Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Do ghantey baad Aamna jab Furqan aur Salar ke sath Salar ke flat par pahonchi, tab iftaar mein zyada waqt nahin tha. Salar ne iftaar ka samaan raastey se le liya tha. Furqan un donon ko iftaar ke liye apne flat par le jaana chahta tha magar Salar razamand nahin hua. Furqan ne apni biwi ko bhi Salar ke flat par bulwa liya.
Iftaar ke liye table Furqaki biwi ne hi tayyar kiya tha. Aamna ne madad karne ki koshish ki thi jise Furqan ur uski biwi ne rad kar diya tha. Salar ne mudaakhlat nahin ki thi. wo mobile le kar balcony mein chala gaya. Lounge mein baithe khidkiyon ke sheeshon ke paar Aamna ne use balcony mein taheltey mobile par kisi se baat karte dekha. Wo bahot sanjeeda nazar aa raha tha.
Usne ne Sayeeda amma ke ghar se apna flat tak ek baar bhi use mukhaatib nahin kiya tha. Ye sirf Furqan tha jo waqtan fawaqtan use mukhaatib karta raha tha aur ab bhi yahi ho raha tha.
Salar ne wo khamushi iftaar ki mez par bhi nahin todi. Furqan aur uski biwi hi Aamna ko mukhtalif cheezein server karte rahe. Aamna ne uski khamushi aur sard mohri ko mehsoos kiya tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-166/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-164/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar