Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 116

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Furqaan se Salar ki pehli mulaqaat America se Pakistan aate hue flight ke dauraan hui. Wo uske sath wali seat par baitha hua tha. Wo America mein doctors ki kisi conference mein shirkat kar ke wapas aa raha tha jab ke Salar Sikandar apni bahen Anita ki shadi mein shirkat ke liye Pakistan aa raha tha. Us lambi flight ke dauraan donon ke darmiyaan ibtedaayi taaruf ke baad guftgu ka silsila thama nahin.

Furqan, umr mein Salar se kaafi bada tha, wo 35 saal ka tha. London specialization karne ke baad wo wapas Pakistan aa gaya tha aur wahan ek hospital mein kaam kar raha tha. Wo shadi shuda tha aur uske do bachche bhi the.

Chand ghantey aapas mein guftgu karte rehne ke baad Furqan aur wo soney ki tayyari karne lage. Salar ne maamul ke mutaabiq apne brief case se sleeping pills ki ek goli paani ke sath nigal li. Furqan ne uski is tamaam karwayi ko khamushi se dekha. Jab usne brief case band kar ke dobara rakh diya to Furqan ne kaha.

“Aksar log flight ke dauraan sleeping pills ke baghair nahin so sakte.”

Salar ne gardan mod kar use dekha aur kaha.

“Main sleeping pills ke baghair nahin so sakta. Flight mein hoon ya na hoon, usse koi farq nahin padta.”

“Sone mein mushkil pesh aati hai?” Furqan ko ek dam uch tajassus hua.

“Mushkil?” Salar muskuraya. “Main sirey se so hi nahin sakta. Main sleeping pills leta hoon aur 3-4 ghantey so leta hoon.”

“Insomnia?” Furqan ne pucha.

“Shayad, main ne doctor se checkup nahin karwaya magar shayad wahi hai.” Salar ne qadrey laparwahi se kaha.

“Tumhein check up karwana chahiye tha, is umr mein Insomnia…….. ye koi bahot sehat mand alaamat nahin hai. Mera khayaal hai tum kaam ke piche junooni ho chuke ho aur isi ajah se tum ne apni sone ki normal routine ko kharaab kar liya hai.”

Furqan ab kisi doctor ki tarah bol raha tha. Salar muskuratey hue sunta raha. Wo use nahin bata sakta tha ke wo agar raat din musalsal kaam na karey to wo us ehsaas-e-jurm ke sath zinda nahin reh sakta tha jise wo mehsoos karta hai. Wo use ye bhi nahin bata sakta tha ke wo sleeping pills ke baghair soney ki koshish kare to wo Imama ke barey mein sochne lagta. Is had tak ke use apna sar dard se phat’ta hua mehsoos hone lagta hai.

“Kitne ghantey kaam karte ho ek din mein?” Furqan ab puch raha tha.

“18 ghantey, baaz dafa 20 .”

“My goodness! Aur kab se?”

“2-3 saal se.”

“Aur tab hi se neend ka mas’ala hoga tumhein, main ne theek andaza lagaya. Tum ne khud apni routine kharab kar li hai.” Furqan ne usse kaha. “Warna itne ghantey kaam karne wale aadmin ko to zehni thakan hi ek lambi aur pur sukoon neend sula deti hai.”

“Ye mere sath nahin hota.” Salar ne maddham lehje mein kaha.

“Yahi to tumhein jaanne ki koshish karni chahiye ke agar ye tumhare sath nahin hota to kyun nahin hota.” Salar usse ye nahin keh saka ke wo wajah jaanta hai. Kuch der khamushi ke baad Furqan ne usse kaha.

“Main agar tumhein kuch aayatein bataun raat ko sone se pehle, to tum padh sakoge?”

“Kyun nahin padh sakunga.” Salar ne gardan mod kar usse kaha.

“Nahin! Asal mein tumhare aur mere jaise log jo zyada padh lete hain aur khaas taur par taleem maghrib mein haasil karte hain wo aisi cheezon par yaqeen nahin rakhte ya unhein practical nahin samajhte.” Furqan ne wazahat ki.

“Furqan! Main haafz-e-Quran hoon.” Salar ne isi tarah lete hue pur sukoon aawaz mein kaha.

Furqan ko jaise current laga.

“Main roz raat ko soney se pehle ek siparah padh kar sota hoon, mere sath yaqeen ya aitmaad ka koi mas’ala nahin hai.” Salar ne baat jaari rakhi.

“Main bhi hafiz-e-Quran hoon.”

Furqan ne bataya. Salar ne gardan mod kar muskuratey hue use dekha. Ye yaqeenan ek khush gawaar ittefaq tha. Agarche Furqan ne dadhi rakhi hui thi magar Salar ko phir bhi ye andaza nahin ho paya tha ke wo hafiz-e-Quran hai.

“Phir to tumhein is tarah ka koi mas’ala nahin hona chahiye. Quran paak ki tilawat kar ke sone wale ko neend na aaye, ye mujhe ajeeb lagta hai.”

Salar ne Furqan ko badbadatey suna. Wo ab apne hawaas ko halka halka maflooj paa raha tha. Neend us par ghalba paa rahi thi. Usne aankhein band kar lein.

“Tumhein koi pareshani hai?” usne Furqan ki aawaz suni. Wo neend ki goliyon ke zair-e-asar na hota to muskura kar inkaar kar deta magar wo jis haalat mein tha us mein wo inkaar nahin kar saka.

“Haan, mujhe bahot zyada pareshaniyan hain. Mujhe sukoon nahin hai,mujhe lagta hai main musalsal kisi sehra mein safar kar raha hoon, pachtaawey aur ehsaas-e-jurm mujhe chodte hi nahin. Mujhe …….. Mujhe kisi peer-e-kaamil ki talaash hai, jo mujhe is takleef se nikaal de, jo mujhe meri zindagi ka raasta dikha de.”

Furqan dam bakhud uska chehra dekh raha tha. Salar ki aankhein band thin, magar wo uski aankhon ke konon se nikalti nami ko dekh raha tha. Uski aawaz mein bhi bey-rabti aur ladkhadahat thi. Wo us waqt laa sha’oori taur par sleeping pills ke zair-e-asar bol raha tha.

Wo ab khamush ho chuka tha. Furqan ne mazeed koi sawaal nahin kiya. Bahot hamwaar andaaz mein chalne wali uski saans bata rahi thi ke wo neend mein jaa chuka tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-117/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-115/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *