Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo jis waqt market ki parking mein gaadi se utra, shaam ho chuki thi. Market ki raushniyaan wahaan jaise rang-o-noor ka sailaab le aayi thin. Wo jagah jagah phirtey ladke ladkiyon ko dekh sakta tha. Maghribi malboosaat mein bey fikri aur laa parwaahi se qehqahey lagate hue. use zindagi mein pehli baar is jagah se wehshat hui thi, wahi wehshat jo wo 48 ghantey pehle Margalla ki un pahadiyon par mehsoos karta raha tha. Wo un hi ladko mein se ek tha ladkiyon se ched chaad karne wala, buland-o-baang qehqahey lagane wala, fizool aur bey hooda baatein karne wala. Apna sar niche kiye wo kisi bhi cheez par dhyaan diye baghair saamne nazar aane wali book shop mein chala aaya.
Apni jeb se kaaghaz nikaal kar usne dukaandar ko apni matlooba kitaabon ke barey mein bataya. Wo Quran paak ka ek tarjuma aur namaaz ke barey mein kuch dusri kitaabein khareedna chahta tha. Dukaandaar ne use hairaani se dekha, wo Salar ko achi tarah jaanta tha. Wo wahan se pornography ke ghair Mulki magazines, Sydney Sheldon aur Harold Robins samait chand usrey English novels likhne walon ke ha naye novel ko khareedney ka aadi tha.
Salar uski nazron ke iste’jaab ko samajhta tha. Wo usse nazrein milaane ki bajaye sirf counter ko dekhta raha. Wo aadmi kis salesman ko hidaayat deta raha phir usne Salar se kaha.
“Aap bade din baad aaye. Kahin gaye hue the?”
“Studies ke liye.” Usne sar hilaatey hue saamne pade hue kaghaz par likha.
“Aur ye galey ko kya hua?”
“Bas theek nahin hai.” Usne likha.
Salesman Quran paak ka tarjuma aur dusri matlooba kitaabein le aaya.
“Haan! Ye Islami kitaabon ka aaj kal trend chala hua hai. Log bahot padhne lage hain, badi achi baat hai. Khaas taur par bahar jaa kar to zaroor padhna chahiye.” Dukaandar ne bade kaarobaari andaaz mein muskuratey hua kaha. Salar ne kuch nahin kaha. Wo apne saamne padi kitaabon par ek nazar daudaane laga.
Chand lamhon ke baad dayen hath par Quran paak ke tarjumey ke saath counter par khaali jagah par shopkeeper ne uske saamne pornography ke kuch naye magazines rakh diye. Kitaabon ko dekhte dekhte usne chaunk kar sar uthaya.
“Ye naye aaye hain, main ne socha aap ko dikha dun. Ho sakta hai aap khareedna pasand karein.”
Salar ne ek nazar Quran paak ke tarjumey ko dekha dusri nazar chand inch door padey un magazines ko dekha, ghussey ki ek laher si uske andar uthi thi. Kyun? Wo nahin jaanta tha. Apne bayen hath se un magazines ko utha kar wo jitni door us shop ke andar phenk sakta tha usne phenk diye. Chand lamhon ke liye puri shop mein khamushi chaa gayi.
Salesman hakka bakka khada tha. “Bill” Salar ne kaaghaz par ghaseeta aur surkh chehrey ke sath us salesman ki aankhon ke saamne us kaaghaz ko kiya. Salesman ne kuch bhi kahe baghair apne saamne pade computer par un kitaabon ka bill banana shuru kar diya jo uske saamne rakhi thin.
Chand minton mein Salar ne bill adaa kiya aur kitabein utha kar darwazey ki taraf badh gaya.
“Idiot………” Dukaan se bahar nikalte hue usne counter ke paas khadi ek ladki ka tabsara suna, mukhaatib kaun tha, usne mud kar dekhna ki zaroorat nahin samjhi. Wo jaanta tha wo tabsara usi par kiya gaya tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-108/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-106/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar