Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Gaadi mein baith kar use start karte hue Salar ne Furqan se kaha.
“Tumhari sab se naa pasandeeda dish paalak gosht hai aur tum un se kya keh rahe the?”
Furqan ne qehqaha lagaya. “Kehne mein kya harj hai, waise ho sakta hai wo waqai mein itna achcha pakayein ke main khane par majboor ho jaaun.”
“Tum jaoge unke ghar?”
Salar gaadi main road par laatey hue hairan hua.
“Bilul jaunga, waada kiya hai main ne aur tum ne.”
“Main to nahin jaaunga.” Salar ne inkaar kar diya.
“Jaan naa pehchaan , munh utha kar unke ghar khana khane pahonch jaaun.”
“Dr Sabt Ali ki first cousin hain wo aur mujhe se zyada to tumhari pehchaan hai unke sath.” Furqan ne kaha.
“Wo aur maamla tha. Unhein merei madad ki zarurat thi, main ne kar di aur bas itna hi kaafi hai. Unke bete yahan hote to aur baat thi laikin is tarah akeli aurton ke ghar to main kabhi nahin jaunga.” Salar sanjeeda tha.
“Main kaun sa akela jaane wala hoon yaar! Biwi bachchon ko sath le kar jaunga. Jaanta hoon mera akela unke haan jaan munaasib nahin hai. Nausheen bhi unse mil kar khush hogi.”
“Haan, bhabhi ke sath chale jaana, koi harj nahin.” Salar mutmayin hua.
“Main jaaun……..? tum ko bhi to sath chalna hai, unhon ne tumhein bhi daawat id hai.”
“Main to nahin jaaunga. Mere paas itna waqt nahin hai. Tum ho aana, kaafi hai.” Salar ne laa parwahi se kaha.
“Tum unke khaas mehmaan ho, tumhare baghair to sab pheeka rahega.”
Salar ko uska lehja ajeeb laga. Usne gardan mod kar Furqan ko dekha. Wo muskura raha tha.
“Kya matlab?”
“Mera khayal hai tum unhein damaad ke taur par pasand aa gaye ho.”
“Fuzool baatein mat karo.” Salar ne use naraazgi se dekha.
“Achcha……… dekh lena, proporal aayega tumhara us ghar se. Sayeeda amma ko tum har tarah se achche lage ho. Har baat puchi hai unhon ne mujh se tumhare barey mein. Ye bhi ke tumhara shadi ka koi iraada hai ke nahin aur hai to kab tak karne ka iraada hai. Main ne kaha ke jaise hi koi achcha proposal mila wo fauran kar lega. Phir wo apni beti ke barey mein batane lagin. Ab jitni taareefein wo apni beti ki kar rahi thin agar ham us mein se 50 percent bhi sach samajh lein to bhi wo ladki………kya naam le rahi thin…….haan Aamna………tumhare liye behtreen hogi.”
“Sharm aani chahiye tumhein. Dr Sabt Ali ki rishtey daar hain wo aur tum unke barey mein fuzool baatein kar rahe ho.” Salar ne use jhidka.
Furqan sanjeeda ho gaya.
“Main koi ghalat baat nahin kar raha hoon, tumhare liye to ye aizaaz ki baat honi chahiye ke tumhari shadi Dr Sabt Ali sahab ke khaandaan mein ho……..”
“Just stop it Furqan! Ye mas’ala kaafi discuss ho gaya, ab khatm karo.” Salar ne sakhti se kaha.
“Chalo theek hai khatm karte hain. Phir kabhi baat karenge.”
Furqan ne itmenaan se kaha. Salar ne gardan mod kar chubhti hui nazron se use dekha.
“Driving kar rahe ho, sadak par dhyaan do.” Furqan ne uska kandha thapthapaya. Salr kuch naraazi ke aalam me sadak ki taraf mutawajjah ho gaya.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-147/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-145/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar