Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 156

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


“Main agley saal PhD ke liye America ke liye jaa raha hoon.”

Furqan ne bey ikhteyaar chaunk kar Salar ko dekha.

“Kya matlab………?”

Salar hairaani se muskuraya.

“Kya matlab ka kya matlab? Main PhD karna chahta hoon.”

“Yun Achanak……….?”

“Achanak to nahin. PhD karni to thi mujhe. Behtar hai ab kar loon.” Salar itmenaan se bata raha tha.

Wo donon Furqan ke gaon se wapas aa rahe the. Furqan drive kar aha tha jab Salar ne achanak use apni PhD ke iraadey ke barey mein bataya.

“Main ne bank ko bata diya hai, main ne resign karne ka socha hai. Laikin wo mujhe chhutti dena chah rahe hain. Abhi main ne scha nahin ke unki is offer ko qubool kar loon ya resign kar doon.”

“Tum saari planning kiye baithe ho.”

“Haan yaar………..main mazaaq nahin kar raha………..main waqai agley saal PhD ke liye jaa raha hoon.”

“Chand maah pehle tak to tumhara aisa koi iraada nahin tha.”

“Iraadey ka kya hai, wo to ek din mein ban jaata hai.”

Salar ne kandhey jhataktey hue khidki ke shishey se bahar nazar aane wale kheton ko dekhte hue kaha.

“Main waise bhi banking se mutalliq ek kitaab likhna chahta hoon laikin yahan main pichhley kuch saalon mein itna masroof raha hoon ke is par kaam nahin kar saka. Main chahta hoon PhD ke dauraan main ye kitaab likh kar shaaye bhi kara loon. Mere paas kuch fursat hogi to main ye kaam aasani se kar lunga.”

Furqan kuch der khamushi se gaadi driver karta raha phir usne kaha.

“Aur school………..? us ka ka kya hoga?”

“uska kuch nahin hoga. Ye aise hi chalta rahega. Uska infrastructure bhi behtar ho jayega. Board of governers hai, wo log aate jaate rahenge. Tum ho……….. main ne papa se bhi baat ki hai wo bhi aaya karenge yahan par……… mere na hone se kuch khaas farq nahin padega. Ye school bahot pehle Salar Sikandar ki thamaayi hui laathiyaan chhod chuka hai. Aayinda bhi ise unki zarurat nahin padegi magar main mukammal taur par is se qata talluq nahin kar raha hoon. Main isko dekhta rahunga. Kabhi merei madad ki zarurat adi to aa jaaya karunga. Pehle bhi to aisa hi kiya karta tha.”

Wo ab thermos mein se chai cup mein undel raha tha.

“PhD ke baad kya karoge?” Furqan ne sanjeedgi se pucha.

“Wapas aaunga. Pehle ki tarah yahin par kaam karunga. Hamesha ke liye nahin jaa raha hoon.”

Salar ne muskuratey hue uske kandhey ko thapka.

“Kya chand saal baad nahin jaa sakte tum?”

“Nahin, jo kaam aaj hona chahiye use aaj hi hona chahiye. Mera mood hai padhne ka. Chand saal baad shayad ye khwahish na rahe.”

Salar ne chai ke ghont lete hue kaha . wo ab bayen hath se radio ko tune karne mein masroof tha.

“Rotary club wale agley weekend par ek function kar rahe hain, mere paas invitation aaya hai. Chalogey?”

Usne radio ko tune karte hue Furqan se pucha.

“Kyun nahin chalunga. Unke program dilchasp hote hain.”

Furqan ne jawaaban kaha. Guftgu ka mauzoo badal chuka tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-157/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-155/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *