Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 180

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Usse phone par baat karne wali wahi mulaazma thi jo Salar ke sath sath uske ghar mein bhi kaam karti rahi thi aur usne Imama ki aawaz ko fauran pehchaan liya tha. Imama ke phone band karte hi to kuch izteraab aur josh-o-kharosh ke aalam mein Sikandar Usman ke paas pahonch gayi. Ye ek ittefaaq hi tha ke us din wo tabiyat ki kharabi ki wajah se ghar par hi the.

“Abhi kuch der pehle ek ladki ka phone aaya hai ……….. wo Salar sahab se baat karna chahti thi.”

“To tum baat karwa detin.” Sikandar Usman qadrey laparwahi se bole. Ye ittefaaq hi tha ke Salar bhi un dinon Pakistan aaya hua tha aur ghar par maujood tha. Mulaazma kuch hichkichaai.

“Sahab ji! Wo Imama bibi thin.”

Sikandar Usman ke hath se chai ka cup chhoot’tey chhoot’tey bacha. Wo ek dam hawaas baakhta nazar aane lage.

“Imama Hashim…….. Hashim ki beti?” Mulaazma ne asbaat mein sar hila diya. Sikandar Usman ka sar ghoomney laga.

“To kya Salar har ek ko bey waqoof bana raha hai. Wo abhi tak Imama ke sath raabtey mein hai aur wo jaanta hai wo kahan hai. To phir yaqeenan wousse milta bhi raha hoga.” Unhon ne socha.

“Usne khud tumhein apna naam bataya hai?” Unhon ne chai ka cup ek taraf rakhte hue kaha.

“Nahin …….. Main ne unki aawaz pehchaan li aur jab main ne unka naam liya unhon ne phone band kar diya.” Mulaazman ne Sikandar Usman ko bataya.

“Magar mujhe yaqeen hai wo un hi ki aawaz thi. mujhe kam az kam is barey mein koi dhoka nahin ho sakta.”

Is se pehle ke Sikandar Usman kuch kehte, unhon ne phone ki ghanti suni magar is baar wo dining room mein maujood extension ki taraf badh gaye aur unhon ne phone utha liya. Dusri taraf maujood ladki ek baar phir Salar Sikandar ka puch rahi thi. Uske istefsaar par usne ye tasleem kar liya tha ke wo Imama Hashim hi thi. wo nahin jaante the kyun, magar unke dil mein aaya ke wo use Salar ke marney ki khabar de dein, taa ke wo dobara kabhi unke ghar phone na karey. Unhein usse baat kar ke andaza to ho hi chuka tha ke wo bahot arsey se Salar ke sath raabta nahin kar saki hai aur uske paas unke bayaan ki sadaaqat ko parakhney ka koi zariya nahin tha. Wo dobara raabta na karti to unki jaan usse hamesha chhoot sakti thi. wo abhi tak us ek saal ko apne zahen se nikaal nahin sakey the. Jab Imama ki gumshudgi ke fauran baad Salar par shubah hone ki wajah se Hashim Mubeen Ahmad ne unke liye har qism ki pareshani khadi ki thi.

Bahot se sarkaari dafaatir jahan pehle unki firm ki files bahot aasani se nikal jaati thin, mahinon phansi rahin. Unke ghar dhamki aamez calls aur khat aate rahe. Kai logon ne bilwaasta taur par un par dabao dala ke wo Hashim Mubeen Ahmad ki beti ki waapsi ke liye unki madad karein. Ek lambey arsey tak Salar ki nigraani karayi gayi aur nigraani ka ye silsila sirf Pakistan hi nahin bahar bhi jaari raha. Magar jab kisi tarah Imama se uske raabtey ka koi suboot ya suraagh nahin mila to rafta rafta ye tamaam sar garmiyaan khatm ho gayin.

Sikandar Usman ki bey panaah koshish ke bawajood bhi Hashim Mubeen ke sath unke talluqaat bahaal nahin hue magar unki taraf se adam tahaffuz ke andesha khatm ho gaya tha aur ab dhaai saal baad wo ladki ek baar phir Salar se raabta karna chahti thi. wo kisi surat mein bhi dobara un haalaat ka saamna na khud karna chahte the na hi Salar ko karne dena chahte the.

Agar wo khud Hashim Mubeen ki takkar ke aadmi na hote to wo ab tak isse zyada nuqsaan utha chuke hote, jitna nuqsaan unhon ne ek saal aur khaas taur par shuru ke chand maah mein uthaya tha. Wo Imama ko us talaaq naamey ki ek copy bhijwana chahte the jo Salar ki taraf se unhon ne tayyar kiya thaaur unhein is mein koi dilchaspi nahin thi ke wo jaayez tha ya nahin. Wo sirf Imama ko ye yaqeen dilana chahte the ke Salar ya uske khaandaan ke sath uska talluq hona chahiye naa hi hoga.

Agar kuch tha bhi to wo Salar ki maut aur usse pehle ke tehreer shudah us talaaq naamey ke sath hi khatm ho gaya tha magar ye ek aur ittefaaq tha ke Imama ne unki baat mukammal taur par suney baghair hi phone band kar diya. Unhon ne phone ko traceout karne ki koshish ki, magar wo Multan ke kisi PCO ka saabit hua. Salar ek haftey baad wapas America jaane wala tha aur unhon ne us ek haftey uski mukammal taur par nigraani karwayi. Wo mulaazimon ko hidayat dey chukey the tke kisi ka bhi phone aaye wo kisi bhi surat Salar se baat na karwaayein, chahey mard ho ya aurat. Jab tak wo khud ye na jaan lein ke phone karne wala kaun tha. Mulaazma ko wo sakhti se mana kar chukey the ke wo Salar ko Imama ki is call ke barey mein na bataye.

Ek haftey baad jab Salar wapas America chala gaya to unhon ne sukh ka saans liya. Sar par aayi hui aafat ek baar phir tal gayi thi. Salar ki waapsi ke chand haftey baad unhein ek lifaafa mausool hua tha.

Imama ne Lahore pahonchney ke baad wo mobile bech diya tha. Wo use wapas nahin bhijwa sakti thi aur Salar ki wafaat ke baad ab ye imkaan nahin tha ke kabhi uske saath aamna saamna hone ki surat ein wo use wo mobile wapas de sakegi. Usne mobile bechne se milne wali raqm ke saath apne paas maujood kuch aur raqm shaamil ki. Wo andaazan un calls ke bill ki raqm thi jo dhaai teen saal pehle Salar ne ada kiye honge aur chand dusrey akhrajaat jo apne ghar qaird ke dauraan aur wahan se Lahore faraar ke dauraan Salar ne us par kiye the. Uske sath Sikandar Usman ke naam ek mukhtasar note bhijwaya. Travels checks. Uske sar par maujood us aadmi ka qarz bhi utar gaya tha.

Us raqm aur uske saath milne wale note se Sikandar Usman ko tasalli ho gayi thi ke wo dobara usse raabta nahin karegi aur ye bhi ke usne waqai unki baat par yaqeen kar liya tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-181/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-179/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *