Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 125

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


UNICEF mein kiye jaane wale un anthak kaamon ki tarah wo yahan aa kar ek baar phir usi tarah kaam karne laga tha magar Islamabad ke niwaahi ilaaqey mein shuru kiya jaane wala wo school yahan bhi uske zahen se mehv nahin hua tha. Baaz dafa use hairat hoti ke apni job mein taalim se itna gehra talluq hone ke bawajood aakhir use kabhi Furqan ki tarah school kholne ka khayaal kyun nahin aaya. Agar is school kar barey mein wo kai saal pehle soch leta to shayad aaj ye school bahot mustehkam buniyaadon par khada hota.

“Mujhe Pakistan se zyada mohabbat nahin hai, na hi uske liye main koi gehri unsiyat rakhta hoon.” Us ne shuru ki mulaqaat mein ek baar Furqan se kaha tha.

“Kyun?” Furqan ne pucha tha.

“Kyun ka jawaab to main nahin de sakta, bas Pakistan ke liye koi khaas esaasaat mere dil mein nahin hain.” Usne kandhe uchka kar kaha tha.

“Ye jaanne ke bawajood ke ye tumhara mulk hai?”

“Haan, ye jaanne ke bawajood.”

“America ke liye khaas ehsaasaat hain, America se mohabbat hai?” Furqan ne pucha.

“Nahin uske liye bhi mere dil mein kuch nahin hai.” Usne itmenaan se kaha

Furqan ne is baar hairaani se use dekha. “Dar-asal main wataniyat par yaqeen nahin rakhta.” Usne Furqan ko hairaan dekh kar wazaahat ki.

“Ya phir mujhe un jaghon ke liye mohabbat paida karne mein diqqat mehsoos hoti hai jahan main rehta hoon. Main kal kisi teesrey mulk mein rehne lagunga to America ko bhi yaad nahin karunga.”

“Tum bade ajeeb aadmi ho Salar!” Furqan ne be ikhteyaar muskura kar kaha. “Kya ye mumkin hai ke aadmi apne mulk ke liye ya us jagah ke liye koi khaas ehsaasaat hi na rakhe jahan wo rehta hai?”

Furqan ko uski baat par yaqeen nahin aaya tha magar usne kuch ghalat nahin kaha tha. Paris aane ke baad use NewYork ki koi cheez yaad nahin aayi thi. New Haven se New York aate hue bhi use wahan adjustment ka koi mas’ala nahin hua tha. Wo har paani ki machhli tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-126/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-124/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *