Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 176

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo apne ghar se aate hue, apne saare documents apne paas maujood zewraat aur raqm bhi le aayi thi. jab Dr Sabt Ali ne is gftgu ke chand din baad bula kar use Multan mein admission ke faisley ke barey mein batane ke sath uske documents ke barey mein pucha to wo us bag ko le kar unke paas chali aayi usne documents ka ek lifaafa nikaal kar unhein diya phir zewraat ka lifaafa nikaal kar unki mez par rakh diya.

“Main zewraat apneghar se laayi hoon. Ye bahot zyada to nahin hain magar phir bhi itne hain ke main inhein bech kar kuch arsa aasaani se apni taalim ke akhrajaat utha sakti hoon.”

“Nahin, ye zewraat bechne ki zaurat nahin hai. Ye aap ki shadi mein kaam aayenge. Jahan tak taalimi akhrajaat ka talluq hai to aap ko pata hona chahiye ke aap meri zimmey daari hain. Aap ko is silsiley mein pareshan hone ki zarurat nahin.”

Wo baat karte karte chaukey. Unki nazar uske table par rakhe chhote se khule bag ke andar thi. Imama ne unki nazron ka ta’aaqub kiya. Wo bag mein nazar aane wale chhote se pistol ko dekh rahe the. Imama ne qadrey sharmindagi ke aalam mein us pistol mo bhi nikaal kar table par rakh diya.

“Ye mera pistol hai. Main ye ghar se laayi hoon, main ne aap ko bataya tha mujhe Salar se madad leni thi aur wo achcha ladka nahin tha.”

Wo unhein use barey mein mazeed nahin bata sakti thi. Dr Sabt Ali pistol ko utha kar dekh rahe the.

“Chalana aata hai aap ko ise?”

Imama ne afsurda muskurahat ke sath asbaat mein sar hila diya.

“College mein NCC ki training hoti thi. mera bhai Waseem bhi rifle shooting club mein jaaya karta tha kabhi kabhaar mujhe bhi sath le jaata tha. Main ne apne baba se zid karke kharida tha. Ye gold plated hai.”

Wo unke hath mein pakdey hue pistol ko dekhte hue maddham aawaz mein keh rahi thi.

“Aap ke paas iska license hai?”

“Hai magar wo sath le kar nahin aayi.”

“Phir aap ise yahin rehne dein. Multan sath le kar na jaayein. Zewraat ko locker mein rakhwa dete hain.”Imama ne sar hila diya.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-177/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-175/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *