Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Golf club me taqreeb e takseem e namat munaqqid ki jaa rahi thi. 16 saal ka Salar Sikandar bhi under 16 ki category me ‘7 under par’ ke score ke saath pehli position ki trophy wasool karne ke liye moujood tha.
Sikandar Usman ne Salar sikandar ka naam pukare jane par taaliyaan bajate hue, us trophy cabinet ke bare me socha, jisme is saal unhe mazeed tabdeeliyan karwani padengi. Salar ko milne wali shields aur trophys ki tadad is saal bhi pichle saalon jaisi hi thi. Unke tamaam bache padhaai me bht achhe they magar salar sikandar baaqi sabse mukhtalif tha. Trophys, shields aur certificate ke maamle me wo sikandar Usman ke baaqi bachhon se bht aage tha. 150 IQ ke haamil us bachhe ka muqabla karna unme se kisi ke liye mumkin tha bhi nahi.
Fakhriya andaaz me taali bajate sikandar Usman ne Daayein taraf baithi apni biwi se sargoshi me kaha
“Ye golf me uski 13th aur is saal ki chauthi trophy hai”
“Har cheez ka hisaab rakhte ho tum” Uski biwi ne muskurate hue Jaise qad e satayshi andaaz m3 apne
shauhar se kaha, jiski nazre mehmaan e khususi se trophy wasool karte salar par markooz thi.
“Sirf golf ka, aur kyu tum achhi tarah janti ho” Sikandar Usman ne biwi ko dekha jo ab set ki taraf jate salar ko dekh rahi thi.
“I bet, agar ye us waqt muqabale me shirkat karne wale professional khiladiyon ke saath khel raha hota, to bhi us waqt uske haath me ye hi trophy hoti. “ Sikandar Usman ne door se bete ko dekhte hue kuch fakhriya andaaz me dawa kiya. Salar, apni seat ke eteraaf me moujood doosri seeton par moujood doosre inamaat wasool karne walon se haath mila raha tha. Uski biwi ko sikandar Usman ke dawe par koi hairaani nahi hui. Kyuki wo janti thi ye ek aulad ke baare me baap ka jazbati jumla nahi tha. Wo waqai itna hi ghair mamuli tha.
Usne 2 hafte pehle apne bhai zubair ke saath, isi golf course par aththaarwa (18th) hole par khele jane wala golf matche yaad aaya. Rough me ittafaqan gir jane wali ball ko wo jis safai aur maharath ke aath green par laya tha, usne zubair ko mahv e hayat kar diya. Zubair pehli baar salar ke saath golf khel raha tha. “Mujhe yaqeen nahi aa raha.” 18th hole ke khatme tak ye kisi ko bhi yaad nahi tha Ke usne ye jumla kitni baar bola tha.
Rough se khele jane wale shot ne agar use mahv e hairat kiya tha, to salar sikandar ke pointers ne use dam bakhud kar diya tha. Gaind( ball) ko hole me jatey dekh kar, usne club ke sahare khade khade sirf gardan modh kar uski hole aur salar sikandar ke faasle ko napa tha. Aur jaise beyaqini se sar hilate hue salar sikandar ko dekha.
“Aaj salar sahab achha nahi khel rahe.” Zubair nemudhkar beyaqini ke aalam me apne peechey khadecady ko dekha jo glof cord ko pakde salar ko dekh kebadbada raha tha.
“Abhi ye achha nahi khel raha” Zubair ne golf club kopakde club ke cady ko iztehzaiya andaaz se ekha.
“Haan sahab, warna ball kabhi rough me na jati. “Cady ne bade mamuli andaaz me bataya.
“Aap aaj yahan pehli baar khel rahe hain, aur Salarsahab pichle 7 saal se yahan khel rahe hain. Me isiliyeye keh raha hu ki aaj wo achha nahi khel rahe.” Cadyne zubair ki malumaat me izafa kiya.Zubair ne apni behen ko dekha jo fakhriya andaaz memuskura rahi thi.
“Agli baar me poori tayyari se aaunga aur agli baarjagah ka intekhab bhi me hi karoonga.” Zubair nekuch khi!at se apni behen ke saath jaate salar kodekha.“Any time any place “ Unhone salar ki taraf apne bhaiko pur etemaad andaaz me chalenge karte hue kaha.“Me tumhe is weekend par PA aur DA ke saathKarachi bulwana chahta hu.” Unhone salar ke qareebpohoch kar halke philke andaaz me kaha. Salar muskuraya,
“kis liye? “
“Mere behalf par tumhe Karachi chamber ofcommerce ke sadar ke saath ek match khelna hai. Meis baar elections me usse hara hu. Wo agar kisi se golf ka match haar gaya, to use heart attack ho jayega,aur wo bhi ek bachhe ke haathon. So let’s settle the scores”Wo apne bhai ki baat par hasi thi. Magar salar kemaathey par chand bal namudaar ho gaye they.
“Bachha? “ Usne us jumle me moujood qableaiteraaz lafz ko dohraya.“Mera khayal hai uncle, mujhe aapke saath kal ek 18holes ka ek aur match khelna hoga.
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar