Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 109

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Aap ab mujhe kuch bhi na samjhaayein. Aap ko ab mujh se koi shikaayat nahin hogi.” Salar ne Sikandar se aankhein milaaye baghair kaha.

Wo dobara Yale jaa raha tha aur jaane se pehle Sikandar ne hamesha ki tarah use samjhaane ki koshish ki thi. Wahi puraani naseehatein, kisi mauhoom si aas aur ummeed mein ek baar phir uske kaanon mein thoonsney ki koshish ki thi magar is baar unke baat shuru karte hi Salar ne unhein shayad zindagi mein pehli dafa yaqeen dahaani karwayi thi aur zindagi mein pehli baar Sikandar Usman ko uske alfaaz par yaqeen aaya tha.

Wo use haadsey ke baad usmein aane wali tabdeeliyon ko waazeh taur par dekh rahe the. Wo pehle wala Salar nahin raha tha, uski zindagi tabdeel ho chuki thi. Uska huliya, uska andaaz, sab kuch………. Uske andar ke sholey ko jaise kisi ne phoonk maar kar bujha diya tha. Saheeh hua ya ghalar, ye tabdeeliyaan achi thin ya buri. Khud Sikandar Usman bhi is par koi raaye dene ke qaabil nahin hue the magar unhein ye zaroor maalum ho gaya tha ke usmein koi bahot badi tabdeeli aayi thi. Unhein ye andaaza nahin hua tha ke usne zindagi mein pehli baar chot khaayi thi aur zindagi mein pehli baar padney wali chot, bade badon ko rula deti hai, wo to phir 21-22 saal ka ladka tha.

Zindagi mein baaz dafa hamein pata nahin chalta ke ham taareeki se bahar aaye hain ya taareeki mein daakhil hue hain. Andherey mein simt ka pata nahin chalta magar aasmaan aur zameen ka pata zaroor chal jata hai bal ke har haal mein chalta hai. Sar uthaane par aasmaan hi hota hai, sar jhukaane par zameen hi hoti hai. Dikhaai de na de magar zindagi mein safar karne ke liye sirf 4 simton hi ki zaroorat padti hai. Dayen, bayen. Aagey aur peechey. Paachween simt pairon ke niche hoti hai. Wahan zameen na ho to paataal aa jaata hai. Paataal mein pahonchne ke baad kisi simt ki zaroorat nahin rehti.

Chhatti simt sar se upar hoti hai. Wahan jaaya hi nahin jaa sakta. Wahan Allah hota hai. Aankhon se nazar na aane wala magar dil ki har dhadkan, khoon ki har gardish, har aane jaane wali saans, halaq se utarne wale har niwaaley ke saath mehsoos hone wala. Wo photographic memory, wo 150+ IQ level use ab azaab lag raha tha. Wo sab kuch bhoolna chahta tha. Wo sab jo wo karta raha tha, wo kuch bhi bulaaney ke qaabil nahin tha. Koi usse us ki takleef puchta.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-110/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-108/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *