Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Lahore pahonchne ke baad uske liya agla marhala kisi ki madad haasil karna tha magar kis ki? Wo hostel nahin jaa sakti thi. wo Jaweriya aur baaqi logon se raabta nahin kar sakti thi kyun ke uske ghar wale uski saheliyon se waaqif the aur chand ghanton mein wo use Lahore mein dhudney wale the. Balke ho sakta hai ab tak uski talaash shuru ho chuki ho aur is surat-e-haal mein un logon se raabta karna khatrey se khali nahin tha. Uske liye Sabeeha ki surat mein waahid option reh jaata tha, magar wo is baat se waaqif nahin thi ke wo abhi Peshawar se wapas aayi thi ya nahin.
Sabeeha ke ghar par mulaazim ke siwa aur koi nahin tha. Wo log abhi Peshawar mein hi the.
“Wapas kab aayenge?” Usne mulaazim se pucha. Wo use jaanta tha.
“Kya aap ke paas wahan ka phone number hai?” Us ne qadrey maayusi ke aalam mein pucha.
“Ji, wahan ka phone number hai mere paas.” Mulaazim ne usse kaha.
“Wo aap mujhe de dein. Main phone par usse baat karna chahti hoon.”
Use kuch tasalli hui. Mulaazim use andar le aaya. Drawing room mein use bitha kar usne wo number laa diya. Usne mobile par wahin baithe baithe Sabeeha ko ring kiya. Phone Peshawar mein ghar ke kisi fard ne uthaya tha aur use bataya ke Sabeeha bahar gayi hui hai.
Imama ne phone band kar diya.
“Sabeeha se meri baat nahin ho saki. Main kuch der baad use dobara phone karungi.” Usne paas khade mulaazim se kaha.
“Tab tak main yahin baithungi.”
“Mulaazim sar hilaate hue andar chala gaya. Usne ek ghantey ke baad dobara Sabeeha ko phone kiya. Wo uski call par hairaan thi.
Usne mukhtasar taur par apna ghar chhod aane ke barey mein bataya. Usne use apne Salar ke nikaah ke barey mein nahin bataya kyun ke wo nahin jaanti thi Sabeeha is saare maamley ko kaise dekhegi.
“Imama! Tumhare liye sab se behtar ye hai ke tum is maamley mein court se raabta karo. Tabdeeli-e-mazhab ke hawaley se protection maango.” Sabeeha ne uski saari guftgu ke baad kaha.
“Main ye karna nahin chahti.”
“Kyun?”
“Sabeeha! Main pehle hi is mas’aley ke barey mein bahot soch chuki hoon. Tum mere baba ki position aur asar-o-rusookh se waaqif ho. Press to tufaan utha dega. Meri family ko bahot saari pareshaaniyon ka saamna karna padega. Main ye to nahin chahti ke mere ghar par pathrao ho, meri wajah se mere ghar walon ki zindagi ko khatra ho aur aaj tak jitni ladkiyon ne Islam qubool kar ke court protection lene ki koshish ki hai unke saath kya hua hai. Court daar-ul-amaan bhej deti hai. Wo jail bhejne ke mutaraadif hai. Case ka faisla kitni der tak ho, kuch pata nahin.”
“Ghar wale ek ke baad ek case file karte rehte hain. Kitne saal is tarah guzar jayenge, kuch pata nahin hota agar kisi ko court aazad rehne ki ijaazat de bhi de ot wo logo itne mas’aley khade karte rehte hain ke bahot saari ladkiyan wapas ghar walon ke paas chali jaati hain. Main na to daar-ul-amaan mein apni zindagi barbaad karna chahti hoon na hi logon ki nazron mein aana chahtin hoon. Main ne khamushi ke sath ghar chhoda hai aur main usi khamushi ke sath apni zindagi guzaarna chahti hoon.”
“Main tumhari baat samajh sakti hoon Imama! Laikin masaail to tumhare liye abhi bhi khade kiye jayenge. Wo tumhein talaash karne ke liye aedi choti ka zor laga denge aur un logon ke liye masaail paida honge jo tumhein panaah denge aur wo jab tumhein dhundna shuru karenge to mujh tak pahonchna to unke liye bahot aasan hoga. Tumhari madad kar ke hamein bahot khushi hogi magar mere abbu yahi chahenge ke madad chhup kar karne ki bajaye khul kar ki jaaye aur court is maamley mein yaqeenan tumhare farq mein apna faisla dega. Tum abhi mere ghar par hi raho. Main is barey mein mulaazim ko keh deti hoon aur aaj main abbu se baat karti hoon. Ham koshihs karenge, kal Lahore wapas aa jayein.”
Imama ne mulaazim ko bula kar phone uske hawaley kar diya. Sabeeha ne mulaazim ko kuch hidayat din aur phir raabta munqatey kar diya.
“Mai Sabeeha bibi ka kamra khol raha hoon, aap wahan chali jayein.” Mulaazim ne usse kaha.
Wo Sabeeha ke kamrey mein chali aayi magar uski tashweesh aur pareshani mein izaafa ho gaya tha. Wo Sabeeha ke nuqta-e-nazar ko samajh sakti thi. wo yaqeenan ye nahin chahti thi ke khud Sabeeha aur uski family par koi musibat aaye. Is maamley mein Sabeeha ke andeshey durust the. Agar Hashim Mubeen ko ye pata chal jaata ke use Sabeeha ki family ne panaah di thi to wo unke jaani dushman ban jaate. Shayad is liye Sabeeha ne usse qanoon ki madad lene ke liye kaha tha magar ye raasta uske liye zyada dushwaar tha.
Jamaat ke itne bade leader ki beti ka is tarah mazhab chhod dena puri jamaat ke munh par tamaanchey ke mutaradif tha aur wo jaante the ke is se purey mulk mein jamaat aur khud unke khaandaan ko kitni zik pahonchegi aur wo is bey izzati se bachney ke liye kis had tak jaa sakte the, Imama jaanti nahin thi magar andaza kar sakti thi.
Wo Sabeeha ke kamrey mein daakhil ho rahi thi jab uske zahen mein jhamaakey ke sath Sayyada Maryam Sabt Ali ka khayal aaya tha. Wo Sabeeha ki dost aur class fellow thi. wo usse kai baar milti rahi thi. ek baar Sabeeha ke ghar par hi Maryam ko uske qubool-e-Islam ka pata chala tha. Wo shayad Sabeeha ki waahid dost thi jise Sabeeha ne Imama ke barey mein bata diya tha aur Maryam bahot hairaan nazar aayi thi.
“Tumhein agar kabhi meri kisi madad ki zarurat hui to mujhe zaroor batana balke bila jhijhak mere paas aa jaana.”
Usne badi garm joshi ke sath Imama se hath milaatey hue kaha. Baad mein bhi Imama se hone wali mulaqaaton mein wo hamesha usse usi garm joshi ke sath milti rahi thi. wo nahin jaanti thi ke use uska kyun khayal aaya tha ya wo kis had tak uski madad kar sakti thi magar is waqt us ne usse bhi raabta karne ka faisla kiya. Usne mobile se phone karna chaha magar mobile ki battery khatm ho chuki thi. Usne use charging karne ke liye lagaya aur khud lounge mein aa kar apni diary se Maryam ka number dial karne lagi.
Phone Dr Sabt Ali ne uthaya tha.
“Main Maryam se baat karna chahti hoon, main unki dost hoon.”
Usne apna taaruf karwaya. Usne pehli baar Maryam ko phone kiya tha.
“Main baat karwata hoon.” Unhon ne phone hold karne ka kaha. Kuch seconds ke baad Imama ne dusri taraf Maryam ki aawaz suni.
“Hello………”
“Hello Maryam! Main Imama baat kar rahi hoon.”
“Imama……… Imama Hashim?” Maryam ne hairaani se kaha.
“Haan, mujhe tumhari madad ki zarurat hai.”
Wo use apne barey mein batati gayi. Dusri taraf mukammal khamushi thi jab usne baat khatm ki to Maryam ne kaha.
“Tum is waqt kahan ho?”
“Main Sabeeha ke ghar par hoon, magar Sabeeha ke ghar par koi nahin hai. Sabeeha Peshawar mein hai.”
Usne Sabeeha ke sath hone wali guftgu ke barey mein use nahin bataya.
“Tum wahin raho. Main driver ko bhejti hoon. Tum apna samaan le kar uske saath aa jao………… Main itni der mein apni ammi aur abbu se baat karti hoon.”
Usne phone band karte hue kaha. Ye sirf ittefaaq tha ke usne Dr Sabt Ali ke ghar ki jaane wali call Salar ke mobile se nahin ki thi warna Sikandar Usman Dr Sabt Ali ke ghar bhi pahonch jaate aur agar Imama ko ye khayal aa jaata ke wo mobile se use traceout karne ki koshish karenge to wo Lahore aa kar ek baar bhi mobile istemaal nahin karti.
Ye ek aur ittefaaq tha ke Dr Sabt Ali ne apne office ki gaadi aur driver ko use lene ke liye bhijwaya tha warna Sabeeha ka mulaazim Maryam ki gaadi aur driver ko pehchaan leta kyun ke Maryam aksar wahan aaya karti thi aur Sabeeha ke sath sath wo log bhi ye jaan jaate ke wo Sabeeha ke ghar se kahan gayi thi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-168/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-166/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar