Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo chaaron us waqt Lahore ke red light area me moujood they. Unki umrein 18 – 19 saal ki lag bhag thi. Aur apne huliye se wo chaaron upper class ke lagte they. Magar na wahan par unki umar numaya kar dene wali koi cheez thi, Aur na hi unke upper class se taalluq rakhne ki imtiyazi khusoosiyat, kyuki wahan par unse bhi kam umar ladke aate they. Aur upper class, yahan ke mustakhil customers me shamil thi.
Chaaron ladke red light area ki tooti galiyon se guzarte jaa rahe they. Teen ladke aapas me baat kar rahe they, jabke 4th, qadr e tajassus aur dilchaspi se Chaaron taraf dekh raha tha. Yun lag raha tha jaise wo pehli baar yahan aaya tha aur in teeno ke saath thodi der baad hone wali us gu”agu se ye zahir ho gaya tha, ke wo waqai wahan pehli baar aaya tha.
Gali ke dono atraafon ke darwazon me banao singhar kiye, neem uriyan kapdo me malboos, har umr aur har shakl ki aurat khadi thi. Safed, saanwli, siyah, gandumi, bht khoobsurat, darmiyani, aur bht mamuli shakl o soorat wali.
Gali me har umr aur shakal ka mard guzar raha tha. Wo ladka wahan se guzarte hue har cheez par ghaur kar raha tha.
“Tum yahan kitni baar aaye ho? “ Chalte chalte usne apni dayein taraf chalne wale ladke ko mukhaatib
karte hue poocha. Wo ladka jawaban hasa.
“Kitni baar….. Ye to pata nahi, ab to ginti bhool chuka hu. Aksar aata hu yahan par. “
Us ladke ne qadr ek fakhriya andaz me kaha.
“In aurton me mujhe koi attraction mehsoos nahi hoti. Nothing special about them. “ Usne kandhey uchkate hue kaha.
“Agar kahin raat hi guzarni ho to kam az kam mahol to achha ho. This is such a dirty, filthy place” Usne gali me moujood gaddhon aur koodey ke dher ko dekhte hue kuch nagawari se kaha.
“Phir girlfriends ke hote hue yahan aane ki kya zaroorat hai” Usne is baar apni eyebrows uchkate hue kaha.
“Is jagah ka apna ek charm hai. Girlfriends aur yahan ki auraton ka koi muqabla nahi hai. Girlfriends is tarah ke dance to nahi dikha sakti jo abhi kuch der baad tum dekhoge. “Teesra ladka hasa.“Aur phir Pakistan ki jis badi actress ka dance dikhanehum tumhe le jaa rahe hain, Wo to bas…… “
Doosre ladke ki baar ko pehle ladke ne kaat diya“Uska dance to tum pehle bhi dekh chuke ho”
“Are, wo kuch bhi nahi tha. Bhai ki shadi par ek mujrakiya tha, magar yahan par to baat hi kuch aur hotihai”
“Wo actress to ek posh ilaqe me rehti hai, phir yahakyu aati hai? “
Pehle wale ladke ne kuch ghair mutmaeen andaazme poocha.
“Ye tum aaj usse khud pooch lena. Me kabhi usse istarah ke sawal nahi karta.”
Doosre ladke ki baat par dono ladke hase. Magarteesra ladke chubhti hui nazron se use dekhta raha.
Unka safar bil aakhir gali ke aakhir me ek imarat kesaamne khatam hua. Imarat ke neechey moujooddukaan se teeno ladko ne moti ke bht se haarkhareedey. Aur apni kalaiyon me lapet liye. Ek haarus ladke ne doosre ladke ki kalayi me bhi lapet diya,jo wahan aane par aitraz kar raha tha. Phir un logonne wahan se paan khareedey, tambaku wala paan.Doosre ladke ne us ladke ko bhi diya jo shayadzindagi me pehli baar paan khaa raha tha. Paankhatey wo chaaron us imarat ki seedhiyaan chadhnelage.Upar pohoch kar pehle ladke ne ek baar phirtanqeedi nazron se chaaron taraf dekha. Aur phiruske chehre par itminaan ki ek jhalak namudaar hui.Wo jagah bht saaf suthri aur khaasi hadd thaaarastaa thi.
Gao takiye aur chandniyen bhichi huithi. Aur baarik parde lehra rahe they. Kuch log pehlehi wahan moujood they.Raqs abhi shuru nahi hua tha. Ek aurat lapakti unkitaraf aayi. Uske chehre par khoobsurat masnuimuskurahat saji thi. Usne doosre ladke ko mukhatibkiya, pehle ladke ne ghaur se use dekha. Adheydhumr ki wo aurat apne mooh pe makeup thopey aurbaalo me gajre latkaaye, shi!on ki chinghadhti huisurkh saari me malboos thi, jiska blouse uske jism kochupane me naakaam ho raha tha. Magar wo jism kochupane ke liye pehna bhi nahi gaya tha.Un chaaron ko wo ek koney me le gayi aur wahanusne unhe baitha diya.
Pehle ladke ne baith te himooh me moujood paan us ungaaldaan me thookdiya, jo unke qareeb moujood tha. Kyuki paan moohme hote hue usse baat karna mushkil ho raha tha.Paan ka zayqa bhi uske liye kuch zyada khush gawarna tha. Teeno ladke baithke maddham awaz mebaatein karne lage. Jabke pehla ladka us hall memoujood gao takiyon se tel lagaye logon ko dekhtaraha jinme se kuch log apne saamne sharab kibotlein aur noto ki gaddiyan rakhe baithey they.Unme se aksariyat safed latthey ke kalaf lage kapdome malboos thi. Usne eid ke aalwa aaj pehli baarsafed kapde pehne logon ka ijtima dekha tha. Khudwo apne saathiyon ki tarah siyah jeans aur aadhiasteen wali t-shirt me malboos tha. Unhi ki tarahwahan unki umr kuch aur ladke jeans aur tshirt memalboos they.
Thodi der baad wahan usi tarah ek aurat cheekhteychingadhte rangon kapdo me malboos , wahan aakar darmiyaan me baith kar ek ghazal sunane lagi thi.Uske saath kuch saazindey bhi they. 2 ghazleinsunane aur apne upar kuch note uthakar kaashikhush aur mutmaeen wapas chali gayi.Aur uske jaate hi film industry ki mashoor actress hallme dakhil hui. Aur us hall me moujood har mard kinazar jaise usse chipak kar reh gai thi. Usne charaontaraf ghoom kar baari baari jhukar sar ke ishare sesabko khushaamadeed kaha tha.
Saazindo ko is baarkisi taklif ka saamna nahi karna padha tha. Cassetteplayer par baari baari chand hijaan angeyz gaanelagaye gaye they jin par us aurat ne apna raqs peshkarna shuru kiya tha. Aur kuch der pehle ki khamoshiyak dam khatm ho gayi. Chaaron taraf moujood mardus aurat ko taad o ehseen pesh karne ke saath saathsharaab noshi me masroof they. Unme se kuch jozyada josh me aa rahe they, wo uth kar us actress kesaath dance karne me masroof ho jatey.
Hall me wahid shaqs jo apni jagah par kisi harkat kebaghair betassur chehre ke saath baitha tha, wo wohiladka tha, magar uske bawajood ye andaza laganamushkil nahi tha ki wo us actress ke raqs se khaasa mehzooz ho raha tha.
Taqreeban 2 ghante baad jabus actress ne apna raqs khatam kiya, To wahanmoujood aadhe se zyada mard itne ghafeer ho chukethey, wapis ghar jana unke liye mas’ala isiliye nahi tha,kyuki unme se koi bhi ghar jane ka irada nahi rakhtatha. Wo sab wahan raat guzarne aaye they.Un chaaron ne bhi raat wahan guzari.
Agle din wahanse wapsi me gaadi me us doosre ladke ne jamai letehue, pehle ladke se poocha, jo us waqt laparvahi segaadi ke bahar dekhne me masroof tha.
“Kaisa raha tajurba ? “
“Achha tha. “ Pehle ladke ne kandhe uchkate huekaha.“Bas achha tha?? Aur kuch nahi?? Tum bhi bas” Usneqadr naarazgi ki alam me baat adhoori chodh di.
“Kabhi kabar jane ke liye achhi jagah hai. Iske alawaaur kya keh sakta hu. Magar something special walikoi baat nahi hai. Meri girlfriend is ladki se behtar hai,jiske saath mene raat guzari hai. “ Us ladke ne do tok andaaz me kaha.
Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-16/
Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-18/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar