Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 147

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Sayeeda amma ke sath unka raabta wahi khatm nahin hua.

Kuch dinon ke baad wo ek shaam Dr Sabt Ali ke haan the jab unhon ne lecture ke baad un donon ko rok liya.

“Sayeeda aapa aap logon se milna chahti hain, mujh se keh rahi thin ke main aap logon ka haan unhein le jaaun. Main ne unko bataya ke shaam ko wo log meri taraf aayenge, aap yahin mil lein. Aap logon ne shayad koi waada kiya tha unke haan jaane ka, magar gaye nahin.”

Furqan ne maani-khaiz nazron se Salar ko dekha. Wo nazrein chura gaya.

“Nahin, ham log soch rahe the magar kuch masroofiyat thi isliye jaa nahin paaye.” Furqan ne jawaaban kaha.

Wo donon Dr Sabt Ali ke sath unke drawing room mein chale aaye jahan kuch der baad Sayeeda amma bhi aa gayin aur aate hi unki shikayaat aur naraazi ka silsila shuru ho gaya. Furqan unhein mutmayin karne mein maroof raha jab ke Salar khamushi se baitha raha.

Agley weekend par Furqan ne Salar ko Sayeeda amma ki taraf jaane ke program ke barey mein bataya. Salar ko Islamabad aur phir wahan se gaaon jana tha. Isliye us ne apni masrufiyat bata kar Sayeeda amma se maazrat kar li.

Weekend guzaarney ke baad Lahore waapsi par Furqan ne use Sayeeda amma ke haan guzaare jaane wale waqt ke barey mein bataya. Wo apni family ke sath wahan gaya tha.

“Salar! Main Sayeeda amma ki beti se bhi mila tha.”

Furqan ne achanak baat karte hue kaha.

“Bahot achchi ladki hai, Sayeeda amma ke bar aks khaasi khamush taba ladki hai. Bilul tumhari tarah. Tum donon ki badi achchi guzregi. Nausheen ko bhi bahot achchi lagi hai.”

“Furqan! Tum sirf dawat hi tak raho to behtar hai.” Salar ne use toka.

“Main bahot serious hoon Salar!” Furqan ne kaha.

“Main bhi serious hoon.” Salar ne usi andaaz mein kaha. “Tumhein pata hai Furqan! Tum jitna shadi par israar karte ho, mera shadi se utna hi dil uthta jaata hai aur ye sab tumhari in baaton ki wajah se hai.”

Salar ne sofe ki pusht se tek lagate hue kaha.

“Meri baaton ki wajah se nahin. Tum saaf saaf ye kyun nahin kehte ke tum Imama ki wajah se shadi nahin karna chahte.”

Furqan ek dam sanjeeda ho gaya.

“Okay………saaf saaf keh deta hoon, main Imama ki wajah se shadi karna nahin chahta. Phir………?”

Salar ne sar mohri se kaha.

“Ye ek bachkaana soch hai.” Furqan use baghaur dekhte hue bola.

“Okay, fine…….. bachkaana soch hai phir?” Salar ne kandhey jhataktey hue kaha.

“Then you should get rid of it.” Furqan ne narmi se kaha.

“I don’t want to get rid of it………so?”

Salar ne turki ba turki kaha. Furqan kuch der laa jawaab ho kar use dekha raha.

“Mere saamne dobara Sayeeda amma ki beti ki baat mat karna aur agar tum se wo is barey mein baat karein bhi to tum saaf saaf keh dena ke mujhe shadi nahin karni, main shadi shuda hoon.”

“Okay, nahin karunga is barey mein tum se baat. Ghussey mein aane ki zarurat nahin.” Furqan ne donon haath uthaatey hue sulah jui se kaha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-148/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-146/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *