Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Dining table pe hashim mubeen ki poori familyMoujood thi. Khana khate hue wo sab khushgappiyon me bhi masroof they. Mouzu e guftagu uswaqt Imama thi, jo is weekend par bhi islamabaadme Moujood thi.
“Baba, aapne ye baat note ki, ke Imama din ba dinsanjeeda se sanjeeda hoti jaa rahi hai. “ Waseem neqadr e chedhne wale andaz me Imama ki tarafdekhte hue kaha.
“Haan, ye to me bhi pichle maah se note kar raha hu.Hashim mubeen ne waseem ki baat pe beti ke chehreko ghaur se dekhte hue kaha.
Imama ne chawalon ka chamcha mooh mein rakhte hue waseem ko ghoora.
“ Kyu Imama, koi mas’ala hai?? “
“Baba, ye badi fuzool baatein karta hai. Aur aap bhikhwamkhah iski baaton me aa rahe hain. Me apnistudies ki wajah se masroof aur sanjeeda hu. Ab harkoi waseem ki tarah nikamma to nahi hota.” Usneapni side pe baithe waseem ke kandhey par kuchnarazgi se haath marte hue kaha.
“Baba, aap zara andaza karein, medical ke shuru kesaalon me jab iska ye haal hai, to Jab ye doctor banjayegi, tab iska kya haal hoga. “ Waseem ne Imama kitambhi ki parwah na karte hue uska mazaak udaya.“Saalon guzar jaya karenge miss Imama komuskuraye hue.”
Dining table pe moujood logon kemooh par muskurahat daudh padhi. Undono kedarmiyaan nok jhok hamesha hi rehti thi. Bht kammawaqey hote they, jab wo ikattha ho aur undonome jhagda na ho. Mustaqil hote rehne wale jhadhdoke bawajood, Imama ki sabse zyada dosti bhiwaseem ke saath hi thi. Uski wajah shayad unki upartale ki paidaish bhi thi.
“Aur aap tasawwur karein—” Is baar Imama ne baatmukammal karne nahi di. Usne uske kaandhey parpoori quwwat se mukka mara. Waseem par kuchzyada asar nahi hua,
“hamare ghar me doctor ke haath me shifa ke sivaaur kya kya ho sakta hai. Aap iska muzahira dekhrahe hain? Isse aap ye bhi andaza laga sakte hain kiaaj kal ke doctors wards me mareezon ke saath kyasulook karte honge. Mulk me badhti shah e amwaadki badhti ek wajah……..”
“Baba isko mana karein”Imama ne bil akhirhathiyaar daalte hue hashim mubeen se kaha
“Waseem” Hashim mubeen ne apni muskurahat kozapt karte hue waseem ko jhidhka. Wo badisa’aadatmandi se fauran khamosh ho gaya.
Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-17/
Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-19/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar