Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Salar subah office mein dakhil hua aur dakhli hote hi chaunk gaya. Uski table par ek bahot bada khoobsurat bouquet pada hua tha. Apna brief case table par rakhte hue usne wo bouquet utha kar us par maujood card khola.
“Happy Birthday to Salar Sikandar.”
Ramsha Hamdani.
Salar ne bey ikhteyaar ek gehra saans liya. Is mein koi shak nahin tha ke aaj uski saalgirah thi magar Ramsha ye kaise jaanti thi. Wo kuch der kisi soch mein gum table ke paas khada raha phir usne bouquet table par ek taraf rakh diya. Apne coat utaar kar usne revolving chair ki pusht par latka diya aur chair par baith gaya. Bouquet ke nich table par bhi ek card pada hua tha. Usne baithne ke baad us card ko khola. Chand lamhey tak wo us mein likhi tehreer padhta raha phir card band kar ke usne apni daraaz mein rakh diya. Wo nahin jaanta tha is card aur bouquet par kis radd-e-amal ka izhaar karey. Chand lamhey wo kuch sochta raha phir usne kandhe jhatak kar apna brief case kholna shuru kar diya. Wo us mein se apna laptop nikaal kar brief case ko niche carpet par apni table ke sath rakh raha tha jab Ramsha andar dakhil hui.
“Happy Birthday Salar.” Usne andar dakhil hote hi kaha.
Salar muskuraya.
“Thanks…………” Ramsha ab table ke saamne padi kursi kheench kar baith rahi thi, jab ke Salar laptop ko kholne mein masroof tha.
“Bouquet aur card ke liye bhi shukriya. Ye ek khush gawaar surprise tha.” Salar ne baat jaari rakhte hue kaha. Wo ab apna phone laptop ke sath attach karne mein masroof tha.
“Magar mere birthday ke barey mein tumhein kaise pata chala?” Wo puchey baghair nahin reh saka.
“Janaab ye to main nahin bataungi. Bas pata chalana tha, chala liya.” Ramsha ne shaguftagi se kaha. “Aur waise bhi dost aapas mein sawaal nahin karte. Agar doston ko aisi cheezon ka bhi pata nahin hoga to phir wo dost to nahin hue.”
Salar laptop ki screen par nazrein jamaaye hue muskurate hue uski baat sunta raha.
“Ab main saare staff ki taraf se party ki demand karne ke liye aayi hoon. Aaj ka dinner tumhein arrange karna chahiye.” Salar ne laptop se nazrein hata kar uski taraf dekha.
“Ramsha! Main birthday celebrate nahin karta.”
“Kyun……..?”
“Waise hi……….”
“Koi wajah to hogi………?”
“Koi khaas wajah nahin hai. Main bas waise hi celebrate nahin karta.”
“Pehle nahin karte hoge magar is baar to karni padegi. Is baar to saare staff ki demand hai.” Ramsha ne bey takallufi se kaha.
“Main kisi bhi din aap sab logon ko khana khila sakta hoon. Mere ghar par, hotel mein, jahaan aap chahein magar main birthday ke silsiley mein nahin khila sakta.” Salar ne saaf goi se kaha.
“Yaani tum chahte ho ham tumhare liye party arrange karein?” Ramsha ne kaha.
“Main ne aisa nahin kaha.”
“Agar tum purey staff ko party nahin de sakte to kam az kam mujhe dinner par to le jaa sakte ho.”
“Ramsha! Main aaj raat kuch masroof hoon apne kuch doston ke sath.” Salar ne ek baar phir maazrat ki.
“Koi baat nahin main bhi aa jaungi.”
“Nahin ye munaasib nahin hoga.”
“Kyun……….?”
“Wo sab mard hain aur tum un se waaqif bhi nahin ho.” Usne bahana banaya.
“Main samajhti hoon.”
“Phir kal chalte hain?”
“Kal nahin……….. phir kabhi chalenge. Main tumhein bata dunga.”
Ramsha kuch maayus hui magar use andaza ho gaya ke wo use filhaal bahar kahin le jaane ka iraada nahin rakhta.
“Okay……..” Wo khade hote hue boli.
“Mujhe ummid hai tum ne mind nahin kiya hoga.” Salar ne use uthtey dekh kar kaha.
“Nahin bilkul nahin. Its alright.” Wo muskurati hui kamrey se bahar nikal gayi. Salar apne kaam mein masroof ho gaya. Uska khayal tha saal girah ka wo maamla wahin khatm ho gaya. Ye uski ghalat fehmi thi.
Lunch hour ke dauraan uske liye ek surprise party tayyar thi. Uske boss mister Paul Miller ne badi garm joshi se saal girah par mubarakbaad di thi. Wo party Ramsha ne arrange ki thi aur cake aur dusrey lawaazmaat ko dekhte hue wo pehli baar saheeh maanon mein tashweesh mein mubtala hua tha. Agar pehle Ramsha dhakey chhupey alfaaz mein apni pasandeedgi ka izhaar kar rahi thi to us din us ne bahot waazeh andaaz mein ye baat zaahir kar di thi. Wo lunch hour ke baad taqreeban aadh ghanta apne office mein baitha pehli baar Ramsha ke barey mein sochta raha. Wo andaza karne ki koshish kar raha tha ke usse kaun si aisi ghalti hui thi, jis se Ramsha ko us mein dilchaspi paida hui.
Is mein koi shak nahin tha ke wo bahot khoobsurat thi. Pichley kuch arsey mein milne wali hand achchi ladkiyon mein se ek thi magar wo ye nahin chahta tha ke wo us mein involve hone lage. Wo pichhley kuch arsey se Ramsha ke apne liye khaas rawaiyye ko uski khush akhlaaqi samajh kar taalta raha tha, magar us din office se nikalte hue uski taraf se diye jaane wale hand packets ko ghar jaa kar kholne par uske 14 tabaq raushan ho gaye the. Wo abhi un tahaaif ko dekh kar tashweesh mein mubtala ho raha tha, jab Furqan aa gaya. Drawing room mein pade wo packets fauran uski nazar mein aa gaye.
“Wow, aaj to khaasey tahaaif ikatthey ho rahe hain. Dekh loon?” Furqan ne sofe par baithtey hue kaha.
Salar ne sirf sar hilaya. Ghadi, perfumes, ties, shirts, wo yake-baad-deegrey un cheezon ko nikaal nikaal kar dekhta raha.
“Ye tumhari bari ka samaan ikattha nahin ho gaya?” Furqan ne muskuratey hue tabsara kiya. “Khaasa dil khol kar gifts diye hain tumhare colleagues ne.”
“Sirf ek colleague ne.” Salar ne mudaakhlat ki.
“Ye sab kuch ek ne diya hai?” Furqan hairaan hua.
“Haan.”
“Kis ne?”
“Ramsha ne.” Salar ne apne hont sikodey.
“Tum jaante ho ye sab gifts 1-1.5 lakh ki range mein honge.” Wo ab dobara un cheezon par nazar daal raha tha.
“Sirf ye ghadi hi 50 hazar ki hai. Koi sirf colleague samajh kar to itni mahengi cheezein nahin dega. Tum logon ke darmiyaan koi………..” Furqan baat karte karte ruk gaya.
“Ham donon ke darmiyaan kuch nahin hai. Kam az kam meri taraf se. magar aaj main pehli baar pareshan ho gaya hoon. Mujhe lagta hai ke Ramsha……… mujh mein kuch zarurat se zyada dilchaspi le rahi hai.” Salar ne un cheezon par nazar daudaatey hue kaha.
“Bahot achchi baat hai. Chalo tum mein bhi kisi ladki ne dilchaspi li.” Furqan ne un packets ko wapas center table par rakhte hue kaha.
“Waise bhi tum bahot kunwarey reh liye. Lage haathon is saal ye kaam kar lo.”
“Jab mujhe shadi hi nahin karni to ain is silsiley ko aage kyun badhaun?”
“Salar din ba din tum bahot impractical kyun hote jaa rahe ho? Tumhein ab settle hone ke barey mein sanjeedgi se sochna chahiye. Har ladki se kab tak is tarah bhaagtey phirogey? Tumhein apni ek family shuru kar leni chahiye. Ramsha achchi ladki hai. Main uski family ko jaanta hoon. Kuch modern zarur hai maar achchi ladki hai aur chalo agar Ramsha nahin to phir tum kisi aur se shadi kar lo. Main is silsiley mein tumhari madad kar sakta hoon. Tum apne parents ki madad le sakte ho magar ab tumhein is maamley ke barey mein sanjeedgi se sochna chahiye. Tumhein in tamaam baaton par ghaur karna chahiye aur kam az kam dusrey ki baat par kuch keh zarur dena chahiye.”
Furqan ne aakhri jumley par zor dete hue kaha. Uska ishaara uski khamushi ki taraf tha.
“Is se dusrey ko ye tasalli ho jaati hai ke wo kisi majmey ke saamne taqreer nahin karta raha.” Furqan ne kaha.
“Tum kabhi apni shadi ke barey mein sochte nahin ho?”
“Kaun apni shadi ke barey mein nahin sochta?” Salar ne maddham aawaz mein kaha. “Main bhi sochta hoon magar main us tarah nahin sochta jis tarah tum sochte ho. Chai piyoge?”
“Aakhri jumley ki bajaye tumhein kehne chahiye tha ke bakwas band karo.”
Furqan ne naraazi se kaha. Salar ne muskura kar kandhey uchka diye wo ab cheezein samet raha tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-142/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-140/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar