Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 189

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Wo raat ko soney se pehle wazoo ke liye bathroom mein gayi. Wazoo kar ke wapas aate hue apne kamrey mein jaane ke bajaye wo sehan mein bar aamdey ki seedhiyon par baith gayi. Ghar mein is waqt koi mehmaan nahin tha. Wo aur Sayeeda amma hamesha ki tarah tanha the. Sayeeda amma thakawat ki wajah se bahot jald so gayi thin. Wo mulaazma ke sath ghar mein maujood kaam nibtaati rahi. Saadhey das baje ke qareeb mulaazma bhi apna kaam khatm kar ke soney ke liye chali gayi. Wo shadi ke kaamon ki wajah se pichhley kuch dinon se wahin reh rahi thi. Imama kitchen aur apne kamrey ke bahot se chhote chhote kaam nibtaati rahi.

Wo jis waqt in sab kaamon se faarigh hui, us waqt raat ke saadhey baarah baj rahe the. Wo bahot thak chuki thi magar soney se pehle wazoo karne ke baad sehan se guzartey hue ek dam hi uska dil apne kamrey mein jaane ko nahin chaha. Wo wahi bar aamdey mein baith gayi. Sehan mein jalney wali raushniyon mein usne apne hath aur kalaaiyon par lagi mahendi ko dekha. Mahendi bahot achchi rachi thi. uske haath kohniyon tak surkh bel booton se bharey hue the. Usne kal bahot saalon ke baad pehli baar bade shauq se mahendi lagwai thi. use mahendi bahot pasand thi. tehwaron ke alawa bhi wo aksar apne hathon par mahendi lagaya karti thi magar saadhey aath saal pehle apne ghar se nikal aane ke baad usne kabhi mahendi nahin lagayi thi. ghair mehsoos taur par un tamaam cheezon se uski dilchaspi khatm ho gayi thi. magar saadhey 8 saal ke baad pehli baar usne bade shauq se apne hathon par naqsh-o-nigaar banwaye the na sirf hathon par balke pairon par bhi.

Wo apne pairon ko dekhne lagi. Shawl ko apne gird lapet’tey hue usne apne hathon ur baazuon ko uske nichey chhupa liya.

“Asjad se Jalaal……. Jalaal se Fahad……. Aur Fahad se Salar……… ek shakhs ko main ne radd kiya. Do ne mujhe radd kiya aur chautha shakhs jo meri zindagi mein shaamil hua wo sab se bad tareen hai…….. Salar Sikandar.

Uske andar dhuwaan sa bhar gaya. Wo apne usi huliye ke sath uske saamne tha. Khula garebaan, galey mein latakti zanjeer, hairband mein bandhey baal, chubhti hui tazheek aamez nazrein, daayen gaal par mazaq udaati muskurahat ke sath padne wala dimple, kalaaiyon mein lataktey bands aur bracelet, aurton ki tasweeron wali tang jeans………

Wo jaise uski zindagi ke sab se khoobsurat khwaab ki sab se bhayanak taabeer ban kar saamne aaya tha. Uske dil mein Salar Sikandar ke liye zarra barabar izzat nahin thi.

“Main ne zindagi mein bahot si ghaltiyaan ki hain magar main itni buri nahin hoon ke tumhare jaisa bura mard meri zindagi mein aaye.” Usne kai saal pehle phone par usse kaha tha.

“Shayad isi liye Jalaal ne bhi tum se shadi nahin ki kyun ke nek mardon ke liye nek aurtein hoti hain, tumhare jaisi nahin.”

Salar ne jawaaban kaha tha. Imama ne apne hont bheench liye.

“Chahey kuch ho jaaye Salar! Main tumhare sath nahin rahungi. Tum waqai mar jaatey to zyada achcha tha.” Wo badbadaai thi.

Is waqt ek lamhey ke liye bhi use khayal nahin aaya tha ke Salar ne kabhi us par koi ehsaan kiya tha.


Next episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-190/



Prev episode:

https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-188/



Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *