Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo shaam ko jogging track par tha jab mobile par Sikandar Usman ki call aayi. Apni bey tarteeb saanson par qaabu paatey hue wo jogging karte karte ruk gaya aur track ke paas ek bench par baith gaya.
“Hello Papa! Assalamu Alaikum.”
“Walaikumussalam………. Track par ho?” unhon ne us ke phuley hue saans se andaza lagaya.
“Ji…….. aap kaise hain?”
“Main theek hoon……….”
“Mummy kaisi hain?”
“Wo bhi theek hain.” Salar unki taraf se kuch mazeed kehne ya puchhney ka intezaar karta raha. Dusri taraf ab khamushi thi phir chand lamhon ke baad wo bole.
“Main aaj tumhara school dekh kar aaya hoon.”
“Really……..!”
“Kaisa laga aap ko?”
“Tum ne ye sab kaise kiya hai Salar?”
“Kya……..?”
“Wo sab kuch jo wahan par hai.”
“Pata nahin, bas hota gaya. Mujhe pata hota to main aap ko khud sath le jaata. koi problem to nahin hui?” Salar ko tashweesh hui.
“Wahan Salar Sikandar ke baap ko kya takleef ho sakti hai?” unhon ne jawaaban kaha. Salar jaanta tha wo sawaal nahin tha.
“Tum kis tarah ke aadmi ho Salar?”
“Pata nahin………. Aap ko pata hona chahiye, main aap ke beta hoon.”
“Nahin mujhe………. Mujhe to kabhi bhi pata nahin chal saka.” Sikandar ka lehja bahot ajeeb tha. Salar ne ek gehra saans liya.
“Mujhe bhi kabhi pata nahin chal saka. Main to ab bhi apne aap ko jaanne ki koshish kar raha hoon.”
“Tum………tum………..Salar, ek intehaai ahmaq, kaminey aur khabbis insaan ho.” Salar hansa.
“Aap theek kehte hain, main waqai aisa hoon…….. aur kuch…………?”
“Aur……… ye ke main bada khush qismat hoon ke tum meri aulaad ho.” Sikandar Usman ki aawaz laraz rahi thi. Is baar chup hone ki baari Salar ki thi.
“Mujhe school ke har maah ke akhraajaat ke barey mein bata dena. Meri firm har maah us raqm ka check tumhein bhijwa diya karegi.”
Is se pehle ke Salar kuch kehta, phone band ho chuka tha. Salar ne park mein phaili taariki mein hath mein pakdey mobile ki raushan screen ko dekha phir jogging track par lagi raushniyon mein wahan daudtey logon ko. kuch der wo wahin baitha khali-uz-zehni ke aalam mein un logon ko dekhta raha phir uth kar lambey lambey dag bhartey hue track par aa gaya.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-140/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-138/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar