Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 11

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Ek bht badi kothi ke aqab me moujood taxi se musicki awazein bahar lawn tak aa rahi thi. Bahar moujoodkoi bhi shakhs taxi ke andar moujood logon kiquwwat e barshasht par hairani ka izhaar kar saktatha. Lekin wo taxi ke Andar moujood logon ki haalatdekh leta to wo us hairaanqun quwwat e barshasht kiwajah jaan jaata. Taxi me moujood 6 ladke jis haalatme they, us haalat me usee tez o buland music bhiunpar asar andaan na ho sakta tha. Aur jahan tak 7thladke ka taalluq tha, to wo esi kiso cheez se mutassirnahi hota tha.

Annexe ka wo kamra us waqt dhueun ke margholoaur Ajeeb qism ki boo se bhara hua tha. Qaleen pe ekmashoor restaurant se laaye gaye khano ke khulehue dabbe aur disposable plates aur chamche bhipadhe they. Qaleen par khane ki bachi kuchi cheezenaur haddiyaan bhi idhar udhar phenki gayi thi. So”drink ki plastic ki bottles bhi idhar udhar ludak rahithi. Ketchup ki botlon se nikalne wali ketchup qaleenko kuch aur badnuma bana rahi thi.Wo 7 ladke usi qaleen par ek doosre se kuch faaslepar virajman they. Unke saamne qaleen par beer kekhali cans ka ek dher bhi laga hua tha. Aur tafri ka yesilsila wahin tak nahi ruka tha. Us waqt wo un drugsko istemaal karne me masroof they, jinka intezaamunme se kisi ek ne kiya tha.

Pichle 2 maah me woteesri baar is adventure ke liye ekatthey hue they. Aurun teen mawaqey pe wo 4 mukhtalif drugs istemaalkar chuke they.Pehli baar unhone wo drug istemaal ki thi, jo unme seek ko apne baap ke daraz se mili thi.Doosri baar unhone jo drugs istemaal ki thi, wounhone apne ek school fellow ke tawassud seIslamabad ke ek club se khareedi thi.Aur is baar wo jo drug istemaal kar rahe they, wounhone ek trip par, Rawalpindi ke ek market me ekafghan se khareedi thi.Teeno mawaqon pe unhone un drugs ke saathalcohol ka istemaal kiya tha. Jiska husool unke liyemushkil nahi tha.

Us waqt bhi un 7 ladko me se 6poori tarah nashe me they. Unme se ek abhi bhikaanpte haatho ke saath, drugs ko soongne kikoshish kar raha tha. Jab ke 2 ladke cigarette peeteyhue baaqi ladkon ke saath tooti phooti gu”agu karrahe they. Sirf 7th ladka mukammal taur pe hosh metha. Us ladke ka chehra pimples se bhara hua tha. Auruske gale me moujood siyah tang dori me 3 – 4 tambeke ajeeb si shaklon ke zewraat piroye hue they.Elvis Presley style ke ek collar wali ek check daar darkblue shirt ke saath ek behooda si surmai jeans pehnehue tha, jiske dono ghutno par Madonna ka chehrapaint kiya gaya tha.

Usne aankein khol kar apnedayein taraf moujood ladko par ek uchatti nazardaali. Uski ankhein surkh ho rahi thi, magar us surkhike bawajood esa koi taassur nahi de rahi thi, ke wobaaqi ladko ki tarah mukammal taur par nashe kigira” me tha. Chand minute unhe dekhne ke baadusne seedhey hote hue, dibiya me moujood baaqidrugs cone me daal di. Aur ek chote se straw ke saathuse soongne laga. Kaafi der baad usne straw ko ektaraf phenk diya. Aur apne haath ki por par thodi sidrugs rakh kar zabaan ki nok ke saath kuch dilchaspi,tanassus, magar ehtiyaat ke saath use chakha.Doosre hi lamhe barq ra”aari ke saath usne bayeinjanib thooka.Drug yaqeen bht achhi quality ki thi, uski ankhen abpehle se zyada surkh ho rahi thi. Magar abhi bhi woapne hoosh o hawaas me tha. Uske chehre ketaasuraat se andaza ho raha tha ke wo apni sargarmise zyada mehsoos nahi hua. Ek do minute baad apnepaas qaleen par padhe hue ek beer ke can se chandghoont lete hue drugs ke zayqe ko saaf karne ki koshish ki. Can rakhne ke baad wo kuch der tak coneme moujood drugs ko dekhta raha. Doosre 6 ladke uswaqt nashe me poori tarah dhut, qaleen pe ondheyseedhye padhe they, magar wo ab bhi uski tarahbaitha, can me moujood beer ke ghoont lete hue,pusoch andaaz me un sabko dekhta raha. Uskiaankein ab mutawwarin ho rahi thi. Magar unmemoujood chamak bata rahi thi ke wo abhi bhimukammal taur par nashe me nahi hai.

Ye uske saath teesri baar hua tha. Pehli 2 baar drugs istemaal karne ke baad wo isi tarah baitha raha tha. Jabke uske dost nashe me bht jald dhut hue they. Raat ke pichle peher wo in logon ko isi haalat me chodh kar ghar aa gaya tha. Aaj bhi wo yehi karna chahta tha. Kamre ke andar moujood drug ki boo se ab pehli baar wo ulajhne laga. Usne khade hone ki koshish ki aur wo ladkhadaya. Apni ladkhahat pe qaabu patey hue wo seedha khada ho gaya. Neeche jhuk kar usne carpet se keyring, volet aur credit card uthaye. Phir aage badhke usne stereo ko band kar diya. Apni mutawarrim aur surkh aankhon se usne kamre me ek nazar dorai, yun jaise ki wo kuch yaad karne ki koshish kar raha ho. Phir wo kamre ki darwaze ki taraf badh gaya.

Ek baar phir usne neechey baith kar joggers pehne. Unke taswon ko takhno ke gird lapetkar girah baandhi. Phir darwazey ka lock khol kar bahar nikal gaya. Roshni se wo yak dam corridor ki taariki me aa gaya tha. Andhere me apna raasta dhoondte hue wo annexe ke behrooni darwaze ko kholta hua bahar lawn me aa gaya. Aneksi ki seedhiyan utarte hue apni naak se koi cheez behti mehsoos hui. Baayan haath uthakar usne apne oopri honth pe rakha. Uski ungliyaan chip chipane lagi thi. Apna haath uthatey hue usne aneksi ki behrooni light ki roshni me dekha. Uske poron par khoon ke qatre lage hue they. Usne apne trouser ki jeb tatoltey hue andar se ek rumaal baramat kiya. Aur apne poron pe laga khoon saaf kiya. Uske baad usi rumaal se apni naak pe chamakta khoon saaf kiya. Use apne halaq me koi cheez chubhti hui mehsoos hui. Usne khankaar ke apna gala saaf karne ki koshish ki. Use ab ghutan ka ehsaas hone laga. Chand gehri saans lekar usne ghutan kam karne ki koshish ki. Wahin khade khade usne 2 – 3 baar thooka. Aur ek baar phir seedhi utarne ke liye qadam badhaya. Wo yak dam thatak kar reh gaya. Uske naak me ajeeb si sansanahat hui. Aur phir yak dam koi cheez poori quwwat se behne lagi. Wo beikhtiyaar kamar ke bal jhuk gaya. Ek dhaar ki soorat me uski naak se nikalne wala khoon seedhiyon par girne laga tha. Marble pe phisalta hua khoon, wo use dekhta raha.


Stay tuned for more book reviews.

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *