Bahot der baad unhon ne usse kaha tha.

Aamna bahot achhi ladki hai aur wo khush qismat hai ke use ek saaleh mard mila hai.”

Unki baat Salar ko ek chaabuk ki tarah lagi.

“Saleh? Main saleh mard nahin hoon Dr sahab! Main to ……….. asfal-us-saafileen hoon. Aap mujhe jaante hote to mere liye kabhi ye lafz istemal na karte na us ladki ke liye mera intekhaab karte jise aap apni beti ki tarah samajhte hain.”

“Ham sab apni zindagi ke kisi na kisi marhaley par zamana-e-jaahiliyat se zaroor guzartey hain, baaz guzar jaate hain, baaz saari zindagi usi zamaney mein guzaar dete hain. Aap us mein se guzar chuke hain. Aap ka pachhtawa bata raha hai ke aap guzar chuke hain. Main aap ko pachhtawey se rokunga na tauba aur dua se, aap par farz hai ke aap apni saari zindagi ye karein, magar uske sath sath ye shukr bhi ada karein ke aap nafs ki tamaam bimariyon se chhutkara paa chukey hain.”

“Agar duniya aap ko apni taraf nahin kheenchti, agar Allah ke khauf se aap ki aankhon mein aansu aa jaate hain, agar Dauzakh da tasawwur aap ko daraata hai, agar aap Allah ki ibaadat us tarah karte hain jis tarah karni chahiye, agar neki aap ko apni tarah raaghib karti hai aur buraai se aap ruk jaate hain to phir aap saaleh hain. Kuch saaleh hote hain, kuch saaleh bantey hain, saaleh hona khush qismati ki baat hai, saaleh banna do dhaari talwaar par chalne ke barabar hai. Is mein zyada waqt lagta hai, is mein zyada takleef sehni padti hai. Main ab bhi yahi kehta hoon ke aap saaleh hain kyun ke aap saaleh bane hain, Allah aap se bade kaam lega.”

Salar ki aankhon mein nami aa gayi unhon ne ek baar phir Imama Hashim ke barey mein kuch nahin pucha tha, kuch nahin kaha tha. Kya iska matlab tha ke wo hamesha ke liye uski zindagi se nikal gayi hai? Kya iska matlab tha ke wo aayinda bhi kabhi uski zindagi mein nahin aayegi? Use apni zindagi Aamna ke sath hi guzaarni padegi? Uska dil dooba. Wo doctor sahab ke munh se Imama ke hawaley se koi tasalli, koi dilaasa, koi ummid chahta tha.

Dr Sahab khamush the. Wo chup chaap unhein dekhta raha.

“Main aap ke liye aur Aamna ke liye bahot dua karunga balke main bahot dua kar ke aaya hoon Khana-e-Kaaba mein……….. Rauza-e-Rasool ﷺ par.” Wo London se waapsi par umrah kar ke aaye the. Salar ne sar jhuka liya. Dur azaan ki aawaz aa rahi thi. mulaazim iftaari ke liye mez tayyar kar raha tha. Usne bojhal dil ke sath Dr Sabt Ali ke sath baith kar roza iftaar kiya phir wo aur Dr Sabt Ali namaaz padhne ke liye qareebi masjid mein chale gaye. Wahan se waapsi par usne Dr Sabt Ali ke haan khana khaya aur phir apne flat par wapas aa gaya.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-162/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-160/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *