Disclaimer
This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.
This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.
And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.
Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.
And those online can read it here.
P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.
Wo Isha ki namaaz ke baad jis waqt wapas lauta us waqt wo kitchen mein bartan dhoney mein masroof thi. Salar apne paas maujood chaabi se flat ka darwaza khol kar andar aa gaya. Salar lounge se guzartey hue ruk gaya. Kitchen ke darwazey ki tarah Imama ki pusht thi aur wo sink ke saamne khadi thi. Uska dupatta lounge ke sofe pa pada hua tha.
Salar ne pehli baar use Sayeeda amma ke haan kuch ghantey pehle dupattey ke baghair dekha tha aur ab wo ek baar phir use dupattey ke baghair dekh raha tha.
9 saal pehle wazoo karte dekhte hue use pehli baar Imama ko us chaadar ke baghair dekhne ki khwahish paida hui thi jo wo odhey rakhti thi. 9 saal baad uski khwahish puri ho gayi thi. usne 9 saal mein kai baar use apne ghar mein “mehsoos” kiya tha magar aaj jab wo use wahan dekh raha tha to wo dam bakhud tha. Uske siyaah baal dheeley dhaaley andaz mein judey ki shakl mein lapetey gaye the aur safed sweater ki pusht par wo bahot numayaan ho gaye the.
Nikaah naamey par Aamna Mubeen wald Hashim Mubeen Ahmad ko apni biwi ke taur par tasleem karne ka iqraar karte hue uske zahen mein ek lamhey ke liye bhi koi shak paida nahin hua tha na hi Hashim Mubeen Ahmad ke naam ne use chaunkaya tha. Wo Sayeeda amma ki “beti” se shadi kar raha tha. Uska naam Imama Hashim bhi hota tab bhi uske wehm-o-gumaan mein bhi ye kabhi nahin aata ke ye wahi Imama thi, koi aur nahin. Aur use Sayeeda amma ke sehan mein khada dekh kar use ek lamhey ke liye bhi shubah nahin raha tha ke uska nikaah kis se hua tha.
Next episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-194/
Prev episode:
https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-192/
Stay tuned for more book reviews.
Until next time, happy reading!
~~~
Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.
Subscribe to my blog.
Find my books on Amazon.
Show some love!
Shabana Mukhtar