Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 169

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo pehli baar Maryam ke ghar jaa rahi thi. uska khayal tha ke wahan jaa kar ek bar phir Maryam aur uske waldain ke apne barey mein sab kuch batana padega. Wo zehni taur par khud sawaln ke liye tayyar kar rahi thi magar aisa kuch bhi nahin hua tha.

“Ham log to naashta kar chuke hain tum naashta kar lo.”

Maryam ne porche mein uska isteqbaal kiya tha aur use andar le jaate hue kaha. Andar lounge mein Dr Sabt Ali aur unki biwi se uska taaruf karwaya gaya. Wo bade tapaak se miley. Imama ke chehrey par itni saraaseemgi aur pareshani thi ke Dr Sabt Ali ko us par taras aaya.

“Main khana lagwati hoon. Maryam to ise uska kamra dikha do…….. taa ke ye kapde change kar ley.” Sabt Ali ki biwi ne Maryam se kaha. Wo jab kapdey badal kar aayi to naashta lag chuka tha. Usne khamushi se naashta kiya.

“Imama! Ab aap jaa kar so jayein. Main office jaa raha hoon, shaam ko wapsi par ham aap ke mas’aley par baat karenge.”

Dr Sabt Ali ne use naashta khatm karte dekh ka kaha.

“Maryam! Tum use kamrey mein le jao.” Wo khud lounge se nikal gaye.

Wo Maryam ke sath apne kamrey mein chali aayi.

“Imama! Ab tum so jao……….. tumhare chehrey se laga raha hai tum pichhley kai ghanton se nahin soyin. Aam taur par thakan aur pareshani mein neend nahin aati aur tum us waqt uska shikaar hogi. Main tumhein koi tablet laa kar deti hoon agar neend aa gayi to theek warna tablet le lena.”

Wo kamrey se bahar nikal gayi, kuch der baad uski waapsi hui paani ka glass aur tablet bed side table par rakhte hue usne kaha.

“Tum bilkul relax ho kar so jao. Sab kuch theek ho jayega. Tum samjho ke tum apne ghar mein ho.” Wo kamrey ki light off karti ek baar phir kamrey se bahar nikal gayi.

Subah ke 9:30 baj rahe the magar abhi tak dhund thi aur kamrey ki khidkiyon par pardey hone ki wajah se kamrey mein andhera kuch aur gehra ho gaya tha. Usne kisi maamul ki tarah tablet paani ke sath nigal li. Uske baghair neend aane ka sawaal hi paida nahin hota tha. Uske zahen mein itne bahot se khayalaat aa rahe the ke bed par let kar neend ka intezaar karna mushkil ho jaata. chand minton ke baad usne apne aasaab par ek ghanoodgi taari hoti mehsoos ki.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-170/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-168/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *