Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 177

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo chand maah ke baad Multan apni studies ke silsiley ko ek baar phir jaari rakhne ke liye aa gayi thi. ek shaher se dusrey shaher, dusrey shaher se teesrey shaher ………. Ek aisa shaher jis ke barey mein usne kabhi khwaab mein bhi nahin socha tha, magar usne to khwaab mein aur bahot kuch bhi nahin socha tha. Kya usne kabhi ye socha tha ke wo 20 saal ki umr mein ek baar phir BSc mein daakhla legi. Us umr mein jab ladkiyan BSc kar chuki hoti hai……..

Kya usne kabhi ye socha tha ke wo apni marzi se medical college chhod degi.

Kya usne kabhi ye socha tha ke wo apne waldain ke liye kabhi is qadar takleef aur sharmindagi ka ba’as banegi.

Kya usne kabhi ye socha tha ke wo Asjad ke bajaye kisi aur se mohabbat karegi aur phir usse shadi ke liye yun pagalon ki tarah koshish karegi.

Kya usne kabhi ye socha tha ke un koshishon mein nakaami ke baad wo Salar Sikandar jaise kisi ladke ke sath apni marzi se nikaah kar legi.

Aur kya usne ye socha tha ke ek baar ghar se nikal jaane ke baad use Dr Sabt Ali gharaaney jaisa ghar mil sakega.

Use bahar ki duniya mein phirney ki aadat nahin thi aur use bahar ki duniya mein phirna nahin pada tha. Apne ghar se nikalte waqt usne Allah se apni hifaazat ki bey tahasha duayein maangi thin. Usne duayein ki thin ke use dar badar na phirna padey. Wo itni bold nahin thi ke wo mardon ki tarah har jagah dandanati phirti.

Aur waqai nahin jaanti thi ke jab use apni chhote chhote kaamon ke silsiley mein khud jagah jagah phirna padega. Har tarah ke mardon aur logon ka saamna karna padega to wo kaise karegi. Wo bhi us surat mein jab ke uske peechey family background naam ki koi cheez nahin rahi thi.

Wo apni family ke saaye ke niche Lahore aa kar medical college mein padhna aur aage taalim haasil karne ke liye bahar jaane ke khwaab dekhna aur baat thi ……. Tab uske liye koi maali masaail nahin the aur Hashim Mubeen Ahmad ke paas itni daulat aur asar-o-rusookh tha ke sirf Hashim Mubeen Ahmad ke naam ka hawala kisi bhi shakhs ko usse baat karte hue mar’oob aur mohtaat kar dene ke liye kaafi tha.

Ghar se nikalne ke baad use jis maahol ke saamne ka khadsha tha, us maahol ka saamna use nahin karna pada tha. Pehle Salar use bakhairiyat Lahore chhod gaya tha aur uske baad Dr Sabt Ali tak rasaai, jis ke baad use apne chhote bade kisi kaam ke liye kisi diqqat ka saamna nahin karna pada tha.

Documents mein naam ki tabdeeli, Multan mein admission ……… hostel mein rihaaish ka intezaam. Uske taalimi akhrajaat ki zimmey daari ……. Wo is ek neymat ke liye Allah ka jitna shikr ada karti wo kam tha. Kam az kam use kisi burey maahol mein baqa ki jang ladne ke liye jagah jagah dhakkey khane nahin pade the.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-178/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-176/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *