Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Sayeeda amma se uski pehli mulaqaat Dr Sabt Ali ne Multan jaane se pehle Lahore mein karwaai thi. Sayeeda amma ke bahot se azeez-o-aqaarib Multan mein rehte the. Dr Sabt Ali Imama ko unse aagaah karna chahte the taa ke Multan mein qayaam ke dauraan kisi bhi zarurat ya emergency mein wo unki madad le sakey.
Sayeeda amma 65-70 saal ki bey had baatuni aur active aurat thin. Wo Lahore ke androon shaher mein ek purani haveli mein tanha rehti thin. Unke shauhar ka inteqaal ho chuka tha jab ke do bete bairoon mulk taalim haasil karne ke baad wahin muqeem the. Wo donon shadi shuda the aur unke bey had israar ke bawajood Sayeeda amma bahar jaane par tayyar nahin thin. Unke donon bete baari baari har saal Pakistan aaya karete aur kuch arsa qayaam ke baad wapas chale jaate the. Dr Sabt Ali se unki qaraabat daari thi. wo unke cousin hote the.
Dr Sabt Ali ne Imama ke barey mein pehle hi Sayeeda amma ko bata diya tha. Isliye jab wo unke sath unke ghar pahonchi to wo badi garm joshi se mili thin. Unhon ne Multan mein maujood taqreeban apne har rishtey daar ke barey mein tafseelaat uske gosh guzaar kar di thin aur phir shayad is sab ko naa kaafi jaante hue unhon ne khud saar chal kar use hostel chhod aane ki offer ki jisey Dr Sabt Ali ne narmi se rad kar diya tha.
“Nahin aapa! Aap ko zehmat hogi.” Unke bey had israar ke bawajood wo nahin maaney the.
“Behtar to ya hai bhai sahab ke aap use mere bhaiyon mein se kisi ke ghar thehra dein. Bachchi ko ghar jaisa aaram aur mahol milega.”
Unhein achanak hostel par aitraaz hone laga aur phir unhon ne hostel ki zindagi ke kai masaail ke barey mein raushni daali thi magar Dr Sabt Ali aur khud wo bhi kisi ke ghar mein rehna nahin chahti thi. Hostel behtreen option tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-183/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-181/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar