Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo usse teen qadam aagey khada tha. Itna qareeb ke wo hath badhati to uska kandha chhoo leti. Wahan un donon ke alawa koi aur nahin tha. Wo uske kandhey se upar Khana-e-Kaaba ke khultey hue darwazey ko dekh rahi thi. wo noor ke us sailaab ko dekh rahi thi jis ne wahan maujood har cheez ko apni lapet mein lena shuru kar diya tha. Wo Khana-e-Kaaba ke ghilaaf par tehreer aayaat ko baa aasaani dekh sakti thi. wo aasmaan par maujood sitaaron ki raushni ko ek dam badhtey hue mehsoos kar sakti thi.
Us se aagey khada shakhs talbeeh padh raha tha. Wahan goonjney wali waahid aawaz usi ki thi. khush-ul-haan aawaz ……… usne bey ikhteyaar apne aap ko ske peechey wahi kalmaat dohraatey paaya. Usi tarah jis tarah wo padh raha tha, magar zair-e-lab…….. phir wo apni aawaz uski aawaz mein milaaney lagi. Usi ki tarah, par zair-e-lab…….. phir uski aawaz buland hone lagi phir usko ehsaas hua……… wo apni aawaz uski aawaz ke sath buland nahin kar paa rahi thi. usne koshish tark kar di. Wo uski aawaz mein aawaz milaati rahi.
Khana-e-Kaaba ka darwaza khul chuka tha. Us ne us shakhs ko aagey badh kar darwazey ke paas jaa kar khadey hote dekha. Us ne use hath aasmaan ki taraf uthaatey dekha. Wo dua kar raha tha. Wo use dekhti rahi, phir usne hath nichey kar liye. Wo ab nichey baith kar zameen par sajdah kar raha tha, Kaabey ke darwazey ke saamne. Wo use dekhti rahi. Ab wo khada ho raha tha. Wo palatney wala tha. Wo uska chehra dekhna chahti thi. uski aawaz shanasaa thi magar chehra, chehra dekhe baghair…….. wo ab mud raha tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-187/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-185/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar