Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Do haftey baad uski aawaz bahaal ho gayi thi. Agarche abhi uski aawaz bilkul baithi hui thi, magar wo bolne ke qaabil ho gaya tha aur in do hafton mein wo rooh ki dariyaaft mein masroof raha. Wo zindagi mein pehli baar ye kaam kar raha tha. Shayad zindagi mein pehli baar use ye ehsaas hua tha ke rooh bhi koi wajood rakhti thi aur agar rooh ke sath koi mas’ala ho jaaye to……… wo zindagi mein pehli baar khamushi ke ek lambey phase mein daakhil hua tha. Bolna nahin sunna……….. sirf sunna bhi baaz dafa bahot ahem hota hai is ka idraak use pehli baar ho raha tha.
Use zindagi mein kabhi raat se khauf nahin aaya tha, us waqaye ke baad use raat se bey tahaasha khauf aane laga tha. Wo kamrey ki light on kar ke sota tha. Usne police custody mein un dono ladkon ko pehchaan liya tha, magar wo police ke saath us jagah par jaane ko Tayyar nahin hua tha jahan us shaam wo use baand kar chod gaye the. Wo dobara kisi zehni paraagandagi ka shikaar hona nahin chahta tha. Usne zindagi mein is se pehli kabhi itni bey khwaab raatein nahin guzaari thin magar ab ye ho raha tha ke wo sleeping pills liye baghair soney mein kaamyaab nahin hota tha aur baaz dafa jab wo sleeping pills nahin leta to wo saari raat jaagtey hue guzaar deta. Usne New Haven mein bhi aise hi chand haftey guzaarey the. Itne hi takleef dah aur aziyyat naak magar tab sirf uljhan aur izteraab tha ya shayad kisi had tak pachtaawa.
Magar ab wo ek teesri kaifiyat se guzar raha tha, khauf es. Wo andaaza nahin kar paa raha tha ke us raat use kis cheez se zyada khauf aaya tha. Maut se, qabr se ya phir dauzakh se.
Imama ne kaha tha, “Ecstasy” ke baad “Pain” hota hai. Maut “Pain” thi.
Usne kaha tha “Pain” ke baad “Nothingness” hogi.
Qabr “Nothingness” thi.
Imama ne kaha tha “Nothingness” ke baad “Hell” aa jaayega.
Wo wahan tak pahonchna nahin chahta tha. Wo us “Ecstasy” se bachna chahta tha jo use “Pain” se “Hell” ka safar karne par majboor kar deti.
“Agar mujhe in sab cheezon ka pata nahin tha to Imama ko kaise ha. Wo meri hi ham umr hai. Wo mere jaise khaandaan se talluq rakhi hai, phir uske paas in sawaalon ke jawaab kaise aa gaye?” wo hairaan hote hue sochne lagta. Aasaaishein to uske paas bhi waisi hi thin jaisi mere paas thin, phir us mein aur mujh mein kya farq tha. Wo jis maktaba-e-fikr se thi wo kaun hote hain aur wo kyun maktaba-e-fikr se munsalik rehna nahin chahti thi? Usne pehli baar iske barey mein tafseeli taur par padha. Uski uljhanon mein izaafa hua, khatm-e-nubuwwat par ikhtelaaf kya itna ahem issue hai ke ek ladki is tarah apna ghar chod kar chali jaaye?
“Main ne Asjad se isliye shadi nahin ki kyun ke wo Khatm-e-nubuwwat par yaqeen nahin rakhta. Tum samajhte ho main tumhare jaise insaan ke sath zindagi guzaarney par Tayyar ho jaungi? Ek aise shakhs ke sath jo khatm-e-nubuwwat par yaqeen rakhta hai aur phir bhi gunaah karta hai. Jo har wo kaam karta hai jis se mere Paighambar ﷺ ne manaa farmaaya. Agar main Harzat Muhammad ﷺ par yaqeen na rakhne wale se shadi nahin karungi to main Aap ﷺ ki naa farmaani karne wale ke sath bhi zindagi nahin guzaarungi.”
Use Imama Hashim ka har lafz yaad tha. Wo mafhoom par pehli baar ghaur kar raha tha.
“Tum ye baat nahin samjhoge.”
Usne bahot baar Salar se ye jumla kaha tha. Itni baar ke wo us jumley se chidney laga tha. Aakhir wo ye baat keh kar us par kya jataana chahti thi? Ye ke wo koi bahot badi scholar ya paarsa tha aur wo usse kamtar………?
Ab wo soch raha tha, wo bilkul theek kehti thi. Wo waqai tab kuch bhi samajhne ke qaabil nahin tha. Keechad mein rehne wala keeda kaise jaan sakta hai ke wo kis gandagi mein rehta hai, use apne bajaye dusre gandagi mein liptey aur gandagi mein nazar aate hain. Wo tab bhi gandagi mein hi tha.
“Mujhe tumhari aankhon se, tumhare khule garebaan se ghin aati hai.” Use pehli baar ab in dono cheezon se ghin aayi. “ Aayine ke saamne khade hone par ye jumla kisi buzz word ki tarah kai maah tak uske kaanon mein goonjta raha. Wo har baar use zahen se jhatakta, kuch mushtail ho jaata, apne kaam mein masroof ho jaata magar ab pehli baar usne mehsoos kiya tha ke use khud bhi apne aap se ghin aane lagi thi. Wo apna garebaan band rakhne laga tha. Apni aankon ko jhukaane laga. Wo aayine mein bhi khud apne aankhon mein dekhne se katraaney laga tha.
Usne kabhi kisi se ye nahin suna tha ke kisi ko uski aankhon uski nazron se ghin aati thi. Khaas taur par kisi ladki ko. Ye uski aankhein nahin, aankhon mein jhaankney wala ta’assur tha jis se Imama Hashim ko ghin aayi thi. Aur Imama Hashim se pehle kisi ladki ne is ta’assur ko shanaakht nahin kiya tha.
Wo aankhon mein aankhein daal kar baat karne wali ladkiyon ki company mein rehta tha aur wo aisi hi ladkiyon ko pasand karta tha. Imama Hashim ne kabhi uski aankhon mein aankhein daal kar baat nahin ki thi.. wo uske chehrey ko dekhti aur use apni taraf dekhte paa kar nazar hata leti ya kisi aur cheez ko dekhne lagti. Salar ko khush fehmi thi ke wo usse nazrein isliye chura rahi thi kyun ke uski aankhein bahot pur Kashish thin.
Use pehli baar uske munh se phone par ye sun kar shock laga tha ke use uski aankhon se ghin aati thi.
“Aankhein rooh ki khidkiyaan hoti hain.” Usne kahin padha tha. To kya meri aankhein mere andar chupi gandagi ko dikhaana shuru ho gayi thin? Use tajjub nahin hua. Aisa hi tha, magar us gandagi ko dekhne ke liye saamne wale ka paak hoa zaroori tha aur Imama Hashim paak thi.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-109/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-107/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar