Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Sayeeda amma se uski dusri mulaqaat Multan jaane ke chand maah baad us waqt hui thi jab ek din achanak use kisi khatoon mulaqaati ki ittelaa hostel mein di gayi thi. kuch der ke liye wo khauf zadah ho gayi thi. wahan is tarah achanak usse milne kaun aa sakta tha aur wo bhi ek khatoon…….. magar Sayeeda amma ko dekh kar wo hairaan reh gayi. Wo usse usi garm joshi se mili thin jis tarah Lahore mein mili thin. Wo taqreeban 2 haftey Multan mein rahi thin aur un 2 hafton mein kai baar usse milne aayi thin. Ek baar wo unke sath hostel se unke bhai ke ghar bhi gayi.
Phir ye jaise maamul ban gaya. Wo chand maah mein Multan aatin aur apne qayaam ke dauraan baqaaidgi se uske paas aati rehtin. Wo khud jab mahiney mein ek baar Lahore aati to unse milne ke liye bhi jaati. Kai baar jab uski chhuttiyaan zyada hotin to wo use wahan thaherney ke liye israar kartin. Wo kai baar wahan rahi thi. Surkh eenton ka bana hua wo purana ghar use achcha lagta tha ya phir ye tanhaai ka wo ehsaas tha jo wo unke sath share kar rahi thi. uski tarah wo bhi tanha thin. Agarche unki ye tanhaai unke hamma waqt mail-jol ki wajah se kam ho jaati thi magar iske bawajood Imama unke ehsasaat ko bina koshish kiye samajh sakti thi.
Lahore wapas shift hone se bahot arsey pehle hi uhon ne Imama se ye jaan lene ke baad ke wo MSc Lahore se karna chah rahi hai, use saath rakhne ke liye israar karna shuru kar diya.
Isi arsey ke dauran Dr Sabt Ali ki sab se badi beti unke paas bachchon samait kuch arsey ke liye rehne chali aayin. Unke shauhar PhD ke liye bairoon mulk chale gaye the. Wo Dr Sabt Ali ke bhateejey the. Jaane se pehle wo apni family ko unke haan thehra gaye the. Dr Sabt Ali ke ghar mein jagah ki koi kami nahin thi magar ab Imama unke ghar mein rehna nahin chah rahi thi. wo jald az jald apne pairon par khada hona chahti thi. Dr Sabt Ali ke ehsanaat ka bojh pehle hi use zair-baar kar raha tha. Wo ye nahin chahti thi ke wo unke paas reh kar taalim haasil karey aur uske baad uske job karne par bhi wo use kahin aur rehne na dete. Laikin agar wo pehle hi alaaheda rihaaish ikhteyaar rakhti to uske liye unse apni baat manwana aasaan hota. Sayeeda amma ka ghar use apni rihaaish ke liye bahot munaasib laga tha. Wo job shuru kar par unhein majboor kar ke kiraaye ki mad mein kuch na kuch lene par majboor kar sakti thi magar Dr Sabt Ali shayad ye sab kabhi gawaara na karte.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-184/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-182/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar