Peer-e-Kaamil | Roman Urdu | Umera Ahmed | Episode 23

Disclaimer

This book is transliteration of Umera Ahmed’s masterpiece Peer-e-Kaamil WITHOUT HER PERMISSION.

This is only for those readers who understand Urdu but can’t read it. On Goodreads, some people asked meabout Roman transliteration of Peer-e-Kamil. I couldn’t find it, so I made a mental note to try and make it available to others for free when I get time. Then I forgot about it because I never get time.

And this morning, I got this book. Some kind soul had enough time to transliterate, print, and spiral bind and bring it home.

Anyone interested in reading the roman version can borrow from me.

And those online can read it here.

P.S. This is NOT English translation. If you want that, it’s available on Amazon.


Usne gadi naher ke pul se kuch fasle par khadi kardi phir diggy se ek bori aur rassi nikali. Wo bori ko khinchte hue us pul ki tarf badhta raha. Paas se guzarne wale kuch raah geeron ne use dekha magar wo ruke nahin. Upar pahonch kar usne apni shirt utaar kar naher mein phenk di. Chand lamhon mein uski shirt behte pani ke sath ghayab ho chuki thi. Dark blue color ki tang jeans mein uska lamba qad aur khoobsurat jism bahot numayan tha.

Us waqt us shakhs ki aankhon me koi aisa tassur tha jise padhna dusre kisi bhi shakhs ke liye na mumkin tha. Uski umr 19-20 saal hogi magar uske qad o qamat aur huliye ne uski umr ko jaise badha diya tha. Usne rassi pul se niche naher mein latkani shuru kar di, jab rassi ka sira pani me ghayab ho gaya to us ne rassi ka dusra sira bori ki tarah munh par lapet kar sakhti se girhein lagani shuru kar din aur us waqt tak lagata raha jab tak coil khatam nahi ho gaya phir pani mein pada sira wapas khinch kar us ne andaze se 3 feet ke qareeb rassi chodi aur apne dono pair sath jodte hue us ne pairon ke gird rassi ko bahot mazbooti ke sath 2-3 bal diye aur girah laga di. Ab us 3 feet ke tukde ke sire par badi maharat ke sath usne 2 phande banaye aur phir uchak kar pul ki mundair par baith gaya. Apna dayan hath kamar ke piche le jate hue us ne bayen hath ke sath pehle phande mein se bayan hath guzara aur phir bayen hath ke sath usne wo phanda kheench kar kas diya. Uske baad usne kaar ke puche dayen hath ke dusre phande mein se bayan hath guzara and dayen hath se use kas diya.

Uske cheher par itmenaan bhari muskurahat namudaar hui. Ek gehra saans lete hue usne pusht ke bal khud ko mundair se niche gira diya. Ek jhatka se us ka sar pani se takraya aur kamar tak ka hissa pani mein doob gaya phir rassi khatm ho gayi. Ab wo isi tarah latka hua tha ke us ke bazu pusht par bandhe hue the aur kamar tak dhad pani ke andar tha. Bori me maujood wazan yaqeenan uske wazan se zyada tha yahi wajah thi ke bori uske sath niche nahin aayi wo isi tarah latak gaya. Usne apna saans roka hua tha. Pani ke andar apna sar jate hi usne aankhein khuli rakhne ki koshish ki magar naakaam raha. Pani gadla tha aur usme maujood mitti uski aankhon mein chubhne lagi. Usne aankhein band kar lein aur pani munh aur naak se uske jism ke andar dakhil hone laga. Wo ab buri tarah phadphada raha thamagar na wo apne bazuon ko istemaal kar ke khud ko satah par la sakta tha aur na hi apne jism ko utha sakta tha. Uske jism ki phadphadahat aahista aahista dam tod rahi thi.

Chand logon ne use pul se is tarah niche girte hue dekha aur cheekhte hue us taraf bhage, rassi abhi tak hil rahi thi, un logon ki samajh mein nahi aa raha tha ke wo kya karen. Pani ke niche hone wali harkat ab dam tod rahi thi. Uski tangein be jaan nazar aa rahi thin. Pul par khade log khauf ke aalam me us be jaan wajood ko dekh rahe the. Pul par hujoom badh raha tha. Niche pani mein maujood wo wajood abhi bhi sakit tha Sirf pani use harkat de raha tha. Kisi pendulum ki tarah…….. Aage piche………. Aage piche………. Aage piche……….

Prev episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-22/

Next episode: https://theothermeunfolded.com/blog/peer-e-kaamil-roman-urdu-umera-ahmed-episode-24/


Stay tuned for more book reviews. 

Until next time, happy reading!

~~~

Want more of my trademark philosophy daily? Do three things, not necessarily in that order.

Subscribe to my blog.
Find  my books on Amazon.
Show some love!

Shabana Mukhtar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *